शुक्रवार, जनवरी 20, 2017

10 useful tips for Board exam mathematics preparation



10 useful tips for board exam mathematis preparation 
Ji haa friends!! Aaj mai aapko 1 nhi ,2 nhi , 3 nahi balki 10 useful tips bataunga jinko follow kark aap board exam me mathematics ki taiyari  (preparation )  easily kar sakte hai.

Meri tips ko follow kark aap mathematics me acche number gain kar loge aisa mujhe ummid hai.

Jaisa ki aap jaante honge ki exam season start ho gaya hai.  Kuch month k baad board exam bhi start hone wale hai aor ye exam humari life ka sabse important exam hota hai aor hum sabhi isme apna best performance karna chahate hai.

Also read -:
• Top 10 math tricks post november 2016
• Subtraction trick without using borrowing for 2-digit number
• Triangle and its types and defination in hindi




Sabhi chahate hai ki unka achha marks aaye. Jisse unhe future me marks ko lekar koi problem naa ho. Friends marks to tabhi acche honge naa jab aapki taiyari  (preparation ) achhi hogi.
Isilye maine,  aapki mathematics preparation achhi karne k liye ye article likha.

10 useful tips for board exam mathematis preparation


Agar aapka bhi iss baar board exam hai to aap jarur sochate honge ki " all subjects ki taiyari to ho jaayegi, but math ka kya hoga? "
 Don't worry friends " I'm always with you "

Also read -:
• 10 seconds me area of the triangle question solve
• Trigonometry ka basic concept in hindi part-1
• Fast cube tricks 1se 99 tak in Hindi

Mai aapko batata hu ki mathematics ki taiyari kaise kare?
Aap bas mere tips ko follow kare.  Aapko jarur help milegi.

10 useful tips for board exam mathematis preparation 

Mathematics ki taiyari karna utana tough nhi hota jitana hum sochate hai. Bus jarurat hai to full concentration k saath hard work k saath-saath smart work karne ki.
Chaliye mai aapko batata hu ki mathematics ki taiyari kaise kare?

Also read -:
• Fast multiply by 11 in Hindi
• square root in few seconds

10 useful tips for board exam mathematis preparation

Sabse pahale aap ek pen and paper lelo aor jo mai aapko bataunga unko aap note karo. 
Yaad rakhiyega friends, kewal note hi nhi karna hai balki inn tips ko follow bhi karna hai. To chaliye batata hu ki ye 10 useful tips kya hai?

Mera 1st tips  aapko ye hai ki -

   Add positive thought   

Ji haa friends sabse pahale kaam aapko yahi karna hai. Aap apne mind  se negative thoughts ko remove kare aor positive thoughts  ko add  kare. Maine dekha hai exam k time students kya-kya sochane lagate hai ?
 e.g.  "Exam aagaya ab kya hoga? Mera kuch bhi taiyari nhi hai . Math to bilkul nhi samjh aa raha hai . " math kaise hoga?"

Agar aapk mind me ye sab chal raha hai to friends sabse pahale aapko abhi isse remove karana hai. Aor positive thoughts k saath start up karna hai. Meri ek baat yaad rakhiyega " jaisa aap sochenge vaisa hi hoga."

   Make a best schedule   

Next tips apko, ek best schedule banana hai. Ji haa aapko apne comfortable k anusaar ek schedule banana hai aor issko every day follow karna hai 
"Schedule kaise banaye  ?" 
Khud k liye schedule kaise banaye? ye to aap mujhse behatar jaante ho , par phir bhi mai aapko ek idea deta hu.

(1). Sabse pahle aap ye calculate  karo ki mathematics exam tak aapk pass kitane days hai ? 
e. g. -:   Suppose karo ki maths ka exam aaj se 30 days k baad hai.

(2).  Ab aapko maths subject k chapter ko calculate karna hai. Matalab ki math subject me total kitane chapter hai.

e. g. -: suppose karo aapk math subject me 10 chapter hai . 

(3). Ab aapko calculate karna hai ki per day aapko kitane chapter read karna hai. 

e.g.-:  Total days        = 30
           Total chapter  = 10
Matalab ki aapko 1 day me 
         = 10/30
         = 0.33 (approx) Chapter 
read karna hai. Iska matalab kya huaa?
Actually kya hai naa friends , ki mai math lover hu . isilye sabhi chijo ko mathematically sochata hu.

To mai aapko batadu ki 0.33 chapter ka matalab kya huaa.
Matalab sirf itana hai ki aapko
1 day me half chapter se bhi kam (less) math padana hai.
Ab aap socho ki "kya aap 1 day me math ka half chapter nhi read kar sakte ? Aor agar half chapter bhi read kar lete ho to aap 30 days se pahale hi math complete kar loge.

To aap aise hi apna best schedule banaye aor pata kare ki aapko per day kitane chapter read karne hai.

Ek baat jarur dhayan de ki aapko kewal best schedule banana hi nhi hai balki unko follow bhi karna hai.

     Select best time  

Math padne ki jab schedule bana le tab Aapko iss schedule ki best time select karna hai. Matalab aapko sochana hai ki kon sa time math padne k liye best hai.
Mai to kahunga ki aap morning and night timing ko select kare . Mujhe ye timing best time lagata hai.
Vaise to aap apna khud ka timing select kare jo aapko best lagata hai.

 Continue follow schedule every day 

Hum aor aap schedule to bana lete hai but isko continue follow nhi kar paate.  Yahi par humse galti hoti hai.  Schedule banana k baad strictly follow kare.
Try kare ki schedule ki continuity break naa ho.
Ek  baat aor aap every 50 minutes k baad rest jarur kare.  Continue padai naa kare.
Kyuki maine kahi read kiya tha ki "scientist ka Manama hai ki ; "every 50 minutes k baad "bhulane" (forget) ki time aati hai."
Isilye kuch break jarur lekar padai kare.
Isse aap Jada der tak padai kar sakte hai.

  Don't  solve repeated question  

Agar aap book se question solve karte honge to aapne dekha hoga ki ek hi method / formula se related bahot saare question diye hote hai. To aapko inn questions me se kuch question ko solve karna chahiye.  Sabhi ko solve naa kare.

e.g. suppose kariye ek formula se related 5 question diya hai to aap unme se 2 ya 3 question ko solve kare sabhi ko nahi.
Isse se  aapka time bachega aor aap jald se jald chapter complete kar loge.

Also read -:
• Fast calculate square of numbers ending with 5
• Iss fast trick se kariye simple equation instantly solve



  Revision  

Revision bahot jaruri hai. Aap  jo bhi kuch math me ya other subjects me read kare to uska revision jarur kare. Ji haa dosto aap chahate hai ki aapne jo read kiya wo aapk mind me set rahe to 24 hours k andar ek baar revision jarur kar le; kyuki 24 hours k baad hum jo bhi kuch pade ya learn kiye hote hai uska 80% hum bhul jaate hai.  Isliye ek baar revision jarur kare.
It's very important for every student.


   Learning formula  

Math k question solve kar rahe hai aor formula  naa learn karna pade ye to ho hi nhi sakta. Formula , mathematics ka very important part hai kyuki kuch question without formula k solve hi nhi ho sakte .
Aap important formula ki list banaye aor isko learn kare.

Formula learn kaise kare??

Mai kuch important tips deta hu formula learn karne k liye -:

• Every day k morning me 10 important formula ki list banaye.
• Ek page par inn 10 important formula ko acche se likhe aor isse apni pocket me rakh le.
• Ab jab bhi aapko time mile to bas isse aapko 2 times padana  (read) karna hai.
• Try kare ki iss page ko aap jyada se jyada baar dekhe. Poopr din aapko yahi karna hai.
• Ab jab night me aap sone jaao to aap ek copy me un formula ko bina dekhe likhe aor check kare ki aapko kitana learn huaa.

• Agar sabhi 10 formula learn ho gaya hai tab next morning new 10 formula list banaye aor iss process ko continue rakhe but agar unme se koi formula nhi learn huaa to next morning me jo nhi learn huaa usko bhi add kare.



  Solve previous board exam questions  

Aap last 10 years k board exam me aaye huye question ko jarur lagaye.  Isse se aapka confidence increase hoga aor aapko ek idea mil jaayega ki board exam me kis type k question aate hai.
Mai to kahunga ki aap board exam me aaye huye question ko kisi new copy me solve kare. Matalab ek alag se iski copy banaye.
Agar aapko question nhi aaraha to aap mujhe uss question ko send kare . Mai solve kark aapko bataunga.

   Take the test yourself  

Aapko khud ka test lena hai. Aapne 1 week me jo kuch bhi math me read kiya , aap uska test le. Aap kahoge "Kaise??"

Maan lo Aapne Monday to Saturday tak 5 chapter read kar liye to ab aap Sunday ko Inn 5 chapter ka test lena hai.
Aapko ek aisa test paper banana hai jisme inn 5 chapter k question ho. Try kare ki aap test paper khud se naa banaye. Test paper kisi aor se banwaye . Jaise kisi family members, brother, friends etc.
Aap test paper khud se bhi bana sakte hai but mai suggest karunga ki aap kisi other se test paper banwaye.

Test paper me kya-kya ho ?

1. Time-: jitane time ka aapka board exam hai.
2. Marks-: jitane marks ka aapk exam ka paper ho.
3.Chapter-: jo aapne 1 week me read kiya ho.
4. Question -: jo previous exam me aaye ho.

Iss test paper ko solve karne k baad aapko isse check kare aor pata kare ki aapne kitane marks obtain kiye. 

   Create  a  report card   

Ji haa dosto aapko khud ka ek report card banana hai. Iss report card ki help se aap per day apni progress measure kar sakte hai. Ab baat aati hai ki

Report card kaise banaye? aor report card me kya-kya ho? 

Aap apni jarurat k hisaab se report card bana sakte ho. Maine report card niche image me diya hai. Aap uski bhi help le sakte ho , report card banane k liye .

Progress math report card


 Iss report card ko per day update karte rahe. Aor apni progress measure karte rahe.

Jaise maan lo Aapne upper diye report card ko bana liya. Ab aapko issko daily update karna hai.  Kaise? Chaliye mai aapko batata hu.

Date -:       Isme aapka date fill karna hai.
e.g. -: 12/01/2017
Question solve -:   Aapne 12/01/2017 ko total jitane question solve kiya , fill karna hai.
Formula learn -:    Aapne issi date ko kitane formula learn kiya , ye fill kare.
Chapter complete -:  Mujhe maalum hai ki 1 day me chapter complete nhi ho sakta but jab bhi chapter complete ho jaaye to aapko 1 chapter complete karne kitane days lage usko yaha fill kare.


To friends ye tha 10 useful tips for board exam mathematics preparation  . Aapko mere bataye tips kaise lage? Hume comment kark jarur bataye .

Kya aapk bhi pass koi board exam tips hai? To hume send kariye . Hum aapk tips ko " Maths tricks in hindi " par publish karenge. 

Agar aapk kisi family members ka iss baar board exam hai , ya aapk knowledge me kisi ka hai , ya aapk neighbours me hai to please iss tips ko unlogo k saath jarur share kare.

Apne NEXT post me mai aor bhi exam tips dunga.  Isliye aap humse connect me rahe. Usk liye aap humare facebook page like kare aor hume twitter par follow  kare.

Tab tak k liye aapko board exam k liye
Best of luck !!!!

Thanks for reading!!

11 टिप्‍पणियां:

  1. Hii Sir my name is ayush sir me maths ke question krke aur bhul jata hu toh me ky karu jishe me bhulu nhi? Plz jarur btana sir ph no. 9314422260

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Ayush aap uss question ko week me ek bar revision jarur kare . Jaise aap every Sunday revision kiya kariye. Aap nahi bhulenge.

      हटाएं
  2. namaste sir 12 maths me integration chapter bahut dukhi kr rha h es chp. ko kaise karo

    जवाब देंहटाएं
  3. sir integration me koi bi question ho revision krne ke baad bi bhul jata hu. esshe muje ye chp. hard lg raha h ye problem aa ri h

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Iss ka matlab ye huaa ki uss chapter ko aapne achhe se padha nahi hai. Aap uss chapter ko achhe se padhe.

      हटाएं