मंगलवार, मई 17, 2016

Kya aapko koi help mathematics me chahiye?

Hello friends,I'm back .pichle Kuch dino se mai kuch jada hi busy tha.Isliye post nhi kar pa rha tha .lekin ab mai phir se aapki help karne phir se hajir hu.

mathematic me help chahiye

 aapka koi mathematics question,formula, mere bataye trick me kuch na samjh aaya ho. To aap turant puche.
Aap yaha comment kark puche mai jald se jald yahi par jawab dunga.

80 टिप्‍पणियां:

  1. mujhe maths smajh nahi ati, comptative exam me maths ke karan nahi nikal pa raha hun, mujhe math ke surwat kaha kon se kitab se karna chaheye. aur eskey leye kya karna chaheye.

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. EMS Jabalpur ji aap tension na lo.Mai aapki math me puri help karuga.Aap math ki starting basic topic se karo . Aapne kitab k baare me pucha to mai batadu koi aisi book aap lo jisme basic jada diya ho aor uska language simple ho.
      Agar aap mujhse basic shikhna chhahate hai to mujhe bataye.
      Aap basic jaano aor math tricks to mai bataata hi hu.In doono ka use karo aap jarur success honge.
      Aapko kuch aor jaana hai to comment kare?

      हटाएं
    2. Mujhe class nine ki all sutra chahiye A to Z music copy Karke Rakhna chahti ho toh uski suttru mujhe batao

      हटाएं
    3. Ok hum try karenge ki class-9 ka suttr hum jald publish kar sakke.

      हटाएं
  2. Mere 45 days k baad m......maths ka supplimentry ka paper hai or usme pura course arha hai..... Or muje maths m 1% bhi kuch nhi ata hai....or muje us paper m purey 33 marks laney hai....or m maths m smj nhi pa rha hu.... Kese m supplimentry clear karu

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Jaisa ki aapk pass time kam hai.To aap iss exam k 4-5 years k previous question ko solve karane ki koshish kare.
      Itana karne se 33 marks aajayega.
      Or agar aapko 4-5 years k question nhi aarahe hai.To aap question ko send karo mai aapko samjhane ki koshish karunga.

      हटाएं
  3. इस टिप्पणी को लेखक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  4. what is the trick of solving this type of question,first of all explain it in simple language, mean to say explain its reason then tell me the trick; (1) 2347.06*0.2 (2)2368.678*45.06

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Md Azeem ji
      Sorry to say iss type k question par abhi koi trick maine nhi bataya hai.but future me try karunga ki iss type k question ka trick bata saku.
      Thanks for comment!
      Kya aapka koi oar question hai?

      हटाएं
  5. SIR MERY 12 CLAS HAI AND MAIN Y JANNA CHAHTA HU K M APNI MATHS PAR TAIYARI KESE KARU KISS TARIKE SE SHRWAT KARU KYONK MUGGHE BOHT JALDI SAMJH NAHI AATI MATHS MAIN DHEERE DHEERE HI SAMJH PATA HU

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Ikram QURESHI ji Aap apni base majbut karne se start karo. And aap jaada se jaada question ko solve karo.Aap jab math lagane batho to saari duniya ko ek side and apni math practice ek side karo. I means full concentration k saath math lagaao.Aapki math jarur fast ho jayegi.
      Kya aapka koi aor question hai ?

      हटाएं
  6. उत्तर
    1. ANKIT KUMAR. Ji aap maths k question ko solve karne ki jada se jada prctice karo. Aagr aap ye nhi kar paa rahe ho.to aap apne basic knowledge badaao. Mai to hamesha aapki help k liye hu hi.

      हटाएं
  7. MAI MATHS ME BOHIT HE JYADA KAMZOR MAI 9TH MAI HU KAL MERA GEOMETRY KA PAPER HAI SAMAJ NAHI ARARAHA KI MAI KYA KARU SIR PLEASE HELP

    जवाब देंहटाएं
  8. उत्तर
    1. Kisibhi no. K power agar 0(zero) ho to uski value 1 (one) hoti hai. Isliye
      X k power 0 ki value = 1 ans.

      हटाएं
  9. if a,b,c in A.P.
    then proof that a(1/b 1/c), b(1/c 1/a), c(1/a 1/b) in A.P.

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Sorry GOVIND ji mai aapka question nhi samjh paa raha hu. Aap "Maths trick" k Facebook page par question ki image send kardo. Mai aapki puri help karane ki kosish karunga.

      हटाएं
  10. Plz help
    Find area of a triangle which three median are 30;18;24

    जवाब देंहटाएं
  11. Enter your comment...sir mujhe digits ka H.C.M. nikalna btaiye plz...
    143 or 195 ka H.C.M kaise niklega

    जवाब देंहटाएं
  12. उत्तर
    1. Neeraj ji mujhe aapka question complete nhi lag raha hai. Please ek baar check kark question phir se send kare.
      Thanks!

      हटाएं
  13. Do sankyao Ka youg 75 hai aur unka antar 25 hai to do sankhyo Ka gudanfal kya hoga ?? Isko kise hal Kare hm

    जवाब देंहटाएं
  14. Do sankyao Ka youg 75 hai aur unka antar 25 hai to do sankhyo Ka gudanfal kya hoga ?? Isko kise hal Kare hm

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Suppose karte hai ki wo do shankya "x" and "y" hai.
      Ab question k anusaar-:
      x+y=75....(i)
      x-y=25....(ii)
      Adding equ(i) and (ii) we get
      2x= 100
      x=50
      Ab "x=50" equ(i) me rakhne par
      50+y=75
      y=75-50
      = 25
      So, x=50 and y=25
      ab inn do shankya ka gudanfal , matalab
      x×y=50×25
      =1250 ans.

      हटाएं
  15. Do shankhyo Ka youg 35 hai unke vargo Ka antar 185 hai to do shankhyo Ka antar kitna hoga ..?? Isko kise hal Kare hm

    जवाब देंहटाएं
  16. Suppose karte hai ki wo do shankya "x" and "y" hai. Ab question k anusaar-:
    x+y=35 ....(i)
    And x²-y²=185 ...(ii)
    But hum jaante hai ki,
    x²-y²= (x+y)×(x-y) ...(iii)
    Ab equ(ii) and (iii) se,
    (x+y)×(x-y)=185...(iv)
    Equ(i) ki value equ(iv) me rakhane par,
    35×(x-y)=185
    (x-y)=185÷35
    = 5.29 (approx)
    Matalab unn do shakyao ka antar = 5.29 ans.

    जवाब देंहटाएं
  17. ek beg h usme 50 paise..25 paise aur 1 rupee k coin h ....uska total amount 1260 rupee h ...inki ratio 5:6:2 h to 50 paise k kitne coin honge answer please

    जवाब देंहटाएं
  18. ek beg h usme 50 paise..25 paise aur 1 rupee k coin h ....uska total amount 1260 rupee h ...inki ratio 5:6:2 h to 50 paise k kitne coin honge answer please

    जवाब देंहटाएं
  19. Hello sir ,, main mathematics Mein ekdum zero Hu school ke samay Mein maths Ata tha lekin abhi 6years hogaya hai aaj mujhe kuch bhi samajh Mein bhi arha hai aur main abhi mathematics ke uppar interest hu, aap mujhe ye bataye Ki math karne keliye kaha se suru karun? Aur konsi book padhna chahiye mujhe? Please sir reply me

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Sanjay ji aap basic se start kariye aapko mathematics samjh aane lagegi.
      Book k liye mai kahunga ki aapko jo book jyada achhe se samjh aati hai . Jiska language aur samjhane ka tarika sahi hai . Wahi book use kariye.
      Aur koi help chhahiye to jarur batayiyega.

      हटाएं
  20. Me maths kaise sekhu kuch samjh m nhi ata h or maine 12th art side se kiya h m bhut pareshan hu filhall m coching centre pr jata hu or sb amjh m ata h bs maths ko chorkr

    जवाब देंहटाएं
  21. Sir mere maths ka supplementary ka 12 mo board me kese tayari karu ki mujhe 80 no mile

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. 80 marks k liye concept clear kare aur kam se kam 10 years k previous board exam paper solve kare. Kisi aur help k liye aap mujhse pucch sakte hai.

      हटाएं
  22. Sir mujhse koi v math k calculation ache se Ni ho pata aur mujhe IIT ki taiyari karna Hai Aap hi btaiye Kaise Kare math Ni banne ki Waja se physics aur chemistry ka Questions v Ni sovle Ni ho pata Hai Aap hi btaiye ki Mai Kiya kru

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Saurav ji aap basic ko clear kare aur carefully , slowly calculation kariye.Aap jarur kar paayenge.

      हटाएं
  23. उत्तर
    1. Avinash ji primey ka matlab primey sankhya. Wo number jo "P/Q" jaisa ho. Aur "Q" ka maan zero naa ho. To usse primey sankhya kahte hai.

      हटाएं
  24. उत्तर
    1. X , ek variable hota hai. Hindi me X ko "char" (चर) kahte hai. Isska use hum question ko solve karne me karte hai.
      Jaise-: Ram ki age Mohan ki Age ki 2 guni hai.

      To iss question me hum Maante hai ki, Mohan ki age = X
      Aur phir X ki value calculate karte hai.

      I hope ki aapko, aapke ka answer mil gaya hoga. Koi aur problem ho to jarur puche.

      हटाएं
  25. To learn fraction and mathematics needs a lot of effort and time. Just keep studying and you will be nearly perfect in the future.

    जवाब देंहटाएं