Last update-: Dec 21, 2018
Answer-: Jaya ji, hum jarur batayenge . Aap class aur question send kariye.
Answer-: brajesh ji , aap kon se question ki baat kar rahe hai.
Solution-: Suppose karte hai ki, x = 2k and y = 3k
Solution-: Pahle X ka 1/5 = X/5 aur X ka 1/10 = X/10.
Solution-: Principal amount (P) = 5000, rate (R) = 5% and time (T) = 1 year.
Solution-: m-6=6 ⇒m=6+6 = 12 Answer.
Solution-: original no. (x) = 68 and new no. (y) = 64.
Solution-: question me diya hai ki , A,B se 40% jyda hai isliye-:
Solution-: Diya hai M₁ = 16, D₁ = 10 and D₂ = 8
Solution-: Iss question ko solve karne ke liye hum 3 operation lenge ÷,+ aur ×.
Answer-: Bhupendra ji , hume aapka question complete nahi lag raha hai. Please apna question complete send kariye.
Answer-: Namaste devendra ji, agar aap humare post ko email par prapt karna chahate hai to iske liye aapko Email subscription karna hoga . Agar aap karna chahte hai to nichey diye only 2 steps ko follow kariye:
Solution-: T₁ = 23, T₂ = 25 aur T₃ = 27 hum dekh sakte hai ki, T₂-T₁ = T₃-T₂ , isliye diye huye sabhi number samantar shredi (Arithmetic progression ) me hai .
Means hum n = total kitene numbers(pad) hai malum karna hoga.
Solution-: Suppose karte hai ki, ladako ki sankhya = x
Solution-: Suppose karte hai ki shant jal me naav ki chaal = x
⇒ 1 + 1 = 1
⇒ x-4+x+4 = 1
⇒ 2x = 1
⇒ x² - 16 = 6x
Solution-: Suppose karte hai ki, 148000 ko teen part me iss prakar divide kiya gaya:
Ab according to question 1st part ka interest = x×4×5
= x/5
= y/2
= 4z/5
Ab 1st and 2nd part se,
To iss prakar se x,y aur z principal amount honge.
Answer-: Hello raunak, Yes I can help you. Boliye hum aapki kya help kar sakte hai ?
Solution-: 180 rs me 1 kg mil raha hai. Means, 180 rs = 1 kg
Solution-: Vinod ji, aapka question complete nahi hai . Please complete question send kariye.
Solution-: Shubham ji, 1 se 9 tak ko hum normal likh sakte hai . 123456789 koi bhi sankya double nahi hai.
Solution-: Suppose karte hai ki, koi sankhya = x , ab iss ka 4/5 guna aur 2x/3 guna plus karna hai.
= (22x/15) - (11x/4) ×100
= -77x/60 ×100
Solution-: Diya hai : 1 kg = 27 rs aur hum jaante hai ki ,1 kg = 1000 gram
Solution-: 10⁵/135×10⁶×3.57×10-²
Solution-: Suppose kar lete hai ki, uska purchasing rate = x
Solution-: Gadriye ke pas 17 hai .lekin 9 mar gayi to kul jinda bachi = 17-9 = 8 Answer.
Solution-: hum jaante hai ki , jis no. ke ones place (ikaai) par 0,2,4,6,8 ho to wahi no. 2 se divide hota hai.
Solution-: Diya hai: a = log1218
2 and 3 ke power ko compair karne par:
ab+5(a-b) = (-3)×(-2)+5{(-3)-(-2)}
Answer-: Devendra ji sabse pahle to aapko thanks ki, aapne apne vichar humse share kiya. Hume motivate kiya aur hume achhi-achhi baate batayi. Aapne "R.S. Ramanujan" aur "Acharya chankya" ka jikra kiya . Bahot achha laga. Aapke word se hum aur jo issko read karega wo sabhi jarur motivate honge. Aap jaise math lovers ki hume jarurat hai. Aap jarur humare "Maths Tricks in Hindi" ke family member ban sakte ho aur apne math article ko iss blog par upload kar sakte ho. Hum jald hi isske baare me details me ek article likh kar publish karenge. Jisme full details me bataya jaayega ki kya-kya karna hai? Tab tak ke liye aap wait kare. Aapne apna intrest dikhaya iske liye aapko again Thank you !!
Solution-: Diya huaa total number = 10, Ab hume inn 10 diye huye numbers se 6 digits ka number banane hai. Means hume ones, tens, hundred, thousand, ten thousand, aur lakh ki jagah par inn 10 numbers ko rakhna hai.
Solution-: Ganesh ji, Sabse pahle to hum ye kahana chahte hai ki,math padane ke liye koi trick hai hi nahi. Issko to dhyaan se samjh kar aur read karke solve kiya jaata hai. Aur aapko math se darne ki jarurat nahi hai. Aap math se dare nahi balki issko dhyaan se samjhne ki koshish kare. Agar koi chij samjh me nahi aati to kisi apne family members ya teacher ki help le. Hum bhi aapki help kar sakte hai. Aap math me koi bhi topic pade uss topic ke basic aapko jarur maalum rahne chahiye. Tabhi aap uss topic ko samjh paayenge. Issliye Basic par jaada dhyaan dijiye. Hum ye ummid karte hai ki aapko humare answer se jarur help milegi. Koi aur problem ya doubt ho to jarur puche.
Solution-:
|A| = A ka determinant
= 2×7-(-2×1) = 14+2 = 16
adjA = [ 7 2 ]
A-1= [ 7/16 2/16 ]
Solution-: Suppose karte hai ki, pratyek putra ko total ₹ x mila.
Solution-: Pankaj hum aapki puri help karne ki koshish karenge. Aap bataye ki aapko math me kya problem hoti hai ? Hum uss ko dur karne ki koshis karenge. Aapko jarur math samjh aayega.
#Q-293. प्रशन.वह दिघात बहुपद जिसक एक शून्यक 5+रूट 7 है वह है?
Aapke send kiye gaye question ka answer yaha hai part-2
Aapke send kiye gaye question ka answer yaha hai part-1
Iss page par Mar 09,2018 - Dec 17, 2018 tak ke Question hai. Agar aapne iss Date ke baad question send kiya hai. Dec 18, 2018 ke liye next part Aapke send kiye gaye question ka answer yaha hai part-3 padhiye.

Sender name -: Jaya gahlot
Date-: Mar 09, 2018
Date-: Mar 09, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-251 Sir muje set ke thoerm ke question kese vo solve krne btao
Answer-: Jaya ji, hum jarur batayenge . Aap class aur question send kariye.
Sender name -: brajesh vaishnew
Date-: Mar 10, 2018
Date-: Mar 10, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-252. q/no.3 k ansare360
Answer-: brajesh ji , aap kon se question ki baat kar rahe hai.
Sender name -: ankit Mishra
Date-: Mar 11, 2018
Date-: Mar 11, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-253. X+y/5 ka man bataye Agar x:y=2:3
Solution-: Suppose karte hai ki, x = 2k and y = 3k
x+y/5 = 2k + 3k/5
= (10k+3k)/5
= 13k/5 Ans.
Sender name -: umesh yadav
Date-: Mar 14, 2018
Date-: Mar 14, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q254. X ka 1\5 nikala fir ses ka 1\10 nikala to kitna bachega
Solution-: Pahle X ka 1/5 = X/5 aur X ka 1/10 = X/10.
Ab pahle X me se 1/5 nikala means X-X/5 = 4X/5 ses bachega
Ab 4X/5 me se 1/10 nikala means
4X/5 - X/10 = (8X-X)/10
= 7X/10 bachega Answer.
Sender name -: Aadarsh Patel
Date-: Mar 18, 2018
Date-: Mar 18, 2018
Kaise send kiya -: Facebook page par massage
#Q-255. 5000 rs ka 5% k hisab se 1 saal k kitna interest in rs hua h
Solution-: Principal amount (P) = 5000, rate (R) = 5% and time (T) = 1 year.
Formula -: interest = (P×R×T)/100
Interest = (5000×5×1)/100
= 250
Isliye 1 saal me interest = 250 rs hoga Answer.
Sender name -: Saroj verma
Date-: Mar 19, 2018
Date-: Mar 19, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q256. m-6=6 ko hal karo
Solution-: m-6=6 ⇒m=6+6 = 12 Answer.
Sender name -: अनुज
Date-: Mar 22, 2018
Date-: Mar 22, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q257. 64 कितने परसेंट कम है 68 से
Solution-: original no. (x) = 68 and new no. (y) = 64.
Formula-:
% less = (x-y) ×100
68
= 68-64 ×100
68
= (4/68)×100
= (1/17)×100
= 5.88
Isliye 64 , 68 se 5.88% kam hai.
Sender name -: Shreya Raj
Date-: Mar 25, 2018
Date-: Mar 25, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-258. A,B se 40% jyda h or B,C se 20% km h to A:C kya hoga?
Solution-: question me diya hai ki , A,B se 40% jyda hai isliye-:
A = B+B ka 40%
= (140/100)×B
Or A/B = 14/10
question me phir diya hai ki, B,C se 20% kam hai isliye -:
B = C - C ka 20%
= (80/100)×C
Or B/C = 8/10
Ab hume A:C maalum karna hai isliye -:
A = A × B
C B C
= 14 × 8
10 10
= 28/25
Isliye A:C = 28:25 Answer.
Sender name -: Vishal Sharma
Date-: Mar 28, 2018
Date-: Mar 28, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-259. Sambahu tribhuj ki prtyek bhuja ki lambai L Ho, to sidh kijie ki, Sambahu tribhuj ka khsetrfal(area) root3/4(l)squre h
Answer-: Vishal ji , hum jald hi iss topic par ek complete article publish karke aapke problem ko solve karenge. Please aap humse add rahe.
Sender name -: hariom rajput
Date-: Apr 04, 2018
Date-: Apr 04, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-260. 7 लोगो में 28 रुपये बराबर बाटने है तो प्रत्येक को 13 रूपये आने चाहिए ans fast
Solution-: hariom ji , I think ye possible nahi hai.
Sender name -: Himanshu shukla
Date-: Apr 04, 2018
Date-: Apr 04, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-261. Nameste Sir, Kisi sankhya Ka bhag ugly sankhya ke bhag se 3 adhik hai vah sankhya gyat kijiye
Solution-: Himanshu ji, hume aapke question me kuch mistake lag raha hai ya ho sakta hai ki mistake ho. Hume niche diye points par mistake lag raha hai:
(1). " kisi sankhya ka bhag ugly sankhya ke bhag se 3 adhik hai "
Kitana bhag ugly sankhya ke kitne bhag se 3 adhik hai.
Sender name -: Razi Roman
Date-: Apr 08, 2018
Date-: Apr 08, 2018
Kaise send kiya -: Facebook page par massage
#Q-262. 16 insaan 10din me dhaan kat sakta hai to 8din me katne k liye kina insaan chahiye
Solution-: Diya hai M₁ = 16, D₁ = 10 and D₂ = 8
Suppose karte hai ki, 8 din me katne ke liye M₂ insaan chahiye.
Isliye formula: M₁×D₁ = M₂×D₂ ka use karne par.
16×10 = M₂×8
M₂ = 160/8 = 20
Isliye 8 din me dhaan katne ke liye 20 insaan chahiye. Answer.
Sender name -: Jamshaid Azad
Date-: Apr 12, 2018
Date-: Apr 12, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-263 4 4 4 4=20 kaise hoga
Solution-: Iss question ko solve karne ke liye hum 3 operation lenge ÷,+ aur ×.
Sabse pahle 4÷4 = 1 ab 1 me next 4 add karenge 1+4 = 5 phir 5 ka multiply next 4 se karenge 5×4 = 20
Sender name -: Ashish yadav
Date-: Apr 13, 2018
Date-: Apr 13, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-264. Send other theory of class of 10
Answer-: Ashish yadav ji hum jarur class 10 ke other theory ko share karenge.
Sender name -: Bhupendra kumar
Date-: Apr 20, 2018
Date-: Apr 20, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-265. 2 2 5 9 10 Iska answer or formula bta do sir
Answer-: Bhupendra ji , hume aapka question complete nahi lag raha hai. Please apna question complete send kariye.
Sender name -: devendra
Date-: Apr 25, 2018
Date-: Apr 25, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-266. dear sir, namaste. mai devendra baat kar raha hu. mai to maths subject ka fan hu. ap ke is blog par maths ke jo bhi post hai vo email ke madhyam se mai prapt karna chata hu. thanks devendra
Answer-: Namaste devendra ji, agar aap humare post ko email par prapt karna chahate hai to iske liye aapko Email subscription karna hoga . Agar aap karna chahte hai to nichey diye only 2 steps ko follow kariye:
Step-1. Humne niche ek Follow by email ka box diya hai aap scroll karke dekh sakte hai.
Follow by email ka Image iss type ka hai:
Iss box me aapko apna pura email address daalkar SUBMIT bhtton ko dabana hai.
Step-2. Jaise hi aap step-1 complete kar lenge. Uske baad aapke ussi email par FeedBurner Email Subscription se ek mail aayega. Iss mail ko open karke usme diye huye link par click karke active karna hai. Activate karte hi ek new window me likha rahega Email Subscription confirmed
Bas aapne successfully email subscription kar liya. Ab aap humare sabhi new post ko email par prapt kar sakte hai.
Agar aapko koi problem ho rahi ho to aap jarur puche. Hum aapke problem ko solve karne ki puri koshish karenge.
Sender name -: Ravendra kar
Date-: Apr 26, 2018
Date-: Apr 26, 2018
Kaise send kiya -: Facebook page massage
#Q-267. 23,25,27,....71 ka yogphal gyat kijiye.
Solution-: T₁ = 23, T₂ = 25 aur T₃ = 27 hum dekh sakte hai ki, T₂-T₁ = T₃-T₂ , isliye diye huye sabhi number samantar shredi (Arithmetic progression ) me hai .
Isliye diye huye sabhi numbers ka yogphal = samantar shredi ka yogphal.
Samantar shredi ke "n" numbers ka yogphal =
S = n/2×(a+l)
Yaha par n = pado ki sankhya, a = samantar shredi ka first number, aur l = last number.
To hum question me dekh sakte hai ki, a = 23 , l = 71 , d = T₂-T₁ = 25-23 = 2 aur n =??
Means hum n = total kitene numbers(pad) hai malum karna hoga.
Suppose karte hai ki, diye huye samantar shredi me total n numbers hai . Aur hum dekh sakte hai ki , n waa numbers = 71
Lekin hum ek formula se jaante hai ki,
n waa numbers = a+(n-1)×d
71 = 23+(n-1)×2
⇒ 71 = 23+2n-2
⇒ 71 = 23-2+2n
⇒ 71 = 21+2n
⇒ 71-21 = 2n
⇒ 50 = 2n
⇒ n = 25
Bas ab sabhi value Samantar shredi ke "n" numbers ka yogphal =
S = n/2×(a+l) me rakh kar solve karna hai.
S = 25/2(23+71)
S = 25/2×(94)
S = 25×47
S = 1175
Isliye diye huye sabhi numbers ka yogphal 1175 hoga. Answer
Sender name -: Ravendra kar
Date-: Apr 27, 2018
Date-: Apr 27, 2018
Kaise send kiya -: Facebook page massage
#Q-268. एक कक्षा में लड़कियो की संख्या , लड़को की संख्या से दोगुनी है । निम्न में से कौन सी संख्या कक्षा में कुल विद्यार्थी की संख्या को निरूपित नहीं करता है :
(i)35 (ii)24 (iii)42 (iv)36 (v)54
Solution-: Suppose karte hai ki, ladako ki sankhya = x
Tab ladakIyo ki sankhya = 2x
Isliye total vidhyarthi ki sankhya = x+2x = 3x
Ab hum ek-ek karke options (i) 35, (ii) 24, (iii) 42, (iv) 36 aur (v) 54 ko check karenge.
Suppose karte hai ki 35 total vidhyarthi ki sankhya ko nirupit karta hai to
3x = 35
x = 35/3 = 11.67
Aap dekh sakte hai ki x ki value decimal me aa raha hai joki impossible hai kyuki x ladako ki sankhya hai aur ladako ki sankhya kabhi bhi decimal me nahi aa sakti.
Isliye humne jo suppose kiya hai ki 35 total vidhyarthi ki sankhya hai ye wrong hai.
Means, 35 vidhyarthi ki sankhya ko nirupit nahi karta hai.
Aap baaki sabhi options ko jab check karenge to x ki value decimal me nahi aayegi.
Sender name -: Ravendra kar
Date-: Apr 28, 2018
Date-: Apr 28, 2018
Kaise send kiya -: Facebook page massage
#Q-269. एक नदी धारा का वेग 4km/h है । एक नाव एक निश्चित बिन्दु से चल कर 6 km की दुरी तय करने के बाद वापस प्रारम्भिक बिंदु पर 2 घण्टे में पहुँचती है । शान्त जल में नाव की चाल क्या होगी ?
Solution-: Suppose karte hai ki shant jal me naav ki chaal = x
Dhaara ki disha me jaane par naav ka chaal = x+4 , tab Dhaara ki disha me total time = kul duri/kul time
time = 6/(x+4)
Issi prakar se dhaara ke opposite naav ki chaal = x-4 , tab dhaara ke opposite total time = 6/(x-4)
Ab total jaane aur aane me total laga time
6 + 6
(x+4) (x-4)
But question me diye hai ki jaane aur aane me laga total time = 2 hours.
Isliye 6 + 6 = 2
(x+4) (x-4)
⇒ 1 + 1 = 1
(x+4) (x-4) 3
⇒ x-4+x+4 = 1
(x+4)(x-4) 3
⇒ 2x = 1
x² - 16 3
⇒ x² - 16 = 6x
⇒ x² - 6x - 16 = 0
⇒ (x-8)(x+2) = 0
⇒ x = 8 km/h Answer.
Sender name -: Shashibhushan tiwari
Date-: Apr 28, 2018
Date-: Apr 28, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-270. 148000 ko teen part me divide kr firsht part 4% rate PR 5 year k lie Second part 5% rate PR 10 year k lie And third part 10% rate PR 8 year k lie dia gaya to if teeno conditions me amount same ho to every principal kya hoga
Is questions ko kese solve karen
Solution-: Suppose karte hai ki, 148000 ko teen part me iss prakar divide kiya gaya:
1st part = x, 2nd part = y and 3rd part = z
x+y+z = 148000 ......(i)
Ab according to question 1st part ka interest = x×4×5
100
= x/5
Issi prakar se 2nd part ka interest = y×5×10
100
= y/2
Aur 3rd part ka interest = z× 10×8
100
= 4z/5
Ab phir se according to question, ye teeno part ka amount equal hai. Means, x = y = 4z
5 2 5
Ab 1st and 2nd part se,
x = y
5 2
y = 2x/5
Ab 1st and 3rd part se,
x = 4z
5 5
z = x/4
Ab eq(i) me y and z value rakhne par:
x+y+z = 148000
x+(2x/5)+(x/4) = 148000
33x/20 = 148000
x = (148000×20)÷33
x = 89696.96
Ab x ki value se y and z ki value calculate karenge.
y = 2x/5 = (2×89696.96)/5
= 35878.78
z = x/4 = 89696.96/4
= 22424.24
5 5
z = x/4
Ab eq(i) me y and z value rakhne par:
x+y+z = 148000
x+(2x/5)+(x/4) = 148000
33x/20 = 148000
x = (148000×20)÷33
x = 89696.96
Ab x ki value se y and z ki value calculate karenge.
y = 2x/5 = (2×89696.96)/5
= 35878.78
z = x/4 = 89696.96/4
= 22424.24
To iss prakar se x,y aur z principal amount honge.
Sender name -: Raunak singh
Date-: Apr 30, 2018
Date-: Apr 30, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-271. hello I am raunak can you help me
Answer-: Hello raunak, Yes I can help you. Boliye hum aapki kya help kar sakte hai ?
Sender name -: Niraj kumar
Date-: May 09, 2018
Date-: May 09, 2018
Kaise send kiya -: Facebook page par massage
#Q-272. sir agar koi vastu ki keemat 180 rs me 1kg hai to mere paas 250 rs hai usme mujhe kitna milega
Solution-: 180 rs me 1 kg mil raha hai. Means, 180 rs = 1 kg
⇒ 1 rs = 1/180 kg
Isliye 250 rs = 250/180 kg
= 1.38 kg
Means , aapko 250 rs me 1.38 kg milega. Answer.
Sender name -: vinod kushwaha
Date-: May 11, 2018
Date-: May 11, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-273. please sir. 23 years ko decimals no main kaise likhege
Solution-: Vinod ji, aapka question complete nahi hai . Please complete question send kariye.
Sender name -: Shubham kumawat
Date-: May 13, 2018
Date-: May 13, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-274. 1 se 9 take ki sankya ko aese likho ki koi bhi sankya double na ho
Solution-: Shubham ji, 1 se 9 tak ko hum normal likh sakte hai . 123456789 koi bhi sankya double nahi hai.
Sender name -: Whatsapp all video
Date-: May 15, 2018
Date-: May 15, 2018
Kaise send kiya -: comment
#Q-275. एक परीक्षा में किसी संख्या के 4/5 गुने तथा उसके 2/3 गुने को जोड़ना था लेकिन छात्र ने गलती से उस संख्या के 5/4 गुने तथा उसके 3/2 गुने को जोड़ दिया परिकलन में त्रुटि प्रतिशत कितना है ?
Solution-: Suppose karte hai ki, koi sankhya = x , ab iss ka 4/5 guna aur 2x/3 guna plus karna hai.
Means, 4x/5 + 2x/3 = 22x/15 (correct answer)
But mistake ke kaaran student ne
5x/4 + 3x/2 = 11x/4 (wrong answer) kar diya.
Isliye , percentage error =
correct - wrong ×100
correct
= (22x/15) - (11x/4) ×100
22x/15
= -77x/60 ×100
22x/15
= (- 7/8)×100 = -87.5%
= 87.5% (minus sign remove) Answer.
Sender name -: Rajkumar k
Date-: May 16, 2018
Date-: May 16, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-276. 1 kilo chini ka dam 27 rupya to 20 gram chini ka dam kitna hoga
Solution-: Diya hai : 1 kg = 27 rs aur hum jaante hai ki ,1 kg = 1000 gram
Means, 1000 gram = 27 rs
⇒ 1 gram = 27/1000 rs
Ab hume 20 gram ka dam batana hai isliye dono side 20 se multiply karenge.
⇒ 20 gram = (20)×(27/1000) rs
= 0.54 rs
20 gram chini ka dam = 0.54 rs hoga.
Sender name -: Chandan Kumar
Date-: May 16, 2018
Date-: May 16, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-277. 10^5/135×10^6×3.57×10^-2
Solution-: 10⁵/135×10⁶×3.57×10-²
= 10⁵/135×3.57×10⁶-²
= 10⁵/135×3.57×10⁴
= 10/135×3.57 [ 10⁵ aur 10⁴ cancel]
= 10/481.95
= 0.0207 (approx.) Answer.
Sender name -: Sagar singh
Date-: May 18, 2018
Date-: May 18, 2018
Kaise send kiya -: contact form
#Q-278. 1 se 1000 tak ke bich kitni primey sankhya hoti h
Solution-: 1 se 1000 ke bich infinite (ananant) primey sankhya hoti hai.
Sender name -: Prabhakar Verma
Date-: May 20, 2018
Date-: May 20, 2018
Kaise send kiya -: Facebook page par massage
#Q-279. Sir kisi saman ka kimat 30% add kar 325/- hai to uska purchasing rate kaise nikal sakte hai. Please define
Solution-: Suppose kar lete hai ki, uska purchasing rate = x
Ab x ka 30% add karne par 325 ho jaata hai. Means, pahle hum x ka 30% nikalenge.
x ka 30% = 30x/100 = 3x/10
Ab hum 3x/10 ko x me add karenge aur 325 ke equal rakhenge.
x+(3x/10) = 325
⇒ (10x+3x)/10 = 325
⇒ 13x/10 = 325
⇒ 13x = 325×10
⇒ x = 3250/13
⇒ x = 250
Means, purchasing rate =₹250 hai. Answer.
Sender name -: Komal
Date-: May 28, 2018
Date-: May 28, 2018
Kaise send kiya -: Contact form
#Q-280. 1 gadriye k pas 17 sheep h . sabhi lekin 9 mar gai. To batao ki zinda kitni h ?
Solution-: Gadriye ke pas 17 hai .lekin 9 mar gayi to kul jinda bachi = 17-9 = 8 Answer.
Sender name -: Giriraj sikhwal
Date-: May 28, 2018
Date-: May 28, 2018
Kaise send kiya -: Contact form
#Q-281. 2,3,4,5,7&8 se 3 word ke kitne no. Bnaye ja skte jisme 2 se devide ho
Solution-: hum jaante hai ki , jis no. ke ones place (ikaai) par 0,2,4,6,8 ho to wahi no. 2 se divide hota hai.
Diye huye number me 2,4 aur 8 hai . Jab ones place par 2 hoga -:
Jab once place par 2 hoga tab 3 anko ki sankhya banane ke liye humare paas 2 place bache hai. Ek hundred place aur ek tens place.
2 place par hume 5 anko (3,4,5,7,8) ko rakhna hai .
Hum jaante hai ki n numbers me se r numbers lekar total bane numbers = ⁿCᵣ = n!
r!(n-r)!
2 place par 5 anko (3,4,5,7,8) ko rakhne ke tarike =
⁻⁵C2 = 5!
2!(5-2)!
= 5!
2!×3!
= 5×4×3!
2!×3!
= 5×4× 3!
2×1×3!
= 10 ormula : nCr = n!/r!(n-r)!
Issi prakar se jab ones place par 4 hoga :
jab once place par 4 hoga tab phir se 2 place par 5 anko (3,4,5,7,8) ko rakhne ke tarike = ⁵C2 = 10
aur issi prakar jab ones place par 8 hoga -:
jab ones place par 8 hoga tab 2 place par 5 anko (3,4,5,7,8) ko rakhne ke tarike = ⁵C2 = 10
Total bane number jo 2 se divide honege = ⁵C2+⁵C2+⁵C2
= 10+10+10
= 30 Answer.
Sender name -: Pratham Sharma
Date-: May 28, 2018
Date-: May 28, 2018
Kaise send kiya -: Contact form
#Q-282. If a=log 12base 18 , b= log 24 base 54 then the value of ab+5(a-b) is
Solution-: Diya hai: a = log1218
⇒ 12ª = 18
⇒ (2×2×3)ª = 2×3×3
⇒ (2²×3)ª = 2×3²
⇒ 2²ª×3ª = 2×3²
⇒ 2²ª-¹×3ª-² = 1 .......(i)
Iss prakar se, b = log2454
⇒ 24b = 54
⇒ (2×2×2×3)b = 2×3×3×3
⇒ (2³×3)b = 2×3³
⇒ 23b×3b = 2×3³
⇒ 23b-1×3b-3= 1 ...........(ii)
(i) and (ii) ko equal rakhne par :
2²ª-¹×3ª-² = 23b-1×3b-3
2 and 3 ke power ko compair karne par:
2²ª-¹ = 23b-1
⇒ 2a-1 = 3b-1
⇒2a-3b = 0 ......(iii)
Again, 3ª-² = 3b-3
⇒ a-2 = b-3
⇒ a-b+1 = 0 .........(iv)
Eq(iv) me 2 se multiply karne par :
2a-2b+2=0
2a-2b = -2 .........(v)
Eq (iii) me se (v) ko subtract karne par: -b = 2 ⇒ b = -2
Eq(iv) me b = -2 rakhne par:
a-(-2)+1 = 0
a+3 = 0
a = -3
ab+5(a-b) = (-3)×(-2)+5{(-3)-(-2)}
= 6+5{-3+2}
= 6+5{-1}
= 6-5
= 1 Answer.
Sender name -: Devendra
Date-: Jun 01, 2018
Date-: Jun 01, 2018
Kaise send kiya -: Contact form
#Q-283. hi Goode evening. y maths lovers. kaise hai sabh? dosto, mai khud ka short me parichay de deta hu. mera nam devendra hai.
basically mai blind"drushtihin" person hu. bachpan se muze maths subject se lagav hai. matlab bole to agar ap muze 24 hours continue muze maths karne bologe to bhiai paknevala insan nahi. kyu ki maths is my true lover. maths ki har ek chij mere nas nas me, khun ke har ek bund me baith chuki hai ki ki nind me bhi mai maths solve kar leta hu. dosto, mere role model "adarsh" r.s. ramanujan hai. unko ne apni antim saas tak maths karte rahe, halaki un ke life me bahut sari mushkile thi fir bhi unho me true lagan ke sath maths karte rahe & ek true maths genious ke rup me ham un ko jante hai.
dosto, mai yahi kehna chata hu ki, hum sabh maths genius ban sakhte hai, bas avashyakta haithode hamare soch me parivartan lane ki.
hamari soch positive rahegi to ham maths me genus kya supper fast calculater se bhi & computer laptop se bhi powerful ban jaoge. tabh bolege ki khadde me gaya calc & computer lapto. jabh mai is se supper fast hu to is ko mai kyu use karu? dosto ap sabh aise socho, ki mai maths me genius & exports ban sakta hu & ban ke hi rhunga. & us ke hisab se kadam uthao. to bhale itni bhi mushkil bhi kyu na aye to piche mat hatna. acharya chanakya ke shabd muze yad aa rahe hai. "bhag mat kar prayas, kar pryas, bhag mat"
is blog ke mukhya person se meri vinamra vinati hai, ki mai bhi apne is blog par maths ka artical bana ke upload karna chata hu to krupya muz se sampark kar ke muze margdarshan kare.
happy birthday maths tricks hindi
thank you
Answer-: Devendra ji sabse pahle to aapko thanks ki, aapne apne vichar humse share kiya. Hume motivate kiya aur hume achhi-achhi baate batayi. Aapne "R.S. Ramanujan" aur "Acharya chankya" ka jikra kiya . Bahot achha laga. Aapke word se hum aur jo issko read karega wo sabhi jarur motivate honge. Aap jaise math lovers ki hume jarurat hai. Aap jarur humare "Maths Tricks in Hindi" ke family member ban sakte ho aur apne math article ko iss blog par upload kar sakte ho. Hum jald hi isske baare me details me ek article likh kar publish karenge. Jisme full details me bataya jaayega ki kya-kya karna hai? Tab tak ke liye aap wait kare. Aapne apna intrest dikhaya iske liye aapko again Thank you !!
Sender name -: Mabendra inaniyan
Date-: Jun 02, 2018
Date-: Jun 02, 2018
Kaise send kiya -: Contact form
#Q-283. How many numbers of six digits we made by 1,2,3,4,5,6,7,8,9,0 with answer all numbers
Solution-: Diya huaa total number = 10, Ab hume inn 10 diye huye numbers se 6 digits ka number banane hai. Means hume ones, tens, hundred, thousand, ten thousand, aur lakh ki jagah par inn 10 numbers ko rakhna hai.
Lakh ke jagah par "0" nahi ho sakta kyuki tab number 6 digits ka nahi rahega.
Isliye lakh ki jagah par hum 9 numbers 1,2,3,4,5,6,7,8,9 me se kisi ek number ka rakh sakte ha.
Isliye lakh ke jagah par number ko rakhne ke total tarike = 9
Ab ten thousand ki jagah par 0 sahit sabhi 9 numbers ko rakhne ke total tarike = 10
Issi prakar se thousand, hundred, tens, ones ki jagah par hum 10,10,10,10 prakar se rakh sakte hai.
Isliye total tarike = 9×10×10×10×10×10 = 900000 Answer.
Sender name -: nibha
Date-: Jun 07, 2018
Date-: Jun 07, 2018
Kaise send kiya -: Contact form
#Q-284. 3÷4-3÷4=0 how
Solution-: nibha ji 3÷4 = 0.75 hoga.
3÷4-3÷4 = 0.75-0.75 = 0
Sender name -: Ganesh Chakor
Date-: Jun 08, 2018
Date-: Jun 08, 2018
Kaise send kiya -: Contact form
#Q-285. Sir.me 12th science ka student hu. Lekin mujhe math kuch samjme nahi ata .Mujhe examples dekha kar hi de ar lagta hai.kuch aisi strick bataye ki mujhe math se pyar hone lage.please....
Solution-: Ganesh ji, Sabse pahle to hum ye kahana chahte hai ki,math padane ke liye koi trick hai hi nahi. Issko to dhyaan se samjh kar aur read karke solve kiya jaata hai. Aur aapko math se darne ki jarurat nahi hai. Aap math se dare nahi balki issko dhyaan se samjhne ki koshish kare. Agar koi chij samjh me nahi aati to kisi apne family members ya teacher ki help le. Hum bhi aapki help kar sakte hai. Aap math me koi bhi topic pade uss topic ke basic aapko jarur maalum rahne chahiye. Tabhi aap uss topic ko samjh paayenge. Issliye Basic par jaada dhyaan dijiye. Hum ye ummid karte hai ki aapko humare answer se jarur help milegi. Koi aur problem ya doubt ho to jarur puche.
Sender name -: Vishal Delu
Date-: Jun 13, 2018
Date-: Jun 13, 2018
Kaise send kiya -: Facebook page par massage
#Q-286. 2 -2
4 7
find A inverse of each matrices
Solution-:
Hum dekh sakte hai ki, A ek 2×2 ka matrix hai.
A = [ 2 -2 ]
[ 4 7 ]
A inverse find karne ke liye hume formula ka use karna hoga.
A-1= 1 × adjA
|A|
|A| = A ka determinant
Ab sabse pahle hum |A| calculate karte hai.
|A| = | 2 -2 |
| 1 7 |
= 2×7-(-2×1) = 14+2 = 16
Hum dekh sakte hai ki |A|≠ 0 isliye A inverse maalum kiya jaa sakta hai.
Matrix A ka adj A hum iss prakar se calculate karenge:
adjA = [C2×2]T
C11 = 7, C12 = 4, C21= 2 and C22 = 2
C = [ 7 4 ]
[ 2 2 ]
adjA = [ 7 2 ]
[ 4 2 ]
Isliye ab hum A-1= ki value formula se nikalate hai.
A-1= 1 × [ 7 2 ]
16 [ 4 2 ]
A-1= [ 7/16 2/16 ]
[ 4/16 2/16 ]
A-1= [ 7/16 1/8 ]
[ 4/16 1/8 ] Answer.
Sender name -: Bajrang Tanwar
Date-: Jun 13, 2018
Date-: Jun 13, 2018
Kaise send kiya -: Facebook page par massage
#Q-287. मोहन ने अपनी कुल सम्पति अपनी पत्नी , तीन पुत्रो , दो पुत्रियों तथ 5 नाती - नातिनो में इस प्रकार वितरित की कि प्रत्येक नाती-नातिन को प्रत्येक पुत्र का 1/8 भाग और प्रत्येक पुत्री का 1/10 भाग मिले . उसकी पत्नी को उसके पुत्रो एवं पुत्रियों के कुल भाग का 40% मिले. यदि प्रत्येक पुत्री को 1.25 लाख मिले हो, तो उसकी पत्नी एवं तीन नाती-नातिनो को कुल कितना धन मिला ?
(a) ₹ 32500 (b) ₹ 257500
(c) ₹ 282500 (d) निर्धारित नहीं किया जा सकता (e) इनमे से कोई नहीं
Solution-: Suppose karte hai ki, pratyek putra ko total ₹ x mila.
Means , 1 putra = ₹ x
Isliye 3 putro = ₹ 3x mile.
Question me diya hai ki, pratyek putri ko total ₹ 1.25 lakh mila.
Means , 1 putri = ₹ 125000
Isliye 3 putri = ₹ (3×125000)
= ₹ 375000 mile.
Pratyek naati - naatin ko pratyek putra ka 1/8 bhaag mila . Means Pratyek naati - naatin ko mila rupya = 3x/8 .............(i)
Phir se question me diya hai ki, Pratyek naati - naatin ko pratyek putri ka 1/10 bhaag mila . Means Pratyek naati - naatin ko mila rupya = ₹375000/10
= ₹ 37500 ..............(ii)
1 naati-naatin ko mila rupya = ₹ 37500
Isliye 3 naati-naatin ko mila rupya = 3×37500 = ₹ 112500 .........(iii)
Ab question ke according (i) aur (ii) equal honge.
Isliye 3x/8 = 37500
x = ₹100000
Isliye 3 putro = ₹ 3x
= ₹(3×100000)
= ₹ 300000 mile.
Ab question me diya hai ki, uski patni ko putro aur putriyo ke total bhaag ka 40% mila . Means , Patni ko mila = ₹(300000+375000)×40%
= ₹675000×40/100
= ₹270000
Isliye uski Patni aur 3 naati-naatin ko mila rupya
= ₹(270000+112500)
= ₹ 382500
(e) इनमे से कोई नहीं ✔️
Sender name -: shweta Rai
Date-: Jun 15, 2018
Date-: Jun 15, 2018
Kaise send kiya -: Contact form
Aapka 2 question hai:
#Q-288. sir plz explain
ek circle k ander ek square bna h...dono ka ratio kya hoga???
Solution-: shweta ji , aapka ye question complete nahi hai. Aap circle aur square ke kon si chij ka ratio jaanana chahti hai?
#Q-289. one more que sir..
9 bache kisi kaam ko 360 din m krte h. 18 aadmi 72 din m or 12 aurte 162 din m...to 4 aadmi 12 aurte or 10 bache is kaam ko kitme din m krenge?????
Solution-: • 9 bache = 360 din
Isliye, 1 bache(C) = 360×9 din ......(i)
• 18 adami = 72 din
Isliye, 1 adami(M) = 72×18 din ........(ii)
• 12 aurte = 162 din
Isliye, 1 aurte(w) = 162×12 din ........(iii)
Adami , aurte aur bache ek hi kaam ko khatan karte hai isliye,
(360×9)C = (72×18)M = (162×12)W
30C = 12M = 18W
5C = 2M = 3W
• 3 aurte= 2 adami
1 aurte = 2/3 adami
Isliye, 12 aurte = 2/3 × 12 = 8 adami
Issi prakar se • 5 children = 2 adami
Isliye, 1 children = 2/5 adami
Isliye, 10 bache = 2/5 × 10 = 4 adami
4 adami+12 aurte + 10 bache
= 4 adami + 12 aurte + 10 bache
= 16 adami
18 adami = 72 days
16 adami = (72×18)/16
= 81 days
4 adami 12 aurte 10 bache uss kaam ko 81 days me khatam karenge.

Sender name -: PANKAJ KUMAR SHARMA
Date-: Jun 15, 2018
Date-: Jun 15, 2018
Kaise send kiya -: Contact form
#Q-289. Sir mujhe bilkul bhi math nhi aati AUR ma previous me hu fir
Solution-: Pankaj hum aapki puri help karne ki koshish karenge. Aap bataye ki aapko math me kya problem hoti hai ? Hum uss ko dur karne ki koshis karenge. Aapko jarur math samjh aayega.
Sender name -: Neeraj Kalal
Date-: Jun 16, 2018
Date-: Jun 16, 2018
Kaise send kiya -: Facebook page par massage
Aapka total 5 questions hai:
#Q-290. यदि A=2,B=3,C=5,D=7 हो तो G व P का कुल मान क्या होगा
Solution-:
A = 1+1 = 2 I = 9+8 = 17
B = 2+1 = 3 J = 10+9 = 19
C = 3+2 = 5 K = 11+10 = 21
D = 4+3 = 7 L = 12+11 = 23
E = 5+4 = 9 M = 13+12 = 25
F = 6+5 =11 N = 14+13 = 27
G = 7+6 = 13 O = 15+14 = 29
H = 8+7 = 15 P = 16+15 = 31
G aur P ka kul maan = 13+31= 44 Ans.
#Q-291. अनुक्रम 3,8,13,18... का कौनसा पद 498 है?
Solution-: Question me diya hai ki, a = 3 aur d = 8-3 = 5
Suppose karte hai ki, n waa pad = 498
Isliye formula -:
n waa pad = a+(n-1)×d
498 = 3+(n-1)×5
498 = 3+5n-5
498 = -2+5n
5n = 498+2
5n = 500
n = 100
Isliye 100 waa pad 498 hoga.
#Q-292. 0.365 बार का भिन्न रूप क्या है ?
Solution-: Suppose x = 0.365365365... (i)
Dono side 1000 se multiply karne par:
1000x = 365.365365... ........(ii)
Ab (ii) me se (i) ko subtract karne par:
(1000x-x) = (365.365365...- 0.365365...)
999x = 365
x = 365/999 Ans.
#Q-293. प्रशन.वह दिघात बहुपद जिसक एक शून्यक 5+रूट 7 है वह है?
Solution-: Agar ek mul = 5+√7 hai to dusra mul = 5-√7 hoga.
Ab dwighaat bahupad ka formula use karne par :
x²-(mulo ka add)x+(mulo ka multiply) = 0
x²-(5+√7+5-√7)x+(5+√7)(5-√7) = 0
x²-10x+{5²-(√7)²} = 0
x²-10x+(25-7) = 0
x²-10x+18 = 0 Ans.
#Q-294. सोलह संख्याओ का माध्य आठ है,यदि प्रत्येक संख्या में दो जोड दिया जाए तो नया माध्य होगा?
Solution-: Suppose karte hai ki, 16 sankhya iss prakar se hai:
x1, x2, x3, x4, x5, x6, x7, x8, x9, x10, x11, x12, x13, x14, x15, x16,
According to the question:
(x1+x2+....x14+x15+x16)/16 = 8
⇒x1+x2+....x14+x15+x16 = 128 .........(i)
Ab question ke according sabhi me 2 add karne par:
⇒x1+2+x2+2....x14+2+x15+2+x16+2= 128
⇒x1+x2+....x14+x15+x16+32 = 128
⇒x1+x2+....x14+x15+x16 = 128-32
⇒x1+x2+....x14+x15+x16 = 96
⇒(x1+x2+....x14+x15+x16)/16= 96/16
⇒(x1+x2+....x14+x15+x16)/16 = 6
Naya maadhya = 6 Answer.
⇒x1+x2+....x14+x15+x16 = 96
⇒(x1+x2+....x14+x15+x16)/16= 96/16
⇒(x1+x2+....x14+x15+x16)/16 = 6
Naya maadhya = 6 Answer.
Sender name -: kashish singh
Date-: Jun 19, 2018
Date-: Jun 19, 2018