मंगलवार, जून 02, 2015

Fast multiply by 11 of any numbers in hindi

Last update -:  Oct 05, 2019

Hello friends! Aaj hum aapko ek bahut Amazing aur fast multiplication trick batane jaa rahe hai. Ye multiplication tricks ek special number ke liye hai.wala hu. Usase pahle mai aapse kuch jaanana chahta hu.
Kya aap 14×11 , 58×11, 541×11 ya 1354×11 ko 10 seconds me solve kar sakte hai ?
I'm sure your answer is "No"
But mai isko kar sakta hu. Aap kahenge "kaise" ??
Yahi to aaj mai aapko bataunga. Agar aap ye jaanana chahate hai to bas aap iss article ko pura read kariye.
To aayiye aaj ka shortcut trick start karte.

Fast multiply by 11 of any numbers in hindi

Also read -:
• Top 10 math tricks post november 2016
Partial fraction( aanshik bhinnh) ka tricks

Aaj mai aapko batauga ki kisi bhi number ka fast multiply 11 k saath kaise kar sakate hai?

Fast multiply by 11

Friends mai aapko 11 se multiply karne ka fast tarika batauga, iss tricks ka use kark aap kuch seconds me hi iss type ka multiply kar sakate hai. Iss tricks me Jada dimag(mind) karch karne ki bhi jarurat nhi hai.

Also read -:
 Multiplication tricks of two digits number

Iss tricks ka use kab kare? 
Iss tricks ka use aap kewal tab kar sakate ho jab 11 se multiply karna ho.
Iss tricks ka kya fayada(profit) hai? 
Iss tricks ka use kark aap easy aor bahot hi kam(less) time me 11 se multiply kar sakate hai. Balki mai to kahata hu ki aap question ko dekh kar hi answer bata sakate ho.
Also read -:Three digit k number ka multiplication

Iss tricks ko karne k liye aapko ek simple sa rules yaad rakhna ho,tricks k rules bhot easy hai.Aap 1-2 baar practice kar lenge to ye aashani se samjh aajayega. Chaliye tricks k rules bata deta hu.
Tricks k rules -:
Aap niche diye step ko step by step kark 11 ka multiply fast se fast kar sakate hai-:
Step-1. Jiss bhi number ka multiply 11 se Karna hai usse sabse pahale alag-alag likhe. 
Ex-: 11*13
Iss example me 11 ka multiply 13 se Karna hai Isliye 13 ko alag - alag likhana hai,jaisa maine niche likha hai-:
1     3
Step-2. Ab jis number ka multiply 11 se Karna hai unnhe aapas me jode (add Kare ).
Ex - 11*13
13=1+3=4
Step-3.  Ab second step me add karne par jo mila usse first step me jo alag - alag kiye hai ussme bharenge. 
Ex-  11*13
1     3
13=1+3=4
1 4  3
To  11*13=143 Ans.
Step-4. Kabhi kabhi Step-2 ka addition 2 digit ka milta hai to uss niche bataye example ki tarah Kare.
Also read -: square of numbers last digit-5
Ex. 11 * 28=?
Trick -: Step-1.   28= 2      8
              Step-2.   28=2+8=10 ( 10 me se "0" ko 2 aor 8 k beech me bhar denge aor "1" ko 2 me add kar denge. )
              Step-3.   (2+1)  0   8 = 308
28 * 11 = 308 Ans.
Bas aapko uppar diye rules dhayan rakhana hoga. Chaliye kuch different differenet example dekhate hai. 

Example - 1.            14 * 11 = ?

Solution -:  niche diye step ko follow kijiye -:
Step-(1)    11 ka multiply jis number se krna hai .usse alag alag likh le. Jaise iss example me 14  se karna hai. Isliye 14 ko aise likhe -:
                   14 * 11 = 1        4
 Step -(2)    ab 14 = 1+4=5 ko step-(1) me jo 1 aor 4 k bich me jo khali jagah hai waha bhare. Aise-:
                    14 * 11 = 1  5   4
                     Bus ho gaya 14 * 11 = 154 Ans.

Example -2.         13 * 11=?

Solution -:Step ko follow kijiye -:

Step-(1) sabse pahle 11 k saath jis 2 digit k number ka multiply Karna hai, usse alag-alag  likh le. Isme13 se multiply Karna hai, isliye aise likhe - :
   13 * 11= 1      3
Step-(2)  Ab 13 = 1+3 = 4 kark upar 1      3 k beech me bhare .
  13 * 11 = 1 4 3
   Bus ho gaya , 13 * 11= 143 Ans.

Example -3.                     35 * 11 = ?
Tricks-:  niche diye steps ko follow kare -:
Step-(1)   sabse pahle 35 * 11 = 3.....5 llikhe.
Step-(2)   ab 35 = 3+5 =8 ko step-(1) me diye 3 ...5 k bich me bhare jaisa maine niche likha hai -:
35 * 11 = 385   Ans.

Example - 4.        49 * 11 = ?

Tricks - :  Step -(1)  49 * 11 = 4   9
                 Step-(2)  49 = 4+9 = 13 
                 Step-(3) 13 two digit number hai .isliye 13 me se 3 ko step-(1)  k 4     9 k bich me bharege aor 13 me se 1 ko 4 me add karege.jaisa maine niche kiya hai -:
  49 * 11 = (4+1)  3  9  = 539 
Bus ho gaya      49 * 11 = 539  Ans .

Example- 5.         58 * 11 = ?

Tricks - :  Niche diye image dekhe -:

Aayiye three digits  k number ka fast multiply 11 se karte hai-:
Ex-6. 143 * 11=?
Step-1.  14     3
Step-2. 143= 14+3=17
Step-3. (14+1)  7  3=1573
Step-4. 143*11= 1573 Ans.
Ex-7. 137*11=?
Step-1. 137= 13    7
Step-2. 13+7=20
Step-3. (13+2) 0 7=1507
Step-4. 137*11=1507 ans.
Ex-8. 756*11=?
Step-1. 758=75    8
Step-2. 75+8=83
Step-3. (75+8) 3 8=8338
Step-4. 758*11=8338 Ans.
Ex-9. 541*11=?
Step-1. 54    1
Step-2. 54+1=55
Step-3. (54+5) 5 1=5951
Step-4. 541*11=5951 Ans.
Ex-10. 652*11=?
Step-1. 65   2
Step-2. 65+2=67
Step-3. (65+6) 7  2=7172 Ans.

Issi tarah se hum 4 digit k number ka fast multiply 11 se kar sakate hai.
Aayiye 4 digit k number ka example dekhate hai -:
Ex-11. 1354*11=?
Step-1.  135    4
Step-2. 1354=135+4=139
Step-3. (135+13) 9 4=14,894
Step-4.1354* 11 = 14,894 Ans.
Ex-12. 2453*11=?
Step-1. 2453=245   3
Step-2. 245+3=248
Step-3. (245+24) 8  3=26983
Step-4. 2453*11= 26983 Ans.
Ex-13. 4231*11=?
Step-1. 423   1
Step-2. 423+1=424
Step-3. (423+42) 4 1=46541
Step-4. 4231*11=46541 Ans.
Ex-14. 6523*11=?
Step-1. 652     3
Step-2. 652+3=655
Step-3. (652+65) 5 3=71753
Step-4. 6523*11=71753 Ans.

To dekha dosto tricks se hum 11 ka multiply fast se fast kar sakate hai. Chahe wo 2 ,3, ya 4 digit ka number hi q na ho.
Ab aap k liye kuch question de raha hu try jarur Kare aor mujhe bataye aap kitane seconds me kar le rhe hai.
Q-45*11=? , Q-61*11=? , Q-423*11=?
Q - 464 * 11 = ?
Q - 4173 * 11 = ? 
Q - 688 *11 = ?


Hume ummid hai ki, aapko ye amazing aur fast multiplication tricks jarur helpful laga hoga. Agar aapko kuch puchhna hai yaa aapko koi math me doubt hai toh aap comment yaa humare facebook page  par massage karke bhi puch sakte hai aur iss page ko like jarur kariye taki aapko humare har new tricks ki notifications milti rahe.
Aap hume Twitter par follow kark new post ki update aashani se paa sakate hai.
Agar aapko ye multiplication shortcut tricks helpful laga ho toh please Isse apane dosto k saath jarur share kare

2 टिप्‍पणियां: