गुरुवार, जनवरी 04, 2018

How to fast multiply 2-digit number by 99

Hello friend ! Aaj hum aapko 2-digit numbers ko 99 se multiply karne ka fast  and easily method batayenge. Ye ek simple , easy and very fast short trick hai. Iss trick ka use karke aap aashani se kisi bhi 2-digit ke number ka 99 ke saath fast-to-fast multiply kar sakte hai.
Ye trick itana easy hai ki , aapko pen and paper ki jarurat hi nahi padegi . Agar aapne ek baar acche se practice kar liya to iss type ke multiplication ka  Answer aapke mind me hoga.

fast-multiply-2-digit-number-by-99

Aap iss type ke kam se kam 5 questions ko likhkar general method se multiply kariye phir issi question ko humare iss trick se solve kariye. Difference aapko khud samjh aajayega. To chaliye start karte hai :

How to fast multiply 2-digit number by 99


Iss shortcut trick ke liye humne 10 questions liya hai. Jo niche diya hai : 
Q-1.   16×99             Q-6. 62×99
Q-2.   25×99             Q-7. 76×99
Q-3.   34×99             Q-8. 85×99
Q-4.   41×99             Q-9. 97×99
Q-5.   53×99             Q-10. 8×99  

Trick ka rule -:

Aap please iss trick ka video jarur dekh lijiye. Jo humane niche diya hai. Agar aapne iss trick ka video dekh liya hai to aapko iss trick ke rule ki jarurat nahi padegi. Aap direct trick laga sakte ho. but agar aapne nahi dekha to koi baat nahi aap iss trick ke rule ka use karo .
Trick ka rule bahot hi easy hai. Jo kewal 2 steps me complete hota hai.

Step-1. Jis number ka 99 se multiply karna hai ussme se 1 minus kariye. Subtraction result hi humare multiplication ka 1st part hai. 
For example-:
                16×99 = ??
Step-1. 16-1= 15
         ⇒ 27×99 = 15__

Step-2. Step-1 me mile huye no. (15) ko 99 me se minus kar dijiye. Ye no. hi humare multiplication result ka second part hai.
For example-:
              16×99 = ??
Step-1. 16-1=15
         ⇒ 16×99 = 15_
Step-2. 99-15 = 84
         ⇒ 16×99 = 1584

Q-2 se Q-5 tak ke liye humne ek video banakar samjhaya hai. Aap isko jarur dekhiye.
Watch this video -:



Q-6. se Q-10 tak hum aapko karke dikhayenge.

Q-6. 62×99
Trick-: Step-1. 62-1 = 61
              Step-2. 99-61 = 38
⇒ 62×99 = 6138 Ans.

Q-7. 76×99
Trick-: Step-1. 76-1 = 75
              Step-2. 99-75 = 24
⇒ 76×99 = 7524 Ans.

Q-8. 85×99
Trick-: Step-1. 85-1 = 84
              Step-2. 99-84 = 15
⇒ 85×99 = 8415 Ans.


Q-9. 97×99
Trick-: Step-1. 97-1 = 96
              Step-2. 99-96 =03
⇒ 97×99 = 9603 Ans.

Last example humane one digit ka number liya hai. Uska reason ye hai ki , aap iss trick ka use one digit ke number ke liye bhi kar sakte hai.

Q-10. 8×99
Trick-: Step-1. 8-1 = 7
              Step-2. 99-7 = 92
⇒ 8×99 = 792 Ans.



I hope ki , aapko aaj ka shortcut multiplication trick achha laga hoga. 
Agar aapko ye trick accha laga ho to please iss trick ko apne friends ke saath share karke humari help kariye.
Aagar aapko issme kisi bhi point par koi problem ho rahi ho to aap comment karke puchh sakte hai.

Thanks for visiting :)

Also read -:

• Fast multiply by 11 of any numbers in hindi
• Fast calculate square of numbers ending with 5

2 टिप्‍पणियां:

  1. a rectangular tank is filled with water to 1/5 of its height. water from a tap flows into the tank at 1.8 liters a minute. how much water is in the tank after 6 minute

    जवाब देंहटाएं
  2. 1 minutes me fill water= 1.8 litters
    So, 6 minutes = 1.8×6
    = 10.8 litters Ans.

    जवाब देंहटाएं