गुरुवार, फ़रवरी 22, 2018

Base 100 multiplication tricks for 2 digit numbers

Hello friend!! Humne apne last post me aapko Base method multiplication shortcut trick ke baare me bataya tha. Aaj hum aapko iss method ka use karna sikhayenge. Aaj hum aapko sikhayenge ki, jin 2 digit number ka base 100 ho unn number ka multiplication tricks se kaise karte hai?
Base 100 multiplication tricks
Ye ek simple, easy and fast shortcut trick hai. Iss trick ka use karke aap base 100 waale number ka multiply aashani aur jaldi se kar sakte hai.
Agar aapko believe nahi ho raha to aap base 100 waale 10 multiply ke questions ko regular jaise solve karte hai vaise solve kare aur isko solve karne ka time note kar lijiye ki kitna time laga ?

Ab issi 10 questions ko humare bataye huye trick se solve kariye aur uske baad iska bhi time note kar lijiye. Aapko khud maalum ho jaayega ki , kisme time adhik lagta hai !
To chaliye aapko iss trick ko sikhana start karte hai. Aap se ek request hai ki aap ek pen and paper lekar humare saath-saath practice kariye jiss se aapko ye trick achhey se samjh me aaye.To chaliye start karte hai.

Base 100 multiplication tricks for 2-digit numbers

Hum aapko 10 multiplication questions ko iss base method shortcut trick se solve karke dikhate hai. Aapko kisi bhi point par nahi samjh aaye to comment karke jarur puche.

#Q-1. 91×99

Step-1. Sabse pahle 91 aur 99 ko 100 me se subtract kariye.
100-91=9 aur 100-99=1

Step-2. Ab step-1 me subtract karne par jo number 1 mila usko 91 me se subtract kariye.
91-1 = 90 ...(i)

Step-3. Step-1 me aaya number 9 aur 1 ka multiply kariye.
9×1=09...(ii)

(i) aur (ii) ko ek saath likhiye.

91×99 = 9009 Answer.

#Q-2. 99×95

Step-1. Sabse pahle 99 aur 95 ko 100 me se subtract kariye.
100-99=1 aur 100-95=5

Step-2. Ab 99 me se 5 ko subtract kariye.
99-5= 94 ...(i)

Step-3. Step-1 me aaya number 1 aur 5 ka multiply kariye.
1×5 = 05 ...(ii)

(i) aur (ii) ko ek saath likhiye.

99×95 = 9405 Answer.

#Q-3. 98×82

Step-1. Sabse pahle 98 aur 82 ko 100 me se subtract kariye.
100-98=2 aur 100-82=18

Step-2. Ab 98 me se 18 ko subtract kariye.
98-18 = 80 ...(i)

Step-3. Step-1 me aaya number 2 aur 18 ka multiply kariye.
2×18 = 36 ...(ii)

(i) aur (ii) ko ek saath likhiye.

98×82 = 8036 Answer.

#Q-4. 94×79

Step-1. Sabse pahle 94 aur 79 ko 100 me se subtract kariye.
100-94=6 aur 100-79=21

Step-2. Ab 94 me se 21 ko subtract kariye.
94-21 = 73 ...(i)

Step-3. Step-1 me aaya number 6 aur 21 ka multiply kariye.
6×21 = 126 = 26  ...(ii) and 1 carry hoga.
1 carry ko (i) me add karenge.
73+1 = 74 ....(iii)

(iii) aur (ii) ko ek saath likhiye.

94×79 = 7426 Answer.

#Q-5. 95×61

Step-1. Sabse pahle 95 aur 61 ko 100 me se subtract kariye.
100-95=5 aur 100-61=39

Step-2. Ab 95 me se 39 ko subtract kariye.
95-39 = 56 ...(i)

Step-3. Step-1 me aaya number 5 aur 39 ka multiply kariye.
5×39 = 195 = 95 .....(ii) and 1 carry hoga.
1 carry ko (i) me add karenge.
56+1 = 57 .....(iii)

(iii) aur (ii) ko ek saath likhiye.

95×61 = 5795 Answer.



#Q-6. 93×54

Step-1. Sabse pahle 93 aur 53 ko 100 me se subtract kariye.
100-93=7 aur 100-54=46

Step-2. Ab 93 me se 46 ko subtract kariye.
93-46 =  47 ...(i)

Step-3. Step-1 me aaya number 7 aur 46 ka multiply kariye.
7×46 = 322 = 22 ...(ii) and 3 carry hoga.
3 carry ko (i) me add karenge.
47+3 = 50 ....(iii)

(iii) aur (ii) ko ek saath likhiye.

93×54 =5022  Answer.

#Q-7. 92×46

Step-1. Sabse pahle 92 aur 46 ko 100 me se subtract kariye.
100-92=8 aur 100-46=54

Step-2. Ab 92 me se 54 ko subtract kariye.
92-54 = 38 ...(i)

Step-3. Step-1 me aaya number 8 aur 46 ka multiply kariye.
8×54 = 432 = 32 ...(ii) and 4 carry hoga.
4 carry ko (i) me add karenge.
38+4 = 42 ....(iii)

(iii) aur (ii) ko ek saath likhiye.

92×46 = 4232 Answer.

#Q-8. 97×38

Step-1. Sabse pahle 97 aur 38 ko 100 me se subtract kariye.
100-97=3 aur 100-38=62

Step-2. Ab 97 me se 62 ko subtract kariye.
97-62= 35  ...(i)

Step-3. Step-1 me aaya number 3 aur 62 ka multiply kariye.
3×62 = 186 = 86 ...(ii) and 1 carry hoga.
1 carry ko (i) add karenge.
35+1 = 36 ....(iii)
(iii) aur (ii) ko ek saath likhiye.

97×38 = 3686 Answer.

#Q-9. 96×17

Step-1. Sabse pahle 96 aur 17 ko 100 me se subtract kariye.
100-96=4 aur 100-17=83

Step-2. Ab 96 me se 83 ko subtract kariye.
96-83 = 13 ...(i)

Step-3. Step-1 me aaya number 4 aur 83 ka multiply kariye.
4×83 = 332 = 32 ...(ii)
and 3 carry hoga.
3 carry ko (i) me add karenge.
13+3 = 16 .....(iii)
(iii) aur (ii) ko ek saath likhiye.

96×17 = 1632 Answer.

#Q-10. 90×23

Step-1. Sabse pahle 90 aur 23 ko 100 me se subtract kariye.
100-90=10 aur 100-23=77

Step-2. Ab 90 me se 77 ko subtract kariye.
90-77 = 13 ...(i)

Step-3. Step-1 me aaya number 10 aur 77 ka multiply kariye.
10×77 = 770 = 70 ...(ii)
 and 7 carry hoga.
7 carry ko (i) me add karenge.
13+7 = 20 .....(iii)
(iii) aur (ii) ko ek saath likhiye.

90×23 = 2070 Answer.



I hope ki, aapko aaj ka base 100 multiplication tricks for 2 digit numbers achha laga hoga. Agar accha laga to please iss trick ko apne sabhi friends ke saath share kariye.
Agar aapko iss trick ke kisi bhi point par koi bhi problem ya doubt ho to aap nichey diye comment box ki help se comment ya humare Facebook page par massage karke puchh sakte hai.
Hum issi tarah math ke tricks aur math se related topic aapke liye share karte hai. Aap kon-si topic par next article chahte hai ? Abhi comment ya massage karke bataye.
Ye article padane ke liye aapka bahut-bahut dhnyawad !!

3 टिप्‍पणियां: