शुक्रवार, जून 01, 2018

Happy Birthday Maths Tricks in Hindi

Ji haa dosto !! Aaj June 01 ko Maths Tricks in Hindi ka " Happy Birthday " hai. Hume , aapko ye batate huye bahot kushi ho rahi hai ki, Maths Tricks in Hindi ne successful 3 years complete kar liya hai aur isska pura credit aapko jaata hai. Aapke love and support ke karan hi hum ye kar paaye aur hume puri ummeed hai ki aage bhi aapka yahi love and support hume milta rahega.

Happy Birthday "Maths Tricks in Hindi"

Happy birthday Maths Tricks in Hindi

Aaj se thik 3 years pahle June 01,2015  ko humne Maths Tricks in Hindi ko create kiya. Issko create (banane) ka  main maksad (motive)  ye hai ki, hum unn logo ki free me math me help karna chahte hai jo math me kamjor (weak) hai. Jo math to sikhana chahte hai, but unko koi free me sikhana nahi chahata. Isliye humne aapko free me mathematics sikhane ke liye ye blog banaya. Hum iss blog ke help se  hindi me  aapki mathematics me free me help karte hai aur aapki help karte-karte humne 3 years  complete kar liya hai. Jiski hume bahot khushi ho rahi hai.

 Humara future plans : 

3 years complete hone ke baad hum aapki best se best help kar sake aur aapko hum kuch sikha sake isske liye humane aane waale time ke liye kuch plan banaye hai.
Aane wale time me hum apne banaye huye plan ko complete karke iss blog ko better se better banane ki koshish karenge. Jiss se aapko jaada se jaada aur easily help mile. Humare plan kuch iss prakar se hai :

 Plan (1). Live chat start karna : 

 Aaj ke baad hum every Sunday ko morning me time 8:00 am to 9:00 am (on india time) tak aapke saath Live Chat karne ki koshish karenge. Live chat hum issi blog par karenge. Hum issi blog par Sunday ko bataye huye time par online rah kar aapke sath Live chat karenge. Hum ye koshish karenge ki, hum every Sunday ko Live chat kar sake. Lekin agar kisi karan se Live chat nahi ho paaya to isske liye sorry.

 Live chat kaise kare ?

Aap iss blog ke kisi bhi article par comment karke humse Live chat kar sakte hai. Comment karne ke liye aapko comment box me apna comment , name aur mail id fill karke publish karna hoga. Aapke every comment ka hum ussi time reply karne ki koshish karenge . Ye jaruri nahi hai ki , hum aapke har question ka reply kare.

 Live chat start hai ya nahi ? Ye kaise maalum chalega .

I think ab aap soch rahe honge ki, aapko kaise maalum chalega ki , Live chat start hai ya nai ?
Iss ke liye aapko Sunday ko 8:00 am to 9:00 am time par visit karna hoga. Jab aap iss blog par visit karenge to Maths Tricks in Hindi ke logo ke niche likha hoga ki, " Hum abhi online hai. Aap humse Live Chat kar sakte hai."
Tab aap Live chat kar sakte hai. Agar ye likha huaa nahi hoga tab aap humse Live chat nahi kar sakte hai.

 Live chat me kya-kya puchh sakte hai ?

Aap kewal mathematics se related question hi puchh sakte hai. Aap humare bataye math topic ya tricks se related question bhi puchh sakte hai. Aap apne suggestions ya problem bhi hume share kar sakte hai. Hum puri koshish karenge ki aapki problem ko solve kar sake.

 Plan (2). Aap money earn kar sakenge : 

Ji haa dosto aane waale time me hum ek plan laane ki soch rahe hai, jiss se aapki mathematics fast hone ke saath-saath aap kuch money bhi earn kar sakenge.

 Money earn karne ke liye kya karna hoga ? 

Aapko karna shirf itana hai ki , aapko mathematics ke topics se related article likh kar hume send karna hoga aur hum aapke send kiye article ko aapko credit dete huye iss blog par publish karenge. Aapke iss article ke pageviews ke anusaar aapko hum paise denge.

 Paise kab , kaise aur kitne milenge ?

Aapke article ke pageviews aur popularity ke hissab se aapko paisa ek fixed date tak aapke bank account me send kiye jaayenge

【Note: Plan(2) par abhi hum vichaar kar rahe hai . Ye start hoga ya nahi ? Isska decision aapko karna hai. Aap comment karke apna jawaab bataye ki "aap iss me intrested hai." Agar aapka response achha raha to isske baare me details me article ki help se aapko batayenge.】

 Plan (3). Video publish karna : 

Hum kosish karenge ki apne har article me kam-se-kam ek You tube video add kare. Jiss se aapko wo article aur achhey se samjh aaye. Agar aapne abhi tak humare You tube channel ko subscribe nahi kiya to subscribe jarur kar lijiye aur bell icon ko jarur press (dabaye) kare. Taki jab bhi hum koi new video upload kare to aapko notification sabse pahle mil jaaye.
Humara You tube channel yaha hai: Maths Tricks in Hindi Channel

 Plan (4). Inn topics par article publish kiya jaayega : 

Aane waale time me hum nichey diye topics par article aapke saath share karne ki koshish karenge:
(i) BODMAS
(ii) Simple interest
(iii) Compound interest
(iv) Percentage
(v) Ratio and proportion
(vi) Average
(vii) Problem on Age
(viii) Speed , distance and time
(ix) Profit and loss
(x) Number series
(xi) Number system
(xii) Mensuration
(xiii) Time and work
(xiv) Trigonometry
(xv) Geometry
(xvi) Algebra

Agar aap koi aur topic/topics ke baare sikhna chahate hai to comment karke bataye. Hum aapke topic ko bhi issme add kar denge.

 Plan (5). Iss blog ko website me convert karna :

Ho sake to aane waale time me hum iss blog ko website me convert kare. Jab hum website me convert karenge to iss blog ka url mathstricks12.blogspot.com ko short karenge. Jiss se aapko humare url ko yaad rakhna easy ho jaayega. Isske saath aapko fast loading bhi milega. Means loading time fast hoga.

To ye the humare kuch plan jisko hum complete karne ki koshish karenge. Kya aapko lagta hai kuch plan aur hone chahiye ? to wo plan comment karke bataye. Hum usko bhi iss me add karne ki koshish karenge.
Aap apna love and support hume aise hi dete rahe aur hum aapki help karte rahenge.

 At last word : 

Aaj "Maths Tricks in Hindi" ka Birthday hai. Isliye Agar aap "Maths Tricks in Hindi" ko koi Gift dena chahte hai. To kewal iss article ko apne friends, family members rishtedaar har kisi ke saath Share kare. Aapke ek Share se bada humare liye koi dusra Gift nahi ho sakta. To kam se kam ek Share to jarur kar dijiye.
Aapke love and support ke liye aapko Thanks!!

Thanks for reading !!

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें