शुक्रवार, मई 25, 2018

Simple interest ke 10+ word problem question with solution

Apne last article me humne , aapko simple interest kya hai ? aur simple interest ka formula kya hota hai ? ke baare me full details me bataya tha. Agar aap ne issko nahi read kiya to humne sabse nichey iss ka link diya hai. Aap waha se read kar sakte hai.
Aaj hum simple interest topic ko aur aage badate huye aaj aapko simple interest ke 12 word problem question ko solve karna sikhayenge.
Simple interest word problem with solution
Aaj hum aapko batayenge ki, "kaise simple interest ke questions ko formula ki help se solve karte hai ? "

Agar aapko iss type ke question ko solve karne me problem hoti hai ya aapko bilkul bhi nahi samjh aata to aaj hum aapko full details me aur step-by-step iss type ke question ko solve karna sikhayenge. Aap bahot hi dhayaan se samjhe aur khud se practice kare . I'm sure aap jarur issme perfect ho jaayenge.

 Simple interest ke 10+ word problem question with solution : 

Simple interest ya saadharan byaaj ko calculate karne ke kai method hai. Lekin aaj hum saadharan byaaj calculate karne ke liye saadharan byaaj ka formula use karenge. Isske formula ka use karne se saadharan byaaj aashani aur jaldi se calculate kiya jaa sakta hai. Isska formula hum pahle hi bata chuke hai. Ek baar phir se hum bata dete hai. Aap iss formula ko jarur yaad rakhiye.

 Simple interest ka formula : 

Hum jaante hai ki, yadi principal (P) , Rate (R) aur Time (T) ho to simple interest (SI) :
To yahi hai saadharan byaaj ka formula. Ab hum isska use karna sikh lete hai.

 Simple interest ke formula se word problem kaise solve karte hai ? 

Ab hum aapko step-by-step question ko solve karna sikhate hai:
(1). Sabse pahle question ko dhyaan se pade aur samjhe.
(2). Question ko padate time ye maalum karne ki koshish kare ki, question me kya-kya diya hai ? 
Jaise-: kya question me interest ya principal ya rate ya time diya hai ?
(3). Question ko padate time ye bhi jarur maalum kare ki, question me kiski value nikalani ya calculate karni hai ?
Jaise-: Kya question me simple interest calculate karna hai ? , principal ki value calculate karna hai ? Ya Rate ki, ya phir time calculate karna hai ?
[ Note: Aaj hum aapko jo 10+ question ko solve karna sikhane waale hai unn sabhi question me kewal simple interest calculate karna hai. Baki sabhi value (principal, rate aur time) ko calculate karna hum aane waale next part me aapko sikhayenge ]
(4). Jab aapko maalum jo jaaye ki, kya-kya diya hai? aur kiski value nikalani hai? Phir aap sabhi diye value ko direct formula me rakh kar jiski value nikalani hai wo aap nikal sakte hai.

 Kuch important baatein : 

Iss topic ke questions ko solve karte time hume kuch important batao ka dhyaan rakhana chahiye. Aapko bhi hum suggest karenge ki, jab bhi aap iss topic ke question ko solve kare to inn batao ka jarur dhyaan rakhe . Wo important baatein iss prakar se hai:
(1). Kabhi-kabhi Simple interest ke question me Rate , annual (varshik) me nahi hota hai. Jaise kabhi-kabhi rate ,, " chhamahi (छमाही)" ya " ardhvaasik (अर्द्धवासिक)" aur "trimahi (त्रिमाही)" me diya hota hai.
(2). Rate jab "chhamahi" ya "ardhvaasik" me ho to iska matalab ye hota hai ki, Rate har 6 month ke liye hai.
(3). Jab rate "ardhvaasik" ya "chhamahi" me ho to time ko bhi isske anussar change karenge.
Jaise-: yadi Rate (R) = 4% chhamahi ho aur Time (T) = 3 years ho to 3 years ko chhamahi me change karna hoga.
Hum jaante hai ki, 1 year me 6 month = 2
Isliye 3 years me 6 month = 2×3 = 6
Isliye time (T) = 3 years = 6 use karenge.
(4). Jab rate " trimaahi" me diya ho to iska matalab ye hai ki, Rate har 3 month ke liye hai.
(5). Jab Rate "trimaahi" me diya ho to time ko bhi trimaahi me change karenge.
Jaise-: Rate (R) = 5% trimaahi ho aur Time (T) = 4 years.
Rate trimaahi hai aur time 4 years hai isliye 4 years ko trimaahi me change karenge.
1 year me 3 month = 4
4 years me 3 month = 4×3 = 12


Chaliye Ab isske questions ko solve karna sikhte hai:

 Simple interest ke 10 word problem question with solution : 


#Q-1. ₹300 ka 4% varshik (annual) byaaj (interest) ki dar (rate) se 5 years ka byaaj kya hoga?

Solution-: Question me diya hai: Principal (P) = ₹300 , Rate (R) = 4% aur time (T) = 5 year
Ab sadharan byaaj ke formula me sabhi value rakhne par:
SI = (P×R×T)/100
SI = (300×4×5)/100
     = 60
Isliye ₹300 par 4% ki byaaj dar se 5 years ka sadharan byaaj ₹60 hoga. Answer.

#Q-2. ₹500, 3 years ke liye 6% vaarshik (annual) byaaj (interest) ki dar (rate) se udhaar diya gaya. Byaaj (interest) gyaat kijiye?

Solution-: Diya hai: Principal (P) = ₹500 , Rate (R) = 6% aur time (T) = 3 years.
Ab sadharan byaaj ke formula me sabhi value rakhne par:
SI = (P×R×T)/100
SI = (500×6×3)/100
     = 90
Isliye ₹500 par 6% ki byaaj dar se 3 years ka sadharan byaaj ₹90 hoga. Answer.

#Q-3. Mohan ne cycle kharidane ke liye bank se ₹15000, 4% annual interest rate se udhaar liya aur 3 years me pura udhaar chuka diya. Mohan ne kitna byaaj diya?

Solution-: Diya hai: Principal (P) = ₹15000 , Rate (R) = 4% aur time (T) = 3 years.
Ab sadharan byaaj ke formula me sabhi value rakhne par:
SI = (P×R×T)/100
SI = (15000×4×3)/100
     = 1800
Isliye Mohan ₹15000 par 4% ki byaaj dar se 3 years ka ₹1800 byaaj diya. Answer.

#Q-4. ₹730 ka 5% ki annual rate se 2 years ka byaaj (interest) aur mishrdhan (amount) bataye.

Solution-: Diya hai: principal (P) = ₹730, Rate (R) = 5% aur time (T) = 2 years.
Isliye simple interest = (P×R×T)/100
= (730×5×2)/100
= 73
Byaaj = ₹73
Ab mishrdhan (amount) nikalate hai. Mishrdhan (A) = Principal + Interest
Mishrdhan (A) = ₹730+₹73
                              = ₹803   Answer

#Q-5. Ram ne shyaam se ₹3000 , 7% annual interest rate se 2 years ke liya udhaar liya. Ram ne kitana interest diya ? Ye bhi bataye ki Ram ne shyaam ko total kitne rupye diye?

Solution-: Diya hai: Ram ne shyam se ₹3000 udhaar liya isliye principal (P) = ₹3000 aur interest rate (R) = 7% , time (T) = 2 years ke liye.
Ab hume ye maalum karna hai ki, Ram ne kitana interest diya ?
To iske liye hum simple interest ka formula use karenge.
SI = (P×R×T)/100
SI = (3000×7×2)/100
     = 420
Ram ne ₹420 interest diya.

Ab hume ye maalum karna hai ki , Ram ne total kitne rupaye diye ?
Ram ne diye total rupaye
 = Udhaar + interest
 = ₹3000 + 420
 = ₹3420   Answer.
#Q-6. Sima ne bank me ₹5000 , 2 years ke liye jama kiya. Yadi bank 5% annual interest rate deta ho to Sima ko 2 years ke baad total kitne rupye milenge?

Solution-: Diya hai: Principal (P) = ₹5000, Rate (R) = 5% aur time (T) = 2 years.
Isliye byaaj = (5000×5×2)/100
                      = 500
Sima ko 2 years ke baad total rupye milenge = principal+byaaj
                = 5000+500
                = ₹5500

#Q-7. ₹320 ka 3% chhahmahi (6 months) byaaj ki dar (rate) se 7 years ka byaaj bataye.

Solution-: Diya hai: Principal (P) = ₹320 , Rate (R) = 3% aur Time = 7 years.
Yaha ye dhyaan dijiye ki, Rate 3% , 6 month ke liye hai isliye hume ye maalum karna hoga ki , 7 years me kitane 6 month hote hai ?
1 year me 6 month = 2
7 years me 6 month = 2×7 = 14
Isliye Time (T) = 7 years = 14
Ab byaaj = (P×R×T)/100
                  = (320×3×14)/100
                  = 134.4  Answer.

#Q-8. Yadi Hassan ne ₹3500 bank me 4 years ke liye jama kiya aur bank 6% chhahmahi (6 month) interest rate deta ho to 4 year ke baad Hassan ko kitna byaaj milega ?

Solution-: Principal (P) = ₹3500 , Rate (R) = 6% aur Time = 4 years.
Yaha ye dhyaan dijiye ki Rate 6% , 6 month ke liye hai. Isliye hume ye maalum karna hoga ki, 4 years me kitane 6 month hote hai ?
hum jaante hai ki, 1 year me 6 month = 2
Isliye 4 years me 6 month = 2×4 = 8
Isliye Time (T) = 4 years = 8
Ab interest = (P×R×T)/100
                       = (3500×6×8)/100
                       = ₹1680   Answer.

#Q-9. Rahim ne ₹10000 bank me 4 years ke liye jama kiya. Bank 4% ardhvarshik (6 months) byaaj ki dar se byaaj deta hai to Rahim ko 4 years ke baad total kitne rupye milenge.

Solution-: Diya hai: principal (P) = ₹10000 , Rate (R) = 4% aur Time = 4 years.
Yaha ye dhyaan dijiye ki, Rate = 4% ,6 month ke liye hai aur hume 4 years ka interest calculate karna hoga. Isliye hume ye maalum karna hoga ki 4 years me kitane 6 month hote hai .
1 year = 2 (6 month)
4 years = 4×2 (6 month) = 8

Ab hum Time (T) = 4 = 8 lenge.
Simple interest ke formula me sabhi value rakhne par:
SI = (P×R×T)/100
     = (10000×4×8)/100
     = 3200
Rahim ko 4 years ke baad total = ₹(10000+3200) = ₹13200 milenge.  Answer.

#Q-10. ₹6230 ka 10% trimaahi Byaaj ki dar (Rate) se 1 year ka Byaaj gyaat kijiye.

Solution-: Principal (P) = ₹6230, Rate (R) = 10% aur time (T) = 1 year.
Yaha Rate trimaahi hai matalab 10% har 3 month ke liye hai isliye time (T) = 1 years ko trimaahi me change karenge.
Hum jaante hai ki, 1 year me 3 month = 4
Isliye time (T) = 1 year = 4
Isliye Byaaj = (P×R×T)/100
                       = (6230×10×4)/100
                       = 2492
Isliye Byaaj = ₹2492       Answer.



#Q-11. Harish ne ek mahaajan se ₹20000 kheti karne ke liye udhaar liya. Mahaajan ne 4% trimaahi (3 months) byaaj par 5 years ke liye udhaar diya. Harish ne 5 years pura hone par total kitane rupye mahaajan ko diya?

Solution-: Principal (P) = ₹20000, Rate (R) =4% aur Time (T) = 5 years.
Yaha ye dhyaan dijiye ki, Rate (R) = 4%, 3 month par hai isliye hume ye maalum karna hoga ki, 5 years me kitne 3 month hote hai?
1 year me 3 month = 4
Isliye 5 years me 3 month = 4×5 = 20
Isliye Time (T) = 5 years = 20
Byaaj = (20000×4×20)/100
            = 16000
Harish 5 years pura hone par total rupye dega = udhaar + Byaaj
= 20000+16000
= 36000
Harish 5 years pura hone par ₹36000 dega.

#Q-12. Ashraf ne 15% varshik byaaj ki dar se ₹3500 udhaar liya. Usne 5/2 years ke baad ₹2000 aur ek refrigerator dekar udhaar chuka diya. Refrigerator ka mulya (daam) bataye.

Solution-: Diya hai: Principal (P) = ₹3500 , Rate (R) = 15% aur time (T) = 5/2 years.
To Ashraf ne diya byaaj =
(P×R×T)/100
= (3500×15×5/2)/100
= 1312.5
Matlab Ashraf ko ₹1312.5 byaaj dena hai.
Ashraf ko total rupaye dena hai -:
Udhaar + byaaj = 3500+1312.5
                             = 4812.5
Matlab ye huaa ki, Ashraf ko total ₹4812.5 dena hai . Lekin usne ₹2000 aur ek refrigerator diya.
Isliye refrigerator ka daam = ₹2000 dene ke baad bache rupaye
= 4812.5 - 2000
= 2812.5
Isliye refrigerator ka mulya (daam) = ₹2812.5    Answer.

I hope ki , ab aap simple interest ke word problem ke questions ko solve karna sikh gaye honge. Agar aapko phir bhi koi doubt ya problem ho to aap humare Facebook page par massage ya issi article ke nichey diye comment box se comment karke puchh sakte hai. Hum aapki puri help karne ki koshish karenge.
Agar aapko aaj ka topic achha laga to please only one share jarur kariye. Aapke ek share karne se hume aur better karne ki power milti hai to please share jarur kariye.

Also read-:
• Simple interest kya hai ? | simple interest formula
• Simple interest ke 10+ word problem question with solution
• Principal calculate karna sikhiye jab interest, Rate aur time diya ho

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें