सोमवार, जुलाई 02, 2018

Principal calculate karna sikhiye jab interest, Rate aur time diya ho

Hello friend ! Ab tak hum sikh chuke hai ki, simple interest kya hai ? simple interest formula se simple interest ke questions ko kaise solve karte hai ? Agar aapko bhi sikhna hai to humne iss topic ke nichey link diya hai. Aap waha se read karke sikh sakte hai.
To last part me humne aapko simple interest calculate karna sikhaya tha. Aaj hum aapko sikhayenge ki, principle kaise calculate karte hai ? Jab interest, rate aur time diya ho. Hume aksar aise question mil jaate hai jisme hume principal calculate karna hota hai. Iss type ke question me saadharan byaaj, dar, aur time diya hota hai. Jisse hum aashani se principle calculate kar sakte hai.

principal calculate karna sikhiye

Jis prakar se  sadharan byaaj gyaat karne ke liye hume principal, rate aur time maalum hona chahiye.Ussi prakar se principal calculate karne ke liye interest, rate, aur time  jarur maalum hona chahiye. Inn tino ke bina principal calculate karna bahut muskil hota hai. To chaliye aaj ka ye topic start karte hai:

 Principal calculate karna, jab interest, Rate, aur time diya ho

Principle calculate karne ke liye hum simple interest formula ka use karenge. Iss formula se hum principle calculate karne ka formula banayenge. Formula banana bahut easy hai. Aap bhi ek pen and paper lekar humare saath-saath practice kariye. Ab hum step by step aapko batate hai aur aap humko step-by-step follow kariye. Agar koi problem aaye to comment karke puchh lijiye.

 Principle calculate karne ka formula:

 Step-1. Sabse pahle hum simple interest (SI) ka formula lenge. Jo iss prakar se niche diya gaya hai:
SI =   Principl×Rate×time  
                        100

 Step-2. Ab cross multiplication karna hai. Means uppar diye simple interest ke formula ke L.H.S ke "ansh" ka multiply R.H.S ke "Har" se aur R.H.S. ke "ansh" ka multiply L.H.S ke "Har" se karna hai. Jaisa humne niche kiya hai aap dekh sakte hai.
Principle×Rate×time = SI×100

 Step-3. Ab Rate and time ko L.H.S. se R.H.S. me bhejenge. Hum dekh sakte hai ki, L.H.S me Rate×time, principal ke saath multiply sign ke saath hai. Isliye jab hum Rate×time ko R.H.S me bhejenge tab ye SI×100 se divide sign me honge.

Principle =       SI×100     
                        Rate×time

To uppar diya formula hi principal calculate karne ka formula hai.

Kabhi-kabhi question me Rate aur Time nahi diya hota hai. Kewal simple interest (SI) aur mishradhan (A) diya hota hai. Tab principal calculate karne ke liye hum uppar diye formula ka use nahi kar sakte . Isske liye hum nichey diye formula ka use karenge:
Muldhan = Mishradhan - byaaj
Or principal = Amount - interest
Or   P = A - SI

Aayiye Ab hum uppar bataye 2 formula ka use karke kuch question ko solve karna sikh lete hai.

 Principal calculate karne se related questions 

Hum yaha aapko iss type ke 10 question ko solve karna sikhayenge. Aap se request hai ki, aap isski jaada se jaada practice kare . Jaada se jaada question ko solve kare taki aapko koi doubt naa rahe. Koi problem ho to comment karke jarur puche. Hum aapki help karne ki puri koshish karenge.

#Q-1. Yadi Simple interest = ₹1200, Rate = 5% aur time = 10 years ho to principal bataye.

Solution-: Diya hai: SI = ₹1200, R = 5% aur T = 10 years
Principal calculate karne ka formula use karne par:

Principle =       SI×100     
                        Rate×time
                  =   1200×100   
                             5×10
                  = ₹2400
Isliye Principle = ₹2400      Ans.

#Q-2. 4% varshik byaaj ki dar (annual interest rate) se 2 years ka byaaj ₹500 hai to muldhan (principal) gyaat kijiye.

Solution-: Diya hai, R = 4%, T = 2 years, aur SI = ₹500
Ab uppar di gayi sabhi value ko principal calculate formula me rakh kar solve karne par:

Principle =       SI×100     
                        Rate×time
                  =     500×100   
                              4×2
                  = ₹6250
Isliye Principle = ₹6250      Ans.

#Q-3. Muldhan gyaat kijiye jabki varshik byaaj ki dar 2% ,time 1 year aur byaaj ₹100 ho.

Solution-: Diya hai, R = 2%T = 1 year, aur SI = ₹200
Ab principal calculate karne waale formula me sabhi value rakhne par:

Principle =       SI×100     
                        Rate×time
                  =     100×100   
                              2×1
                  = ₹5000
Isliye Principle = ₹5000     Ans.



#Q-4. Mohan ne kuch rupaye bank me 3 years ke liye jama kiya. 3 years ke baad bank ne mohan ko ₹600 byaaj diya. Agar bank 8% varshik byaaj deta ho to Mohan ne bank me kitne rupaye jama kiye the.

Solution-: Question ko dhyaan se read karne par pata chalta hai ki question me principal calculate karna hai. Question me diya hai ki, SI = ₹600, R = 8% aur T = 3 years 
Ab formula me sabhi value rakh kar solve karne par:
Principal     600×100   
                              8×3
                   = ₹2500
Isliye Mohan ne bank me ₹2500 jama kiye.

#Q-5. Rohit ne ek bank se kuch rupaye 4% varshik byaaj ki dar se udhar liye. 2 years baad Rohit ne bank ko ₹40 byaaj diye to batao Rohit ne kitne rupaye udhar liye the.

Solution-: Question me diya hai ki, SI = ₹40, R = 4%, aur T = 2 years
Ab sabhi value formula me rakhkar solve karne par:
Principal =  40×100 
                         4×2
                   = 500
Rohit ne ₹500 udhaar liye.


#Q-6. Yadi byaaj = ₹2000 aur mishrdhan = ₹3100 ho to muldhan batayiye.

Solution-: Iss question me kewal byaaj aur mishrdhan diya hai. Issme time aur Rate nahi diya hai to hum principal calculate karne ke liye nichey diye formula ka use karenge.
Muldhan = Mishrdhan - byaaj   or
Principal = Amount - interest
                   = 3100 - 2000
                   = 100
Isliye , Principal = ₹100       Ans.

#Q-7. Rahim ne apne friend se kuch month pahle kuch rupaye udhar liya tha. Usne apne friend ko ₹1500 dekar udhaar pura chuka diya. Yadi Rahim ne ₹500 byaaj diya ho to batayiye ki, Rahim ne kitne rupaye udhaar liye the.

Solution-: Question me diya hai ki, byaaj = ₹500 aur udhaar chukaya ₹1500. Tab Rahim ne jo udhaar liya hai wahi muldhan hoga. Isliye mishrdhan = ₹1500 aur byaaj = ₹500
Isliye muldhan = mishrdhan - byaaj
                             = 1500-500
                             = 1000
Rahim ne ₹1000 udhaar liye the.

#Q-8. Ek mahajan ne Ramu ko kuch rupye udhaar diye aur bola ki, "mai byaaj sahit ₹5000 lunga." Ramu ne mahajan ko ₹1500 byaaj aur 7 murgiya dekar udhar chukaya. Muldhan aur 1 murgi ka daam batayiye.

Solution-: Diya hai byaaj sahit rupaye mishradhan (A) = ₹5000 aur byaaj (SI) = ₹1500
Isliye Muldhan (P) = A - SI
               P = 5000-1500 = 3500
Muldhan = ₹3500   Ans.
Ramu ne ₹3500 ki jagah par 7 murgiya mahajan ko diya.
7 murgiya = ₹3500
Isliye 1 murgi = 3500/7 = ₹500  Ans.

#Q-9. Ratan ne bank me 9 month tak ek fixed rupaye jama kiye. Bank 4% varsik byaaj ki dar se total ₹1000 Diye to batayiye ki Ratan ne kitna muldhan bank me jama kiya aur har month kitne rupaye bank me diye?

Solution-: Suppose karte hai ki, Ratan ne har month ₹p jama kiye.
Isliye 9 month total jama kiye (muldhan) = 9p 
Diya hai R = 4% aur T = 9 month = 9/12 years
Isliye SI = (9p×4×9/12)/100
               = 27p/100
mishradhan (A) = ₹1000
Isliye Muldhan (P) = A - SI
⇒               9p = 1000 - 27p/100
⇒               9p + 27p/100 = 1000
⇒               (900p+27p)/100 = 1000
⇒                927p/100 = 1000
⇒                927p = 100000
⇒                p = 100000/927
⇒                p = 107.88 (approx.)
Means Ratan ne har month ₹107.88 bank me jama kiye.
Isliye total muldhan = 9p = ₹970.88 Ans.

#Q-10. Yadi Rate , time ka 2 guna ho aur muldhan, time ka 60 guna ho to muldhan gyaat kijiye. Jabki sadharan byaaj ₹150 ho.

Solution-: Suppose karte hai ki muldhan = p 
Ab question ke according ,
⇒ p = T×60 ⇒ T = p/60 ,
⇒ R = 2×T ⇒ 2×p/60 ⇒R = p/30 aur SI =₹150
Ab principal formula me sabhi value rakh kar solve karne par:

Principle =       SI×100     
                        Rate×time
                 p =     150×100   
                        (p/30)×(p/60)
                 p =   150×100   
                           p²/1800
                 p³/1800 =  150×100
                 p³ = 1800×150×100
                 p³ = 27000000
                 p  = 3√27000000
                 p  = 300
Isliye muldhan (p) = ₹300     Ans.


To friend ! Aaj ke iss topic me kewal itana hi. Hume ummid hai ki iss topic se aapko kuch help mili hogi. Agar aap humse kuch puchhna chahte hai to aap humre Facebook page par massage ya nichey diye comment box me comment karke puchh sakte hai. Hum aapki help karne ki puri koshish karenge.
Agar aapko lagta hai ki iss article math topic se kisi aur ki help ho sakti hai to please share kare.

• Simple interest ke 10+ word problem question with solution
• Principal calculate karna sikhiye jab interest, Rate aur time diya ho

2 टिप्‍पणियां: