गुरुवार, जून 23, 2016

Trigonometry ka basic concept in hindi part-1


                Trigonometry - 1

Hello dosto ! abhi kuch dino pahale maine maths tricks k facebook page  par post kiya tha ki "kya aap mujhse basic mathematics shikhna chahate hai?"
  To sabse jada logo ne trigonometry k liye comments kiya.
To isliye maine decide kiya ki aaj se mai trigonometry k basic concept par puri series start karu aor aapko trigonometric k ek-ek part k baare me clearly batau.

Trigonometry ka basic concept

Trigonometry problems k 4-5 questions lagbhag sabhi competitive exam me puchhe jate hai.
Jaise SSC, Bank ,Railway etc.

Also read-:Kya aapko koi help mathematics me chahiye?

Aagar aapko trigonometry ka basic clear ho jaye to aap aashani se inn exam k trigonometry k question ko kar sakte hai.
Aaj se hum aane wale post me trigonometry ki ek - ek chij ko carefully se samjhege.
For example-:
1. Basic trigonometry concept
2.Trigonometry formulas
3.Trigonometry problems
4.Trigonometry functions
 etc. k baare me pura details se shikhege.


Also read-:Fast cube trick 1 se 99 in hindi

Lekin isska matalab ye nhi ki mai mathematics k tricks nhi batauga.Mai mathematics k tricks aor shortcut bhi post karta  rahunga. Ye article "Basic concept of trigonometry" koi trick ya shortcut nhi hai.
Jaisa ki aap iska title hi read kark samjh gaye honge ki aaj k iss post me kya hai.
Chaliye to phir aaj ka lesson start karte hai.

Basics Trigonometry  concept hindi me shikiye

Basics Trigonometry concept k baare me aap sabhi jaante honge.Hum sabhi 9-10 class se trigonometry start karte
hai. Trigonometry ko start krne se pahale Sabse pahale jaante hai trigonometry kya hai ?

Also read-:partial-fraction aanshik bhinnh tricks

Trigonometry kya hai ?

Trigonometry ,mathematics ka very important part hai without iss topic k mathematics kewal ek khali box jaisa hai.
Trigonometry ko hindi me "trikonamiti"  (त्रिकोणमिति) kaha jata hai.
Trikonamiti word two words se milkar bana hai-:
Trikonamiti = trikon + miti
Trikon = triangle(tribhuj)
Miti = measure(maapna)

Simple language me kahe to triangle k sides (bhuja) aor angles(kod) k beech relations ki study hum trigonometry me karte hai.

Also read-:multiplication tricks of two digits

Use of trigonometry -:

 Trigonometry ka use height , distance,kisi triangle ka angle, triangle ki side ko find karne k liye kiya jata hai.Ink alawa aor bhi jagah trigonometry ka use hota hai.

Trigonometry ko jaanane se pahale ye jaane-:

Trigonometry ko jaanane se pahale kuch topic hai jinhe hume jaan lena chaahiye. Jaise-:
1. Angle (kon) and issk types.
2.Triangle (tribhuj) and issk k types.
3.Right angle triangle (Samkod tribhuj).
Etc.

Also read-:straight line k question tricks

1. Angle -:

              Angle ko hindi me "kon" (कोण)  kahate hai. kon kya hai?

Angle ki defination mai aapko acche se samjha paau issliye maine two defination diya hai.
Defination-1.
"Koi straight line, apane initial state (first position) se final state (second position) tak jane me jitana rotate (ghunati) karti hai , usse "Angle" (kon) kahate hai."
Defination-2.
 Jab two rays (kiran) kisi ek hi point (•) se nikalti hai to un two rays k beech k jhukaw ko "Angle" kahate hai.
Generally hum angle ko  symbol " /_" se denote karte hai.
Niche maine image diya hai. Aap jarur dekhe.
"Angle" ko "Ansh" (अंश) me measure (naapte) karte hai. "Ansh " ko english me "degree" kaha jata hai.

Angle image

 Types of angle-:
 Angle 5 type k hote hai-:
(i) Acute angle
(ii) Right angle
(iii)Obtuse angle
(iv) Straight angle
(v) Reflex angle
(vi) complete angle

Also read-:Fast multiply by 11

(i) Acute angle-:

" Acute angle" ko hindi me "newnkod" (न्यूनकोड) kahate hai.
Defination- "wo angle jo 0° aor 90°  k beech ho ,(lekin 90° nhi ho) usse hum Acute angle kahate hai.
Simple language me kahe to 90° se kam jitane bhi angle hote hai wo sabhi angle"Acute angle " kahalate hai.
In English-:
 "An acute angle is always greater than 0° but less than 90° ".
For example-: 30°,60°, 45° etc. 


Acute angle example 50°



(ii) Right angle-:

 Right angle ko hum sabhi hindi me samkon (समकोण) kahate hai.
Trigonometry me issi angle ka use jada kiya jata hai. Isliye isse aap carefully samjhe.
Defination-: "wo angle jo 90° ka hota hai ,usse hum Right angle kahate hai."
Means wo angle jo 90° se naa hi big ho aor naa hi small ho . Only 90° ko right angle kahenge.


Right angle

(iii) Obtuse angle-:

 Obtuse angle ko hindi me "adhik kon" (अधिक कोण ) kahate hai.
Defination-: wo angle jo 90° se big ho matalab 90° se bada ho lekin 180°  se small ho matalab chhota ho, to iss type k angle ko "obtuse angle" kahate hai.
English defination-: 
An obtuse angle is always greater than 90° but smaller than 180°
Kahane ka matalab shirf itana hai ki wo sabhi angle jo 90° aor 180° k beech me aayega wo sabhi angle "Obtuse angle" kahalayega.
For example-: 120°,135°,150° etc.



(iv) Straight angle-:

 Straight angle ko aap hindi me "rijukon" (ऋजु कोण) kahate hai.Aap iss angle ko "sidha kon "(सीधा कोण) bhi kah sakte hai.
Defination-:  wo angle jo 180° ka ho usse "straight angle" kahate hai.

Straight angle 180°

Also read-:Very very fast multiplication

(v) Reflex angle-:

 Reflex angle ko hindi "brihat kon"(बृहत्कोण) kaha jata hai.
Defination-: wo angle jo 180°  se big ho to iss type k angle ko hum "Reflex angle" kahte hai.
In english-
A reflex angle is always greater than 180°.
For ex- 185°,190°,200° etc.

Reflex angle example 215°

(vi) complete angle-: 

 Complete angle ka matalab wo angle jo only 360° ka hota hai.uss angle ko "complete angle" kahenge.
Niche image me 360° angle diya hai.

Complete angle 360°


Also read-:Highest common factor (H.C.F) tricks se kaise nikale? hindi

2. Triangle-: 

Friend, triangle k baare me hum sabhi jaante hai. Simple language me kahe to triangle ka matlab wo shape jisme 3 angle ho.
Defination-:  "Wo aakriti (shape) jo three sides (bhuja) se ghiri ho aor jisme 3 angle ho, usse "triangle" ya hindi me  "tribhuj" kahate hai.
Other defination-:
 " Three sides se close shape ko hum triangle kahate hai."
 Nicche Image me three sides AB, BC,  and CA  se close triangle bana hai.

Image of triangle in trigonometry

Triangle me 3 angle ( kon) hone k kaaran hi  isse triangle kahate hai.
Kisi bhi Triangle k three angles ka sum 180° hota hai.
Agar hum uppar diye image ki baat kare to
/_a+/_b+/_c =180°

Yaha /_a , /_b , and /_c uppar diye triangle ka three angles hai.



Types of triangle-:  

Angle k basis (aadhar) par triangle k three types hote hai-:

(i) Acute angle triangle
(ii) Obtuse angle triangle
(iii) Right angle triangle 

Triangle k types ko hum next post me jaanege.
Dosto aaj k liye itana hi apne aane wale post me hum aor jada janege trigonometry k baare me.
To dosto aapko aaj ka ye trigonometry ka basic concept topic kaisa laga? comment kark mujhe jarur bataye.
Aapka comment mujhe motivate karta hai ki mai aor jada achha se achha kar saku.Isliye comment jarur kare.

Also read-:Last digit 5 wale no. Ka square nikalana tricks se

Agar aap meri help karna chahate hai to bus iss post ko apne friends k saath share kare.
Iss topic me kahi koi mistake ya kuch mai bhul gaya hu to aap please mujhe bataye  .Mai aapk naam k saath usse add karunga.
Agar aapko ye post pasand aaya to please isse facbook , google+, Twitter, whatsapp par share kare.
Milte hai dosto apne next post me .
Thanks for reading ! 😊

33 टिप्‍पणियां:

  1. Sir mai class 10 ka student hu Aur mai maths me weak hu mai questions easily bana nahi pata hu help me please

    जवाब देंहटाएं
  2. sir mujhe plz batae .. sin A.sinB ..YE DONO SIN A AUR SIN B YANI A KA MATLAB KYA HE AUR B KA MATLAB KYA

    जवाब देंहटाएं
  3. Theorem smjae theorem Kia h kaise define krengy??? Plz guide me

    जवाब देंहटाएं
  4. sir mara saif khan main class 10 me study karta maths me bahut weak hu aur main sarkari schonl me padhta hu waha koi bhi sahi se maths padhta nahi paita mujhe maths ki basic cheez nahi aati hai aur nahi algebra samjhe nahi aati aur nahi rakhik samikaran samjhe atta main 5,6,7, 8.9, ki maths nahi aata mari arthik stithi acchi nahi hai iska koi soluition dijye mare board exam bhi nazdik hai

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. @Saif khan ji, hum aapki problem samjhte hai. Humne iss website ko aap jaise students ki help karne ke liye banaya hai. Hum aapki puri help karenge. Aap 10th me hai isliye aapko hard work karna hoga. Aap sabse pahle 10th ke math ke previous 5 year's ke question ko dekhiye ki kon se type ke question aaye hai? Unko samjhiye. Unn type ke question ko solve karne ki koshish kariye. Aapko jarur help milegi. Hum to aapki help karne ke liye hai hi. Jald hi hum class-6 se basic math start karne waale hai. Aap humse add rahe.

      हटाएं
  5. Mai trigonometry ka basic concept jaanti hun lakin question solve krte krte bich ma phass jati hun aap mujhe uska trick btayiye

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Aap ekdam dhyaan se question solve kariye. Uske baad uppar se question check kariye ki, kaha wrong hai? Aap jarur question solve kar paayengi.

      हटाएं
  6. Super explain sir
    Sir mujhe trigonometry function sikhna hai to mai kya karu??

    जवाब देंहटाएं
  7. sir ji mere 12th up board exams ke mujhe sahi maths nhi atti hai mujhe basic maths nhi yaha Tak ki 6,7,8,9,10,11, ki maths nhi aati hai sir please koi tarika batiye Jis main maths me acha precentange le aau sir ji mere pass only 2months hai

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. SHAFEES ji, jaisa ki aapne bataya ki, aapke paas kewal 2 months hai. Isliye aap previous year ke question ko solve karne ki koshih kare.Sabse pahle short question ko solve karne ki practice kare. Jis se aapka confidence badega. Uske baad aap long question jo previous years ke ho unko solve kare aapko jarur help milegi. Previous year ke kam se kam 5 years ke question ko solve kare. Jo question nahi samjh aaye hume send kariye hum full details me aapko solve karke samjhayeng.

      Hume ummid ki humare bataye huye tarike se aapko jarur help milegi

      हटाएं