रविवार, अक्तूबर 08, 2017

BODMAS rule ka use kark 10 question solve karna sikhiye.

Hello friends ! BODMAS rule part-1 me humne detail me iss rule ke baare me jaana tha.Aaj mai iss rule ka use kark 10 questions ko solve karna aapko sikhaunga.


Aaj hum jo question solve karna sikhenge unn question me "bracket" ka use nahi hoga . Means aaj hum without bracket wale question solve karna sikhenge.
Ab aap soch rahe honge ki , "tab hum bracket wala question kaise solve karenge ?"
To mai kahunga ki , " aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai . Part-3 me hum sabhi , bracket se related question ko bhi solve karna sikhenge.
To aayiye aajka topic start karte hai .


BODMAS se related 10 questions ko solve karna sikhiye.

Aayiye ek simple sa question lekar iss rule ko use karna sikh lete hai

Q-1-: 45+6÷2-1

Sol.-: Aap dekh sakte hai ki , iss question me only 3 operation hai -: "+" , "÷" and "-".
To BODMAS ke according iss question ko hum sabse pahle divide (÷)  se solve karna start karenge. Usk baad plus (+) aur last me minus (-) .
To aayiye start karte hai -:
Step-1. Divide karna hai.
➨ 45+6÷2-1
➨ 45+3-1
Step-2. Plus karna hai.
45+3-1
➨ 48-1
Step-3. Minus karna hai.
➨ 47  Ans.

Q-2-: 35+8×10-1

Sol.-: BODMAS ke according sabse pahle "×" phir "+" and last me "-".
➨ 35+8×10-1
➨ 35+80-1
➨ 115-1
➨ 114  Ans.

Q-3-: 35+5×2-32

Sol.-: BODMAS ke according -:
➨ 35+10-32
➨ 45-32
➨ 13  Ans.

Q-4-: 76×32÷8+10

Sol.-: BODMAS ke according -:
➨ 76×4+10
➨ 304+10
➨ 314  Ans.

Q-5-: 25÷5×6+31-41

Sol.-: BODMAS ke according -:
➨ 25÷5×6+31-41
➨ 5×6+31-41
➨ 30+31-41
➨ 61-41
➨ 20  Ans.


Q-6-: 38×400÷20+357

Sol.-: BODMAS ke according -:
➨ 38×400÷20+357
➨ 38×20+357
➨ 760+357
➨ 1,117  Ans.

Q-7-: 121÷11×11of5-6×9+120÷40

Sol.-: BODMAS ke according -:
Step-1. Of ko solve karenge.
Mai aapko bata du ki jaha - jaha par Of hai uss jagah par hum multiply (×)  lagayenge aur BODMAS ke according issi ko sabse pahle solve karenge.
➨ 121÷11×11of5-6×9+120÷40
➨ 121÷11×11×5-6×9+120÷40
➨ 121÷11×55-6×9+120÷40

Step-2. Ab hume divide karna hai.
 121÷11×55-6×9+120÷40
➨ 11×55-6×9+3

Step-3. Ab hum multiply karenge.
11×55-6×9+3
➨ 605-54+3

Step-4. Ab baari hai plus karne ki.
Plus karte time ye dhyan rakhe ki plus wale number ek saath likh le . Jisase aapko aashani ho question solve karne me . Maine aisa hi niche kiya hai.

605+3-54
➨ 608-54

Step-5. last me minus kardijiye.
➨ 554  Ans.

Q-8-: 18-3+33of3÷99-1

Sol.-: BODMAS ke according -:
➨ 18-3+33of3÷99-1
➨ 18-3+33×3÷99-1
➨ 18-3+99÷99-1
➨ 18-3+99÷99-1
➨ 18-3+1-1

Ab jo number "+" wale hai wo ek saath aur jo "-" wale hai wo ek saath likhenge.

18+1-3-1
➨ 19-4
➨ 15 Ans.

Q-9-: 44÷11-33+21×4

Sol.-: BODMAS ke according -:
44÷11-33+21×4
➨ 4-33+21×4
➨ 4-33+84
➨ 4+84-33
➨ 88-33
➨ 55  Ans.



Q-10-: 33of6-39+12÷6

Sol.-:BODMAS ke according -:
33of6-39+12÷6
33×6-39+12÷6
➨ 198-39+12÷6
➨ 198-39+2
➨ 198+2-39
➨ 200-39
➨ 161  Ans.

To friends aaj humne BODMAS ka use kark 10 question ko solve karna sikha. Aaj ke iss part me bas itana hi. I hope ki , aapko sabhi 10 questions achhe se samjh aaye honge. Aapko kisi bhi question ko samjhne me koi bhi problem ho rahi ho to abhi comment karke puchh sakte hai. Hum aapki puri help karne ki koshish karenge.
Hum iss tarah se mathematics se related topic aapke saath share karte hai. Aap math ki kon si topic par next article chahate hai ? Niche diye comment box me comment karke bataye.
Agar aapko lagta hai ki , aaj ka topic helpfull hai to please isse "share karke" humari help kare.
Pura article padane ke liye "Aapka shukriya" !

45 टिप्‍पणियां:

  1. Q-3-: 35+5×2-32
    Sol.-: BODMAS ke according -:
    ➨ 35+10-32
    ➨ 40-32
    ➨ 8 Ans
    Nice post bro
    But you are a little mistake
    Its wrong please right now

    जवाब देंहटाएं
  2. Thanks sir question smgh me aa gyi but es question Q-7-: 121÷11×11of5-6×9+120÷40 me confused hu pl help me

    जवाब देंहटाएं
  3. 22-(1/4){-5-(-48)/(-16)}=?
    =22-(1/4){-5-3}
    =22-(1/4){-8}
    =22+2
    =24 Answer.

    जवाब देंहटाएं
  4. I have a question which is very difficult i think so

    90÷6×(24-8÷4)÷3

    जवाब देंहटाएं
  5. उत्तर
    1. 275÷[{63÷(-35÷-5)of-1+(-6)}]
      = 275÷[{63÷(-35÷-5)×-1+(-6)}]
      = 275÷[{63÷(-7)+(-6)}]
      = 275÷[{(-9)+(-6)}]
      = 275÷(-15)
      = -18.33 Ans.

      हटाएं
  6. उत्तर
    1. संदिप आशा भिमराव aapko humara ye topic helpful laga isske liye aapko bhi "thanks" . Keep visiting !

      हटाएं