शनिवार, अक्टूबर 07, 2017

BODMAS rule part-1

Last update-: Jun. 12, 2018

Hello friend !! Kya aap jaanana chahte hai ki ,
• What is the BODMAS rule ? (BODMAS rule kya hota hai ?)
• Bodmas rule kab use karte hai ?
• BODMAS ka full form kya hota hai ?
• BODMAS rule ka use kaise karte hai ?
Agar upar diye huye questions ke liye aapka answer " yes " hai to aap bilkul sahi jagah par aaye ho. Aaj hum BODMAS rule ke baare me ek complete series start kar rahe hai. Ye article iss series ka first part hai.
Hum iss BODMAS rule ko basic se start karenge. Agar aapko iss rule ke baare kuch bhi nahi maalum hai to aap bilkul tension naa lo bas humare iss series ke every part ko achhe se read kare aur samjhe. Mujhe puri ummid hai ki , iss series ke khatam hote hi aapko BODMAS rule ekdam acche se samjh aa jaayega.


Ye mathematics ka bahot important rule hai.


BODMAS rule part-1

BODMAS rule se related bahot saare aapk questions mujhse puche jaate hai. Isiliye aaj maine decide kiya ki , iss topic par ek complete article likh kar aapko batadu. Jisase aapko iss rule se related question kisi aur se  puchane ki jarurat naa ho. Iss topic ko ho sakta hai mai 2-3 part me complete karu , taaki aapko ekdum achhe se samjh aa jaaye. To chaliye aaj ka topic start karte hai.
Jab hum math ke question ko solve karte hai to unn question me operation use hota hai. Hum jaante hai ki total 4 operations hote hai. Jo iss prakar se hai:
1. Addition (+)
2. Subtraction (-)
3. Multiplication (×)
4. Division (÷) 
Inn operation se related question ko hum solve karte hai. Jaise-: 4+8 , 9-1, 65×21, 21÷7

BODMAS rule kya hai ?

BODMAS rule ek bahot important rule hai. Hum sabhi jaante hai ki , mathematics me 4 important operation hota hai. Jo iss prakar hai-:
(1) Addition
(2) Subtraction
(3) Multiplication
(4) Division




Jab kisi question me ye sabhi 4 operation ek saath diya ho ya kam se kam 3 operation diya ho to uss question ko kaise solve karna hai ? Ye BODMAS rule humne batata hai.
Example ke liye agar mai aapko bolu ki aap 2+3 ko solve kariye ya 12-9 ka answer batayiye tab to aap jaldi se batadenge ki , 2+3 = 5 ya 12-9 = 3 kyki iss type ke question me kewal 2 operation use huaa hai . Jo hai , plus(+) and (-).

But agar mai bolu ki aap nichey diye question ko solve kark bataye-:
•  4÷2×4+1
• 3×3÷(4+2)-2+1
• {4+3÷(3+4)}-3+2
• 32+3×4-1
To agar aap ye rule nahi jaante to aap inn questions ko solve nahi kar paayenge.
Matalab saaf hai ki , uppar diye huye questions ko solve karna hume BODMAS rule hi sikhata hai.

BODMAS ka full form kya hota hai ?

Maine dekha hai kuch logo ko ye rule to pata hota hai but agar unse aap iss rule ka full form ya full name puchh lo to wo soch me pad jaate hai. I hope ki aapko iska full form jarur pata hoga. 
Kya kaha aapne aapko " nahi pata hai " . Koi baat nahi mai bata deta hu. Aap note kar lijiye. BODMAS rule ka full form iss prakar se hai -:
B - Bracket
O - Order
D - Division
M - Multiplication
A - Addition
S - Subtraction 
To ye tha iss rule ka full form . Aap jarur isse likh kar yaad kar lijiye. Aur aaj ke baad koi bhi puche to jaldi se bata dijiyega.



BODMAS rule ko use kaise karte hai ?

Finally ab hum baat karte hai ki iss rule ko use kaise karte hai ?
Iss rule ko use karna bahot hi jaada easy hai bas condition ye hai ki aapko isska full form yaad raha chahiye. Kyki issk full form ke according hi iss rule ko use karna hai.
Means , Iss rule ka use karte huye hum question ko niche diye order me solve karenge.
• First agar question me bracket ka use huaa hai to isse sabse pahle solve karna start karenge.
• Second agar question me order ho means 5² ya 3³ ya √4 ho to issko second position par solve karenge.
• Third me hum Division ko solve karenge.

Also read-:

• Trigonometry ka basic concept in hindi part-1
•  Fast cube tricks 1se 99 tak in Hindi

• Fourth me aap jaan hi gaye honge. Ji haa Multiplication ko solve karna hai.
• Fifth par hum Addition ko solve karna hai.
• Sixth me hum Subtraction ko solve karna hai.


To aaj humne BODMAS rule ko detail me jaana . Apne next part-2 me iss topic se related question ko solve karna sikhenge. Tab tak aap iss topic ko achhe se samjh lijiye jisase jab hum question ko solve kare to aapko achhe se samjh aaye.

Aaj ke BODMAS rule part-1 me bas itana hi hai. I hope ki aapko , aaj ka topic achhe se samjh aaya hoga. Iss topic me aapko kisi bhi jagah par koi bhi problem ho to niche diye comment box ki help se abhi puchhe . Hum puri kosish karenge ki aapki problem ya doubt ko dur kar sake.

Also read-:

• Triangle and its types and defination in hindi
• 10 seconds me area of the triangle question solve

Hum iss tarah mathematics se related topic full details me aapk saath share karte rahte hai.
Aap kis topic par next article chahte hai ? Hume niche comment kark bataye. Hum aapk article ko full details me batane ki koshish karenge.
Agar aapko ye topic acha laga ho to please ek share kark humari help kare.
Iss topic ko complete padane k liye aapka "shukriya"!!

• BODMAS rule ka use kark 10 question solve karna sikhiye.
• BODMAS rule se bracket waale questions solve karna sikhiye

54 टिप्‍पणियां:

  1. Sir ek kon sa rule hota hai phir
    Addition (+)
    2. Subtraction (-)
    3. Multiplication (×)
    4. Division (÷)

    जवाब देंहटाएं
  2. Bhai is question ka ansar kya hoga
    1+1+1+1+1+1+1+1+1+1×1+1=?

    जवाब देंहटाएं
  3. Q.16/4(4)=?
    mujhe ni lagta isaka ans. 16 hoga kya aapke pass koi prove hai ki ans. 16 hi hoga....ya aisa koi device hai ki iss question so solve kr sake please reply me.....

    जवाब देंहटाएं
  4. Thanks.please share the concept of decimal, fraction ,simple equations and square root. Please share this this is very important for us

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Aapka humare iss helpful site par swaagat hai. Ji jarur hum jarur aapka topic jald se jald share karenge. Aap humse jude rahe.

      हटाएं
  5. Sir please AAP intergers operation (+-*/)ka concept aapni es site per dalo ji

    जवाब देंहटाएं