शुक्रवार, नवंबर 24, 2017

Speed , distance and time part-1

Hello friend ! welcome to the Maths Tricks in Hindi . Aaj se hum ek new topic start kar rahe hai. Jiska naam hai , " speed , distance and time ". Iss topic ka ye first part hai. Hum part-by-part iss topic ke baare me complete full details  jaanenge. Iss topic ko hum basis se start karenge aur last tak complete details me acche se sabhi part ko samjhte huye end karenge. Jis se aapko achhe se samjh aaye.

Speed distance and time part-1
Figure-1

Iss topic ko batane ka humara kuch reason hai . Wo  main  reason ye hai ki , iss topic se related humare paas aapke bahot saare question aa rahe hai.  To isiliye humane socha ki , kyu naa iss topic ke baare me aapko full details me bataya jaaye. Jiss se aapko koi bhi doubt naa rahe aur aap iske maximum questions ko easily solve kar paaye bina kisi se puche.
To chaliye aapka jaada time naa lete huye aaj ka part-1 start karte hai.


Speed , distance and time part-1

Iss part me hum kya-kya sikhenge ?uske liye humane ek list banayi hai. Jo iss prakar se hai-:

• What is the defination of distance and its unit ?
• What is the defination of time and its unit ?
• What is the defination of speed and its unit ?
• Relation between speed , distance and time.
• Some important tips.

• What is the defination of distance and its unit ?

Distance दुरी ( duri ) kya hota hai ?
Hum sabhi jaante hai ki , agar koi object (वस्तु) chal rahi hai to iss object ki position time ke saath-saath change hoti rahati hai. To issi prakar se hum iss object ki distance ki defination ko define kar sakte hai.

Defination of Distance-:
Kisi gatimaan vastu (moving object) dwaara tay (travel) kiye gaye maarg (way) ki lambai (length) ko uss vastu dwaara chali gayi distance  kahte hai.
Normally issko iss ke first letter D se denote karte hai.Aayiye iss ko ek example se samjhte hai.
Ex-: suppose kariye ki , ek car , point A par hai phir kuch time ke baad ye chal kar point B par pahuch jaata hai to point A se lekar point B tak ki length ko car dwaara travel ki gayi distance kahte hai.
(See the figure-2)

Example of distance
Figure-2

Unit of distance-:
Generally issko kilometer (km), meter (m), centimeter (cm) , millimeter (mm) etc. me measured kiya jaata hai isliye ye hi isske unit hai.

• What is the defination of time  and its unit ?

Also read-:
 time (समय) humari life ka very important part hai. Hum koi bhi kaam ko kare uss kaam ko karne me time jarur lagata hai. Aap "so" (sleeping) rahe hai to , time lagta hai. Aap iss topic ko read kar rahe hai to iss se complete karne me kuch time lagega . Means aap kuch bhi karo time jarur lagega. To iss hissab se time ka defination ye huaa ki , "Kisi bhi work ke first step se second step me jaana hi time kahalata hai."
Means time hume ye batata hai ki , koi work huaa ya nahi.
Time ko hum isske first letter T se denote karte.

For example-:
Figure-1 me car ko point A se B tak jaane me kuch time lagta hai.

Unit of time -: Time ka unit second , minute , hour , day , week , month and year hota hai.




• What is the defination of speed and its unit ?


Speed चाल (chaal) kya hota hai ?
Hum sabhi daily road par car , bus, bike , scooter etc. anek prakar ke vehicles (vaahan) ko chalate huye dekhate hai. In sabhi ki ek speed valuable hoti hai. Ye sabhi ek speed ke saath aage chalte hai.
Kisi ki speed jaada (more) to kisi ki speed kam (less) hoti hai. Aayiye iss se defination se samjhte hai.

Defination of speed-:
Kisi moving (gati) karta huaa object, per unit time me jitana distance travel ( tay) karta hai, usko uss moving object ki speed kahte hai.

Ab per unit time kahane ka kya matlab huaa ?
per unit time ka matalab ye huaa ki moving object jitana distance travel karega to iss distance ko cover karne me kuch time lagega. Issi time ko hum distance se divide   karenge. Ye divide karna hi  per unit time kahalaata hai.

Also read-:
• Fast multiply by 11 of any numbers in hindi
• Fast calculate square of numbers ending with 5

Aayiye issko bhi ek example se samjhte hai:

Example: Suppose karte hai ki , ek car 2 hour me 60 kilometer jaata hai to ,  Distance = 60 km.
              time  = 2 hour
Isliye speed = 60 km/ 2 hour
                       = 3 km/h

Unit of speed-:
Speed , two quanties (distance and time ) par depends karta hai isliye iska unit inn two quanties se related hoga. To iss prakaar se kilometer/hour (km/h) , mile/hour , meter/second (m/s) etc. iske unit hai.



• Relation between speed , distance and time -:

Speed , distance and time ke beech 3 relations hai. Jo iss prakar se hai -:

(1).   Speed = Distance/Time

Ye relation hume batata hai ki , agar question me Distance and Time diya ho to iss relation ka use kark hum speed , calculate kar sakte hai.

(2).   Time = Distance/Speed  

Ye relation hume batata hai ki , agar question me Distance and Speed diya ho to iss relation ka use  kark hum Time , calculate kar sakte hai.

(3).   Distance = Speed×Time  

Ye relation hume batata hai ki , agar question me Speed and Time diya ho to iss relation ka use karke hum Distance calculate kar sakte hai.

Also read-:
• square root in few seconds
• 10 useful tips board exam mathematics preparation

• Some important tips

Iss topic se related question ko jab hum solve karenge tab hume kuch important tips ko jarur yaad rakhana hoga:

(1). Sabse pahle diye huye question ko bahot hi dhyaan (carefully) se 3-4 baar read kare.

(2). Question me kya-kya diya hai ? usko maalum kare. Jaise-: Distance, time and speed.
(3). Ye jarur maalum kar lijiye ki qestion me diye huye distance , time and speed sabhi ki unit same  hai ya nahi.
Agar same nahi hai, to issko convert karke same kar lijiye.
Jaise-: Agar question me speed ki unit km/h diya ho to distance ki unit km and time hour me hi hona chahiye. Agar aisa nahi hai to issko convert Kariye.

(4). Agar question me speed, distance and time me se koi two ( S and D or S and T or D and T ) diya ho to uppar diye 3 relations ka use karke hum third ( S , D and T me jo naa diya ho) usko maalum karenge.

To friend Aaj ke part - 1 me bas itana hi. Iske aage hum next part me jaanenge . I hope ki ," aapko aaj ka part achhe se samjh aaya hoga".
Agar aapko kuch puchana hai ya aapko koi doubt hai to aap niche diye comment box , contact form ya humare Facebook page par massage karke puchh sakte hai. Hum aapki puri help karne ki koshish karenge.

Also read-:
• Prove that sum of the angles of triangle is 180 degrees
• Relation among sinθ, cosθ, tanθ aur cotθ

Hum issi tarah math ke ek-ek topic ke baare me full details me article likh kar aapk saath share karte rahate hai.
" Kya aapko bhi math ke kisi topic me problem hoti hai ? " Hume bataye. Hum uss topic par aapk liye article likh kar aapko batayege.
Agar aaj ka topic aapko pasand aaya to please iss topic ko Facebook , Google+ , Twitter and whatsapp par share karke humari help kare.
Milte hai apne next part-2 me .
Thanks for reading !!

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें