रविवार, अक्टूबर 07, 2018

Square karne ki shortcut trick up to 100 in hindi

Hello friend !! Aaj hum aapko square karne ka ek simple and easy shortcut trick sikhayenge. Iss square trick se aap 2-digit ke 11 to 99 tak ke numbers ka square bahot hi aashani se aur jaldi se jaldi kuch hi seconds me calculate kar sakte hai.
1 se 10 tak aur 100 ka square to hum sabhi ko maalum hota hai. Lekin 11 se 99 tak ke numbers ka square hume general tarike se nikalana padata hai. Jisme time jaada lagata hai. Lekin humare bataye huye square trick ka use karke aap jaldi se jaldi aur ekdam correct square nikal sakte hai.
To chaliye aaj ka square shortcut trick start karte hai:
square karne ki shortcut trick in hindi

 Square karne ki shortcut trick up to 100 in Hindi 

Hum aapko 3 easy step batayenge. Jisase aap kisi bhi 2 digit ke number ka square fast calculate kar lenge. Suppose kariye ki ek 2-digit ka number "ab" hai. Hume "ab" ka square karna hai. Means "(ab)²" = ?? Tab aapko jo 3 easy steps karne hai wo iss prakar se hai:
 Step-1. Sabse pahle aapko "ab" ke number "b" ka square   karke note karna hai.
 Step-2. Phir "ab" ke dono numbers "a" aur "b" ka multiply karke double (2 se multiply) note kar lijiye. Jaise-: a×b aur 2×a×b
 Step-3. Last step me aapko "ab" ke number "a" ka square   karke note karna hai. Bas ho gaya.
Aayiye iss trick ka use karke hum kuch numbers ka square nikalna sikh lete hai.

 Square nikalne ka sabse aashan tarika : square trick 

Aapko ye trick achhe se samjh aaye iss liye hum aapse request karte hai ki, aap bhi humare saath-saath iss square trick ki practice kare.

#Q-1. 13² = ??
Trick-:  Step-1. Sabse pahle 13 ke number 3 ka square (3² = 9) karke note kar lijiye.
So, 13² =      9
 Step-2. Ab 13 ke dono numbers 1 aur 3 ka aapas me multiply kare phir double (2 se multiply) karke note kar lijiye.
Jaise-: 1×3 = 3, 3×2 = 6
So, 13² =    69
 Step-3. Ab 13 ke number 1 ka square (1² = 1) karke note kar lijiye. Bas ho gaya.
So, 13² = 169 Answer.

#Q-2. 24² = ?? 
Trick-:  Step-1. Sabse pahle 24 ke 4 ka square (4² = 16) karke 6 note kare aur 1 carry karenge step-2 ke liye.
So, 24² =     6
 Step-2. Ab 24 ke dono numbers 2 aur 4 ka aapas me multiply karke double (2 se multiply) karke note kar lijiye.
2×4 = 8, 8×2 = 16,
16 me step-1 ka carry 1 add karenge.
16+1 = 17 (7 note kare 1 carry)
So, 24² =    76
 Step-3. Ab 24 ke number 4 ka square (2² = 4) karke 1 carry add kariye aur note kar lijiye. Jaise 4+1 = 5
So, 24² = 576 Answer.

#Q-3. 37² = ??
Trick-:  Step-1. Sabse pahle 37 ke number 7 ka square (7² = 49) karke 9 note kare. (4 carry)
So, 37² =     9
 Step-2. Ab 37 ke dono numbers 3 aur 7 ka aapas me multiply karke double (2 se multiply) karke note kar lijiye.
3×7 = 21, 21×2 = 42, Ab 42 me hum 4 carry add karenge.
42+4 = 46 (6 note kare 4 carry)
So, 37² =    69
 Step-3. Ab 37 ke number 3 ka square (3² = 9) karke 4 carry add kariye aur note kar lijiye. Jaise 9+4 = 13
So, 37² = 1369 Answer.
❐ Fast calculate square of numbers ending with 5

#Q-4. 45² = ??
Trick-:  Step-1. Sabse pahle 45 ke number 5 ka square (5² = 25) karke 5 note kare. (2 carry)
So, 45² =     5
 Step-2. Ab 45 ke dono numbers 4 aur 5 ka aapas me multiply karke double (2 se multiply) karke note kar lijiye.
4×5 = 20, 20×2 = 40, 40+2 = 42 (2 note kare 4 carry)
So, 25² =    25
 Step-3. Ab 45 ke number 4 ka square (4² = 16) karke 4 carry add kariye aur note kar lijiye. Jaise 16+4 = 20
So, 45² = 2025 Answer.


#Q-5. 56² = ??
Trick-:  Step-1. Sabse pahle 56 ke number 6 ka square (6² = 36) karke 6 note kare. (3 carry)
So, 56² =     6
 Step-2. Ab 56 ke dono numbers 5 aur 6 ka aapas me multiply karke double (2 se multiply) karke note kar lijiye.
5×6 = 30, 30×2 = 60, 60+3 = 63 (3 note kare 6 carry)
So, 13 =    36
 Step-3. Ab 56 ke number 5 ka square (5² = 25) karke 6 carry add kariye aur note kar lijiye. Jaise 25+6 = 31
So, 56² = 3136 Answer.

#Q-6. 62² = ??
Trick-:  Step-1. Sabse pahle 62 ke 2 ka square (2² = 4) karke 4 note kare.
So, 62² =     4
 Step-2. Ab 62 ke dono numbers 6 aur 2 ka aapas me multiply karke double (2 se multiply) karke note kar lijiye.
6×2 = 12, 12×2 = 24 (4 note kare 2 carry)
So, 62² =    44
 Step-3. Ab 62 ke number 6 ka square (6² = 36) karke 2 carry add kariye aur note kar lijiye. Jaise 36+2 = 38
So, 62² = 3844 Answer.

#Q-7. 79² = ??
Trick-:  Step-1. Sabse pahle 79 ke number 9 ka square (9² = 81) karke 1 note kare. (8 carry )
So, 79² =     1
 Step-2. Ab 79 ke dono numbers 7 aur 9 ka aapas me multiply karke double (2 se multiply) karke note kar lijiye.
7×9 = 63, 63×2 = 126, 126+8 = 134 (4 note kare 13 carry)
So, 79²  =    41
 Step-3. Ab 79 ke number 7 ka square (7² = 49) karke 13 carry add kariye aur note kar lijiye. Jaise 49+13 = 62
So, 79² = 6241 Answer.
#Q-8. 81² = ??
Trick-:  Step-1. Sabse pahle 81 ke 1 ka square (1² = 1) note kare.
So, 81² =     1
 Step-2. Ab 81 ke dono numbers 8 aur 1 ka aapas me multiply karke double (2 se multiply) karke note kar lijiye.
8×1 = 8, 8×2 = 16 (6 note kare 1 carry)
So, 81²  =    61
 Step-3. Ab 81 ke number 8 ka square (8² = 64) karke 1 carry add kariye aur note kar lijiye. Jaise 64+1 = 65
So, 81² = 6561 Answer.

#Q-9. 93² = ??
Trick-:  Step-1. Sabse pahle 93 ke 3 ka square (3² = 9) karke note kare.
So, 93² =     9
 Step-2. Ab 93 ke dono numbers 9 aur 3 ka aapas me multiply karke double (2 se multiply) karke note kar lijiye.
9×3 = 27, 27×2 = 54 (4 note kare 5 carry)
So, 93² =    49
 Step-3. Ab 93 ke number 9 ka square (9² = 81) karke 5 carry add kariye aur note kar lijiye. Jaise 81+5 = 86
So, 93² = 8649 Answer.


#Q-10. 98² = ??
Trick-:  Step-1. Sabse pahle 98 ke 8 ka square (8² = 64) karke 4 note kare aur 6 carry karenge next step ke liye.
So, 98² =     4
 Step-2. Ab 98 ke dono numbers 9 aur 8 ka aapas me multiply karke double (2 se multiply) karke note kar lijiye.
9×8 = 72, 72×2 = 144, 144+6 = 150 (0 note kare 15 carry)
So, 98² =    04
 Step-3. Ab 98 ke number 9 ka square (9² = 81) karke 15 carry add kariye aur note kar lijiye. Jaise 81+15 = 96
So, 98² = 9604 Answer.

Ye bhi padhe-:
❐ BODMAS rule part-1
❐ Prove that sum of the angles of triangle is 180 degrees
❐ Relation among sinθ, cosθ, tanθ aur cotθ

To friend square nikalne ka ye shortcut trick aapko kaisa laga ??Comment karke hume jarur bataye. Agar aapko iss trick ko samjhne me koi problem ho rahi ho to comment karke puchh sakte hai. Hum aapki puri help karne ki koshish karenge.
Hum issi tarah math ke topic aur math ke trick aapke liye likhte hai aur aapko samjh me aaye isski puri koshish karte hai. Aap kon-se math topic ko next article me sikhna chahte hai ? Abhi comment ya humare Facebook page par massage karke bataye. Hum aapke topic ko complete details me aapko batayenge. To deri kiss baat ki abhi comment kariye.
At last agar aapko aaj ka square trick achha laga ho to please share karkehumari help jarur kare.
Thanks for reading !!

4 टिप्‍पणियां: