रविवार, सितंबर 23, 2018

Remote interior angle of triangle theorem proof

Hello friend !! Humare Facebook page ke ek friend ne massage karke kaha hai ki, "THEOREM OF REMOTE INTERIOR ANGLES OF A TRIANGLE IN HINDI ME BATAO".
To issiliye Aaj hum apne friend aur aapko iss theorem ke baare me details me batayenge. Aaj hum jo-jo batayenge wo iss prakar se hai-:
❐ Triangle ka Interior Angle kya hota hai ?
❐ Triangle ka Exterior Angle kya hota hai ?
❐ Remote Interior Angle kya hota hai ?
❐ Statement of Remote interior angle of triangle theorem.
❐ Remote interior angle of triangle theorem proof.

 Remote interior angle of a triangle theorem 

Iss theorem ko start karne se pahle hum aapko bata de ki iss theorem me two important word Angle aur triangle hai. Angle aur triangle kya hota hai ? Ye aapko maalum hona chahiye. Agar aapko nahi maalum hai to Angle ke baare me jaanane ke liye Trigonometry ka basic concept in hindi part-1 padhe aur triangle ke baare me jaanane ke liye Triangle and its types and defination in hindi ko padhe.
Agar aap Angle aur triangle ke baare me jaante hai to aapko issko padhne ki koi jarurat nahi hai. Ab hum ek-ek point ke baare me details me batana start karte hai.


 Triangle ka Interior angle kya hota hai ?

 Interior Angle-: Interior angle ko hindi me "aantarik kon" (आंतरिक कोण ) kahte hai. Aantarik kon ka matlab, jo angle triangle ke andar bane hote hai. Hum jaante hai ki ek triangle me 3 angle hote hai-: ∠A ya ∠BAC, ∠B ya ∠CBA  aur ∠C ya ∠ACB inn angles ko hi interior angle kahte hai. Niche diye figure (1) me interior angle ko dekhiye.
interior angle of triangle
Figure-1

 Triangle ka Exterior angle kya hota hai ?

  Exterior Angle-: Exterior angle ko hindi me "bahishh kon" (बहिष्कोण) kahte hai. Isska matlab , jo angle triangle ke baahar (outside) bane hote hai. Agar hum uppar diye figure (1) ke triangle me side BC ko point D tak aage badhaye, tab hume ek new angle ∠ACD milta hai. Iss angle ko hi hum Exterior angle kahte hai. Niche diye figure (2) me exterior angle ko dekhiye.
Exterior angle of triangle
Figure-2
Figure (2) me humne side BC ko aage tak badaya. Aap other 2 side AB ya CA ko bhi badha sakte hai. Ye sabhi bhi exterior angle kahlate hai.

 Remote interior Angle kya hota hai ?

 Remote interior angle-: Remote ka matlab "Aage" (forward) ya "Saamne" (front) hota hai. To iss prakar se Remote interior angle ko hindi me "Aage ya saamne ka kon" (आगे या सामने का कोण) kahte hai. "Kisi triangle ke ek exterior angle ke aage ya saamne bane 2 interior angles ko uss exterior angle ka Remote interior angle kahte hai."
Figure (3) me, exterior angle ∠4 ke aage ∠1 aur ∠2 hai. Isliye ∠1 aur ∠2 Remote interior angle hai.
Remote interior angle
Figure-3

 Statement of Remote interior angle of a triangle theorem 

Iss theorem ko Exterior Angle theorem (bahishnkon pramay) bhi kahte hai. Aayiye ab iss theorem ka statement jaan lete hai. Statement ka matlab ye theorem "kya kahta hai?"
 Statement-: Kisi triangle ka exterior angle , 2 Remote interior angle ke sum (yogphal) ke barabar (equal) hota hai.
i.e.                ∠4 = ∠1+∠2
Ye theorem hume batata hai ki, figure-3 me diye huye Exterior angle ∠4 ka maan (value), Remote interior angle ∠1 aur ∠2 ke yogphal (∠1+∠2) ke baraabar hota hai. 


 Remote interior angle of a triangle theorem Proof

 Proof-:  Figure (3) me hum dekh sakte hai ki, ∠3 aur ∠4 ek hi line par bana hai aur hum jaante hai ki, ek line par bane sabhi angles ka sum (yogphal) 180° hota hai. Isliye
∠3+∠4 = 180° ......(i)

Ab phir se figure-(3) ∆ABC me, hum jaante hai ki, ∠1+∠2+∠3 = 180° .......(ii)
Agar aap issko proof karna sikhna chahte hai to aap yaha se padh kar sikh sakte hai.
Prove that sum of the angles of triangle is 180 degrees
Ab Eq (i) aur Eq(ii) ko equal karne par-:
⇒∠3+∠4 = ∠1+∠2+∠3
⇒∠3-∠3+∠4 = ∠1+∠2
⇒∠4 = ∠1+∠2     Proved  

Ye bhi padhe-:
 Math equation se Marry X-mas likhna sikhiye
 Speed , distance and time part-1
  BODMAS rule ka use kark 10 question solve karna sikhiye.

To ye tha , Theorem of Remote Interior angle of triangle aur isska complete proof . Hum ye ummid karte hai ki, aapko aaj ka topic achhe se samjh aaya hoga. Agar aapko koi doubt ya problem hai to aap comment karke puchh sakte hai. Hum aapki puri help karne ki koshish karenge.
Agar aapko aaj ka topic helpful laga ho to please share jarur kare.
Hum issi tarah se math ke ek-ek topic ko likhkar aapke saath share karte hai. Aap kon-se math topic ke baare next article chahte hai ? Comment kare. Hum uss topic par ek complete details me article likhkar aapko samjhayenge.
Thanks for reading !!

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें