Hello friend !! Aaj hum aapko Rules of exponent matlab ghaatanko ke niyam aur inn niyamo se related question ko solve karna sikhane waale hai. Aaj hum aapko full details me isske ek-ek rules ko achhe se samjhayenge aur har rules se related question ko bhi solve karna sikhaayenge.
❒ Exponents and power | Ghaatank aur ghaat Basic concept Hindi
Toh hume ummid hai ki, aapne upar diye link se topic ko padh liya hoga. Ab hum aaj ka topic start karte hai:
Exponent Rule |
Exponent Rule with 10+ Example Question - Solution
Ghaatanko ke bade - bade question ko aashani se solve karne ke liye kuch niyam banaye gaye. Inn niyamo ki help se question ko solve karna easy ho jaata hai. Ye niyam iss prakaar se hai-:
Rule-1. Ek hi aadhar waali ghaato ka multiply
Rule-2. Ek hi aadhar waali ghaato ka divide
Rule-3. Samaan Ghaatanko waali ghaato ka multiply
Rule-4. Samaan Ghaatanko waali ghaato ka divide
Rule-5. Ek hi ghaat ki ghaat ka niyam
Rule-6. Zero ghaatank waali sankhya
Rule-5. Ek hi ghaat ki ghaat ka niyam
Rule-6. Zero ghaatank waali sankhya
Ye ghaatanko ke basic rules hai. Inke alawa aur bhi rules hote hai. Jo advance hote hai. Unn rule ko hum next topic me sikhenge. Aaj sirf hum inn 6 important basic rules ko sikhenge aur inki help se question ko solve bhi karenge. Toh chaliye inn niyamm ko ek-ek karke sikh lete hai.
Rule-1. Ek hi aadhar waali ghaato ka multiply
Iss niyam ka use hum tab karte hai, "jab two yaa two se adhik samaan aadhar (equal base) ke ghaatankiy sankhyao ka multiply karna ho."
Iss niyam ke anusaar, "jab two ya two se adhik ghaatankiy sankhayo ka jinka adhar samaan (equal) ho toh inka gudanphal (multiplication) ke liye hume kewal innke ghaato ko jod (Add) kar dena hai."
Formula-: iss rule ka general formula iss prakar se hai:
am×an = am+n
Yaha par a = Integer (a ≠ 0)
m, n = Whole number
Solution-: 24×26 = 24+6
= 210 Ans.
Proof -: 24×26 = (2×2×2×2)×(2×2×2×2×2×2)
= 2×2×2×2×2×2×2×2×2×2
= 210 Ans.
Rule-2. Ek hi aadhar waali ghaato ka Divide
Jab two samaan (equal) ghaat waali sankhyao ko divide karna ho toh uske liye hum iss rule ka use karte hai.
Iss rule ke anusar, divide ka maan nikalne ke liye hume kewal first number ke ghaat me se Second number ke ghaat ko subtract kar dena hai.
Formula-: Iss rule ka general formula iss prakar se hai-:
am÷an = am-n
Jaise-: 56÷53 = 56-3
= 53 Ans.
Proof-: 56÷53 = 5×5×5×5×5×5
5×5×5
= 5×5×5
= 53 Ans.
Rule-3. Samaan ghaatanko waali ghaato ka multiply
Jab two ya two se adhik samaan (equal) ghaatanko waali sankhyao ka multiply karna ho to iss ke liye hum iss niyam ka use karte hai.
Iss niyam ke anusaar, yadi two ya two se adhik samaan ghaat waali sankhya ka multiply karna ho to isska maan gyaat karne ke liye kewal aadhar ka multiply karke samman ghaat laga dete hai.
Formula-: Iss rule ka general formula iss prakar se hai-:
am×bm= (a×b)m
= 83 Ans.
Proof-: 23 ×43 = (2×2×2)×(4×4×4)
= 2×4×2×4×2×4
= 8×8×8
= 83 Ans.
Rule-4. Samaan ghaatanko waali ghaato ka divide
Jab two samaan (equal) ghaatanko waali sankhyo ko divide karna ho to iss ke liye hum iss niyam ka use karte hai.
Iss niyam ke anusaar, yadi samaan ghaat waali sankhyao ka divide karna ho to isska maan gyaat karne ke liye kewal aadhar ka divide karke samaan ghaat laga dete hai.
Formula-: Iss rule ka general formula iss prakar se hai-:
am÷bm= (a÷b)m
Jaise-: 84÷44 = (8÷4)4
= 24 Ans.
Proof-: 84÷44 = 8×8×8×8
4×4×4×4
= 2×2×2×2
= 24 Ans.
Rule-5. Ek hi ghaat ki ghaat ka niyam
Jab kisi number ki ghaat ke upar bhi ghaat laga ho. Jaise-: (32)4 ka maan hum iss niyam se gyaat karte hai.
Iss niyam ke anusaar, agar kisi number ki ghaat ke upar bhi ghaat ho to iss ka maan gyaat karne ke liye sabhi ghaato ka multiply kar dete hai.
Formula-: Iss rule ka general formula iss prakar se hai-:
(am)n= am×n
Jaise-: (32)4 = 32×4
= 38 Ans.
Rule-6. Zero ghaatank waali sankhya
Jab kisi bhi number (jo zero naa ho) ki ghaat zero "0" ho to uska maan humesha 1 hota hai.
Formula-: Iss rule ka general formula iss prakar se hai-:
a0 = 1
Jaise-: 20 = 1
Proof-: Isske liye hum ghaatanko ke divide waale rule ka use karenge.
⇒ 2⁴ = 2×2×2×2 = 1
2⁴ 2×2×2×2
L.H.S. me Rule-2 ka use karne par,
⇒ (24÷24) = 1
⇒ 24-4 = 1
⇒ 20 = 1 Ans.
Exponent Rule se related 10+ Question with Solution (Ghaatanko ke niyam par aadharit 10+ Question aur unke Solution)
Hume ummid hai ki, ab aapko sabhi niyam achhe se samjh aa gaye honge. Ab hum aapko inn niyamo se related question ko solve karna sikhane jaa rahe hai.Question-1. Saral karke ghaatankiy rup me likhiye-:
(i). 31×34×35
(ii). (-2)1×(-2)2×(-2)3×(-2)4
Solution-: (i). 31×34×35 = 31+4+5
= 310 Ans.
(ii). (-2)1×(-2)2×(-2)3×(-2)4
= (-2)1+2+3+4
= (-2)10 Ans.
Question-2. Saral karke ghaatankiy rup me likhiye-:
(i). 53÷52
(ii). (-3)6÷(-3)4
Solution-: (i). 53÷52 = 53-2
= 51
= 5 Ans.
(ii). (-3)6÷(-3)4 = (-3)6-4
= (-3)2 Ans.
Question-3. Saral karke ghaatankiy rup me likhiye-:
(i). 72×32×52
(ii). (-2)3×13×(-3)3
Solution-: (i). 72×32×52 = (7×3×5)2
= (105)2 Ans.
(ii). (-2)3×13×(-3)3 = {(-2)×1×(-3)}3
= 63 Ans.
Question-4. Saral kijiye-:
(i). 85÷45
(ii). (-4)3÷(-3)3
Solution-:(i). 85÷45 = (8÷4)5
= 25
= 32 Ans.
(ii). (-4)3÷(-3)3 = {(-4)÷(-3)}3
= (4/3)3
= 43/33
= 64/27 Ans.
Question-5. Saral kijiye-:
(i). (63)4÷64
(ii). (45)4
Solution-: (i). (63)4÷64 = 63×4÷64
= 612÷64
= 612-4
= 68 Ans.
(ii). (45)4 = 45×4
= 420. Ans.
Question-6. Maan gyaat kijiye-:
(i). 272÷ 32
(ii) 2×52÷5×22
Solution-: (i). 272÷32 = (33)2÷32
= 33×2÷32
= 36÷32
= 36-2
= 34 Ans.
(ii). 2×52÷22×5 = 2×25÷4×5
= 50÷20
= 5/2 Ans.
Question-7. Maan gyaat kijiye-:
(i). (320÷315)×33
(ii). [(43)4×45]÷49
Solution-: (i). (320÷315)×33
= (320-15)×33
= 35×33
= 35+3
= 38 Ans.
(ii). [(43)4×45]÷49 = [(43)4×45]÷49
= [43×4×45]÷49
= [412×45]÷49
= [412+5]÷49
= 417÷49
= 417-9
= 48 Ans.
Question-8. Maan gyaat kijiye-:
(i). 10+20+30
(ii). 30×40×50
(iii). (20-20)×20
(iv). (50+40)×30
Solution-: (i). 10+20+30 = 1+1+1
= 3 Ans.
(ii). 30×40×50 = 1×1×1
= 1 Ans.
(iii). (20-20)×20 = (1-1)×1
= 0×1
= 0 Ans.
(iv). (50+40)×30 = (1+1)×1
= 2×1
= 2 Ans.
Question-9. 5²×7³×3
7×625
ka maan gyaat kijiye.
Solution-: 5²×7³×3
7×625
= 5²×7³×3
7×54
= 5² × 7³ × 3
54 7
= 52-4 × 73-1 × 3
= 5-2×72×3
= (1/52)×72×3
= (1/25)×49×3
= 147/25 Ans.
Question-10. 2³×4×t⁴
t3×8×42
ka maan gyaat kijiye.
Solution-: 2³×4×t⁴
t3×8×42
= 2³×4×t⁴
t3×23×42
= 2³ × 4 × t⁴
23 42 t³
Ab Rule-2 ka use karne par:
= 23-3 × 41-2 ×t4-3
= 20 × 4-1 × t1
= 1 × (1/4) × t
= t/4. Ans.
= 35+3
= 38 Ans.
(ii). [(43)4×45]÷49 = [(43)4×45]÷49
= [43×4×45]÷49
= [412×45]÷49
= [412+5]÷49
= 417÷49
= 417-9
= 48 Ans.
Question-8. Maan gyaat kijiye-:
(i). 10+20+30
(ii). 30×40×50
(iii). (20-20)×20
(iv). (50+40)×30
Solution-: (i). 10+20+30 = 1+1+1
= 3 Ans.
(ii). 30×40×50 = 1×1×1
= 1 Ans.
(iii). (20-20)×20 = (1-1)×1
= 0×1
= 0 Ans.
(iv). (50+40)×30 = (1+1)×1
= 2×1
= 2 Ans.
Question-9. 5²×7³×3
7×625
ka maan gyaat kijiye.
Solution-: 5²×7³×3
7×625
= 5²×7³×3
7×54
= 5² × 7³ × 3
54 7
= 52-4 × 73-1 × 3
= 5-2×72×3
= (1/52)×72×3
= (1/25)×49×3
= 147/25 Ans.
Question-10. 2³×4×t⁴
t3×8×42
ka maan gyaat kijiye.
Solution-: 2³×4×t⁴
t3×8×42
= 2³×4×t⁴
t3×23×42
= 2³ × 4 × t⁴
23 42 t³
Ab Rule-2 ka use karne par:
= 23-3 × 41-2 ×t4-3
= 20 × 4-1 × t1
= 1 × (1/4) × t
= t/4. Ans.
Ye bhi sikhe-:
❒ Fast multiplication tricks for 4 digit numbers by 2 digit numbers
❒ Interest rate kaise nikale? jab interest, principle aur time diya ho
❒ Interest rate kaise nikale? jab interest, principle aur time diya ho
Toh aaj ke lesson me bas itana dosto. Hume ummid hai ki, aapko aajka lesson aachhe se samjh me aaya hoga. Agar phir bhi aapko koi doubt ya problem hai toh aap nichey diye comment box me comment karke puchh sakte hai.
Aap apne question ki picture humare Facebook page par massage send karke bhi kar sakte hai. Hum aapke doubt yaa problem ko solve karne ki puri koshish karenge.
Hum issi tarah math ke ek- ek topic ko likh kar aapke saath share karte hai. Ab aap hume bataye ki, "Next article me aap kon-sa math ka topic sikhna chahte hai?" Hum uss topic ke baare full details me likh kar aapko ekdam acche se samjhayenge.
Ab last me, agar aapko aaj ka topic helpful laga ho toh please ek share jarur kare.
Thanks for share !
Hum issi tarah math ke ek- ek topic ko likh kar aapke saath share karte hai. Ab aap hume bataye ki, "Next article me aap kon-sa math ka topic sikhna chahte hai?" Hum uss topic ke baare full details me likh kar aapko ekdam acche se samjhayenge.
Ab last me, agar aapko aaj ka topic helpful laga ho toh please ek share jarur kare.
Thanks for share !
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें