मंगलवार, जुलाई 25, 2017

Rational numbers Defination with Examples

Rational numbers kya hai?, Rational numbers ki defination kya hoti hai? Aur kon-kon se numbers Rational numbers ke examples hote hai?
Hello friend!! Agar aapke bhi mind me ye sabhi questions aa rahe hai to iss lesson ko complete padhe aur achhe samjhe. Hume ummid hai ki, ye lesson aapke liye bahot helpful hoga.
Aaj hum aapko Rational numbers ki defination with examples ke saath batane waale hai?
Rational and irrational numbers se related , aapk bahut adhik questions aa rahe hai.
Un sabhi questions ko ek-ek kark reply karne me mujhe time adhik lag jaata hai . Jissey aapko , aapk question ka reply late se milta hai.
Isliye maine socha ki iss topic par aapko detail me bata du aur isse related question bhi aapko solve karna shikha du. Taki aapko iss topic se koi bhi problem naa ho. To isiliye mai aaj iss topic ke baare me bataunga.

About rational number with example

To aayiye aajka topic start karte hai.

What is rational numbers ?

Sabse pahle mai aapko batadu ki , rational numbers ko hindi me Parimey sankhya (परिमेय संख्या)  kahte hai. Rational number , "ratio" (अनुपात ) word se bana hai. Isliye parimey sankhya ko hum ratio k form me likhte hai.
Jaise -: P:Q or P/Q
Also read-:
• square root
• Cube root just in seconds in Hindi

Ab mai isska defination batata hu.

Defination of Rational number

Unn sabhi number ko hum Rational number kahte hai  jise hum P/Q ke form me likh sakte hai , jaha par P and Q dono  integer hai lekin , Q ki value zero  nahi ho.

Generally , Rational number ko hum nimntam (lowest) term me likhte hai . lowest term kahne ka matalab , 4/6 ko hum lowest term me 2/3 likhte hai.
Isi prakar 12/18 ko 2/3, 44/55 ko 4/5 etc . lowest terms me likhte hai.
Lowest term me likhane k karan , Rational number me P and Q , integer k saath-saath prime numbers bhi hote hai.

Example-:  2/3 , 1/2 , -3/7 , 6/(-5) , -9/-5  etc are rational numbers.

Means, ye huaa ki rational numbers   ko hum fraction ya ratio ke form me likh sakte hai but denominator (Niche wala number) zero nhi hona chahiye.

Aayiye ab iska kuch example dekhate hai.

Example of Rational number

1. Sabhi Natural numbers , Rational numbers hote hai

Ex-: Hum ek natural number 2  lete hai , jise hum 2/1 likh sakte hai . Isliye 2 ek rational number bhi hai.

2. Sabhi whole numbers, natural numbers hote hai.

Ex-:  5 ek whole number hai . Jise hum 5/1 likh sakte hai. Isliye 5 rational number hai.

Also read-:

• Kya aapko koi help mathematics me chahiye?
• Iss fast trick se kariye simple equation instantly solve

3. Sabhi integer , rational number hote hai.

Ex-: 18 and -44 integer k Saath-saath rational number hai kyuki inn number ko hum 18/1 and -44/1 likh sakte hai.
4. Decimal number bhi , rational number hote hai.
[Note-: Sabhi Decimal numbers , rational number nhi hote hai.

Jaise -: 0.4 = 4/10
            1.86 = 186/100
            0.264 = 264/1000   etc.

Ye bhi padhe-:

❒ Rational numbers operations full details in hindi

Aaj ke lesson me bas itana hi. Hume ummid hai ki, aapko aaj ka lesson achhe se samjh aaya hoga.
Agar aapka koi question puchhna hai, ya aapka koi doubt ya problem hai to nichey diye comment box me comment karke puchh sakte hai. Aap apna question humare Facebook page par massage karke bhi puchh sakte hai. Hum aapke question, doubt ya problem ko solve karne ki puri koshish karenge.
Hum issi tarah se math ke ek topic ko aapke saath share karte hai. Aap hume bataye ki, Next lesson me kon-sa math ka topic sikhna chahte hai? Hum uss topic ko aapko samjhayenge.
Agar aapko aajka lesson helpful laga ho to please ek share jarur kariye.

6 टिप्‍पणियां: