गुरुवार, दिसंबर 13, 2018

Percentage Basic concept, Defination and Examples

Hello friend!! Aaj hum aapko ek new lesson sikhane jaa rahe hai. Jiska naam hai-: "Percentage". Iss lesson me hum percentage ke Basic concept, Defination aur kuch Examples ko samjhenge. Agar aap percentage ka basic concept sikhna chahte hai aur aapko iss lesson ke question ko solve karne me problem hoti hai to hume puri umeed hai ki aaj ka ye lesson aapk liye jarur helpful hoga. Hum ek-dam basic se iss lesson ko aapko sikhayenge. Jiss se aapko samjhne me koi problem naa aaye.
Dosto jaisa ki, hum sabhi jaante hai ki Percentage, math ka ek very important topic hai. Isske questions, lagbhag sabhi exams me jarur puchhe jaate hai. Aap koi bhi competitive exam, entrance exam etc. ke paper uthakar dekh lijiye aapko directly ya indirectly percentage ke question jarur mil jaayenge. Issiliye humne iss topic ko aapko sikhane ka decision liya.

Percentage Basic concept, Defination and Examples

To chaliye aaj ka percentage lesson start karte hai.

 Percentage Basic concept, Defination and Example : 

Percentage ko tough (kathin) topic maana jaata hai. Lekin ye utana tough topic nahi hai jitna tough issko samjha jaata hai. Bas kewal aapko isska basic ekdam achhe se maalum hona chahiye. Agar ek baar aapne isska basic sikh liya to aapko percentage ke questions ko solve karne me problem nahi hogi. To sabse pahle hum aapko iss lesson ka basic concept batayenge.



 Percentage ka Basic concept : 

Percentage ka basic concept ko nichey diye picture se samjhiye. Nichey diye picture ko dhyaan se dekhiye aur diye huye question ka answer dijiye-:
🍎🍎🍎🍎🍎🍎🍎🍎🍏🍏
🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏
🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏
🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏
🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏🍏
🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌
🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌
🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌
🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌
🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌🍌

(i) Total kitne fruits hai?
(ii) Total kitne red apples🍎hai?
(iii) Red apples, total fruits ka kitna bhaag (parts) hai?
(iv) Total kitne green apples🍏hai? 
(v) Green apples, total fruits ka kitna bhaag (parts) hai?
(vi) Total kitne banana🍌hai?
(vii) Banana, total fruits ka kitna bhaag (parts) hai?

Answer-(i) Total 100 fruits hai.
Answer-(ii) Total red apples 🍎 = 8
Answer-(iii) 8/100
Answer-(iv) Total green apples🍏 = 42
Answer-(v) 42/100
Answer-(vi) Total banana🍌= 50
Answer-(vii) 50/100


Hum dekh sakte hai ki, Red apples🍎, total 100 fruits ka 8/100 bhaag hai. 8/100 ko hi hum 8% kahte hai. Means, total fruits me 8% Red apples hai.
Issi prakar se Green apples 🍏 = 42/100 bhaag hai ya total fruits ka 42% hai aur Banana 🍌= 50/100 bhaag hai ya total fruits ka 50% Banana hai.
I hope ki , aapko isska basic achhey se samjh aaya hoga. Ab hum aapko isska defination batate hai:

 Percentage ka Defination : 

Percentage ko hindi me "pratishat" (प्रतिशत) kahte hai. Jisme "prati" (प्रति) ka matlab "pratyek" (प्रत्येक) aur "shat" ka matlab "hundred" (सौ) hai. To iss prakar se percentage ka defination hum iss prakar se de sakte hai:
"Koi bhi number, pratyek (every) 100 me se kitna hai ya koi number, 100 ka kon-sa bhaag (part) hai. Wo usska percent kahlaata hai."
Aap ye bhi kah sakte hai ki, "percentage ek aisa fraction hai jisska denominator (Har) 100 hota hai."
Percentage ko hum symbol "%" se denote karte hai.
Example-: Kisi student ne 100 me se 65 marks paaye to isska matlab ye huaa ki 65, 100 ka 65th waa part hai. To uss student ne 65% marks paaye.

 Percentage ke kuch Basic Example : 

Ab hum percentage ke kuch basic examples ko solve karna sikhte hai. Hum yaha jitane bhi examples honge wo sabhi example basic percent hoga. Jinka base 100 hi rahega.

Example-1. 100 me se 24 kitna percent huaa?
Solution-: 100 me se 24 = 24/100 = 24%  Ans.

Example-2. Yadi ek class me 100 students hai. Jisme se 35 Boys hai to Boys ka percent bataye.
Solution-: Total students = 100 and Total boys = 35
∴Boys percent = 35/100 = 35%   Ans.

Example-3. Kisi student ne math ke subject me 100 me se 60 marks paaye. To uska math me percentage kitana hai?
Solution-: Total marks = 100 and student marks = 60
∴ Math percent = 60/100 = 60%   Ans.


Example-4. Ek class me 100 me se 45 student pass huye to inka kya percent (%)  hoga?
Solution-: Pass students percent(%) = 45/100 = 45%     Ans.

Example-5. Ek class me 54 students English me pass huye. Yadi class me total 100 students hai to English me fail hone waale students ka percent batayiye.
Solution-: Total students = 100
English me pass students = 54
∴ English me fail students = 100-54 = 46
∴ Fail percent = 46/100 = 46%   Ans.

Example-6. Ek class me 52 boys, 40 girls aur 8 teachers hai. To
(i) "Boys aur girls" milakar puri class ka kitna percent hai?
(ii) "Girls aur teachers" milakar puri class ka kitna percent hai?
Solution-: Total people = 52+40+8 = 100
(i) Total boys and girls = 52+40 = 92
∴ Boys and girls percent = 92/100 = 92%        Ans.
(ii) Total Girls and teachers = 40+8 = 48
∴ Girls and teachers percent = 48/100 = 48%        Ans.

Ye bhi padhe-:

❐ Whole number defination with example and properties in hindi
❐ Square karne ki shortcut trick up to 100 in hindi
❐ Remote interior angle of triangle theorem proof

I hope ki, aapko aaj ka lesson acche se samjh aaya hoga. Apne next lesson me hum fraction number ko percentage me change karna sikhenge.
Agar aapko aaj ke lesson me koi problem ya doubt hai to comment karke puchh sakte hai. Aap humare Facebook page par massage karke bhi apna question puchh sakte hai.

Hum issi tarah mathematic ke ek-ek topic ya lesson ko lekar uss ke baare me achhe se likh kar aapke saath share karte hai. Humara question hai ki, "Aap math ke kon-se topic ya lesson ko sikhna chahte hai?" Abhi comment ya massage karke bataye. Hum jarur koshish karenge ki, uss topic ya lesson ko likhkar aapko achhe se samjhye.
Hum issi tarah math me aapki help karte rahenge. Agar aap bhi humari help karna chahte hai to kewal ek share karke unn students tak iss lesson ko pahucha dijiye. Jise isski jarurat hai.
Share karne ke liye aapka bahot-bahot shukriya!

2 टिप्‍पणियां:

  1. Fraction ko percentage mai change krne ke liye 100 ka multiply hi q krte hai?

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. MIDAS TOUCH Fraction ko percentage me change karne ke liye hum 100 se isliye multiply karte hai kyuki hume 100 me se koi chij kitna hai ye maalum karna hota hai.

      Jaise -: ek class me 10% students paas ho gaye toh iska matalab ye huaa ki har 100 me se 10 students paas ho gaye.

      I hope ki aapko samjh aaya hoga.

      हटाएं