शुक्रवार, जनवरी 04, 2019

Fraction ko percent me kaise convert karte hai? | 3 best methods

Hello friend!! Apne last lesson me humne aapko Percentage ka basic concept, Defination aur Examples ke baare me sikhaya tha. Hume ummid hai ki, aapko achhe se samjh aaya hoga. Aaj ke lesson me hum aapko sikhayenge ki, fraction ko percent me kaise convert (change) karte hai? 
Percentage ke problem ya questions me aksar hume fraction ko percent me convert karna padata hai. Isliye aapko fraction to percent me convert karne aana chahiye. Agar aapko nahi aata to koi baat nahi. Iss lesson ko padh kar aur thodi practice karke aap bhi issko sikh sakte hai. Hum aapko fraction to percent convert (change) karne ke 3 easy and best methods batayenge.
Fraction to percent kaise convert karte hai?
Inn 3 methods ka use karke aap aashani se fraction ko percent me convert karana sikh sakte hai. To phir chaliye aaj ka lesson start karte hai:

 Fraction ko Percent me kaise Convert karte hai? | 3 best methods 

Hum jaante hai ki, jo fraction number hota hai wo, p/q ke form ka hota hai. Jisme p and q (q ≠ 0) dono integer numbers hote hai. Fraction number p/q me p ko numerator (Ansh) aur q ko denominator (Har) kahte hai.
Jaise-:    P  =   Numerator (Ansh) 
                Q       Denominator (Har)

Example-: 3/5 ek fraction number hai. Jisme 3 ko numerator (Ansh) aur 5 ko denominator (Har) kahte hai.

  Fraction ko Percent me Convert karne ke 3 easy method : 

Fraction ko Percent me convert karne ke 3 easy method iss prakar se hai:
(1). Numerator (Ansh) ko Denominator (Har) se Divide phir 100 se multiply karke.
(2). Denominator (Har) ko 100 banakar.
(3). Numerator (Ansh) me 100 se multiply phir Denominator (Har) se Divide karke.

Ab hum aapko inn sabhi 3 method ko ek-ek karke step-by-step aapko sikhate hai.

Method-1.  Numerator (Ansh) ko Denominator (Har) se Divide phir 100 se multiply karke-:
Step-1. Sabse pahle diye huye fraction ke Numerator (Ansh) ko Denominator (Har) se Divide kare.
Step-2. Bhaagphal (Quotient) me 100 se multiply kariye. Multiplication result hi humara required percent hoga.

Question-1. Nichey diye huye fraction ko percent me convert kariye:
(i) 1/3                    (ii) 2/7
(iii) 3/11                (iv) 11/2
(v) 22/3
Solution-: (i) 1/3
  1  × 100
      3
⇒0.33×100 = 33%    Ans. 
_____________________________________

(ii) 2/7
  2  × 100
      7
⇒0.28×100 = 28%    Ans. 
_____________________________________

(iii) 3/11
  3  × 100
     11
⇒0.27×100 = 27%    Ans. 
_____________________________________

(iv) 11/2
⇒11/= 3/2
  3  × 100
      2
⇒1.5×100 = 150%    Ans. 
_____________________________________

(v) 22/3
⇒22/3 = 8/3
  8  × 100
      3
⇒2.67×100 = 267%    Ans. 

Method-2.  Denominator (Har) ko 100 banakar-: 
Iss method me diye huye fraction ke Denominator (Har) ko 100 banate hai. Fraction ke Denominator (Har) ko 100 banane se hume direct percent me answer mil jaata hai. Kyuki percentage ka basic concept ke lesson me humne sikha tha ki, x/100 = x% hota hai. Iss method ka use ke liye nichey diye step ko follow kariye.
Step-1. Sabse pahle ye soche ki, diye huye fraction ke denominator (har) me kon-se number ka multiply kare ? Jisse denominator (Har) 100 ho jaaye.
Step-2. Jab aapko number maalum ho jaaye tab uss number ka fraction ke numerator (Ansh) aur denominator (Har) dono me multiply kare.
Step-3. Jab aap step-2 complete kar lenge tab aapko x/100 type ka fraction milega. x ko % ke saath x% likhna hai. Yahi aapka answer hai.

Question-2. Diye huye fraction ko percent me convert kariye:
(i) 1/2                    (ii) 1/4
(iii) 1/5                 (iv) 33/8
(v) 46/10

Solution-: (i) 1/2
Denominator = 2 , 2×50 = 100
 1×50  =   50  
     2×50      100
⇒   50   = 50%       Ans. 
      100
_____________________________________

(ii) 1/4
Denominator = 4 , 4×25 = 100
 1×25  =   25  
     4×25      100
⇒   25   = 25%       Ans. 
      100
_____________________________________

(iii) 1/5
Denominator = 5, 5×20 = 100
 1×20  =   20  
     5×20      100
⇒   20   = 20%       Ans. 
      100
___________________________________

(vi) 33/8
 33/8 = 27/8
Denominator = 8, 8×12.5 = 100
 27×12.5  =  337.5 
      8×12.5         100
 337.5  = 337.5 %         Ans. 
       100
___________________________________

(v) 46/10
 46/10 = 46/10
Denominator = 10, 10×10 = 100
 46×10  =   460 
     10×10       100
 460  = 460%           Ans. 
      100


Method-3. Numerator (Ansh) me 100 se multiply phir Denominator (Har) Divide karke-: 
Isska step niche diya hai:
Step-1. Fraction ke numerator (Ansh) me 100 se multiply kare.
Step-2. Numerator ko Denominator se divide kare.

Question-3. Nichey diye huye fraction ko percent me convert kariye:
(i) 15/35                   (ii) 12/27
(iii) 20/28                (iv) 17/3
(v) 53/19
Solution-: (i) 15/35
15/35 = 3/7
  3×100 
         7
⇒  300 
        7
= 42.86%       Ans. 
_____________________________________

(ii) 12/27 = 4/9
 4×100 
        9
 400 
       9       
= 44.44%       Ans. 
_____________________________________

(iii) 20/28= 5/7
 5×100 
        7
 500 
       7       
= 71.42%       Ans. 
_____________________________________

(vi) 17/3
17/= 10/3
 10×100 
          3
 1000 
        3   
= 333.33%       Ans. 
_____________________________________

(v) 53/19
53/19 = 98/19
 98×100 
         19
 9800 
       19 
= 515.7%       Ans. 
_____________________________________

Ye bhi padhe:
❒ Fast multiplication tricks for 4 digit numbers by 2 digit numbers
❒ Interest rate kaise nikale? jab interest, principle aur time diya ho
❒ Principal calculate karna sikhiye jab interest, Rate aur time diya ho

I hope ki, aapko aaj ka lesson achhe se samjh aaya hoga. Agar aapko koi problem ya doubt hai to aap niche diye comment box se comment karke puchh sakte hai. Aap humare Facebook page par massage karke bhi apna question puchh sakte hai.
Hum aapki help karne ki puri koshish karenge.


Hum issi tarah mathematic ke ek-ek topic ya lesson ko lekar uss ke baare me achhe se likh kar aapke saath share karte hai. Humara question hai ki, "Aap math ke kon-se topic ya lesson ko sikhna chahte hai?" Abhi comment ya massage karke bataye. Hum jarur koshish karenge ki, uss topic ya lesson ko likhkar aapko achhe se samjhye.
Hum issi tarah math me aapki help karte rahenge. Agar aap bhi humari help karna chahte hai to kewal ek share karke unn students tak iss lesson ko pahucha dijiye. Jise isski jarurat hai.
Share karne ke liye aapka bahot-bahot dhanyawad !!

10 टिप्‍पणियां:

  1. Sir mujhse apka padhna smjh aaya sir meri math week h koi trick btayite

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Shivani ji, humne iss website ko math samjhne ke liye hi banaya hai. Hum aapka math strong karenge. Aap sabse pahle math ko basic se padhna start kariye. Aapko jarur help milegi.

      हटाएं
  2. sir hmara btc 2 sem ka exam h maths week h sir hm maths kaise pdhe s

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Math padane ka kewal ek hi best tarika hai ki aap usske basic ko achhe se samjhe , example ko solve kar aur revison karte rahe. Aapko jarur help milegi.

      हटाएं
  3. operations on a rational numbers sir is topic pr btaiye

    जवाब देंहटाएं
  4. Sir main upp ki taiyari kar raha hu sir math bahut week hai mera sir apni math ko kaise majboot Karu

    जवाब देंहटाएं
    उत्तर
    1. Jaada se jaada practice kariye question ko solve karne ki aur basic concepts ko achhe se padhiye. Agar aapka koi question hai toh aap humse puchh sakte hai.

      हटाएं