गुरुवार, जनवरी 24, 2019

Similar triangles Defination, Examples and properties in Hindi

Hello friend !! Aaj ke lesson me hum aapko similar triangles ke baare me batane waale hai. Aaj ke lesson me hum aapko batayenge ki, similar triangles kya hote hai? Similar triangles ki defination kya hoti hai? Similar triangles ki properties & examples kya hai?
Similar triangles ko jaanane se pahle hum suggest karenge ki, aap sabse pahle triangle ke baare me jaan lijiye. Humne triangle aur isske types ke baare me pahle hi ek lesson me bata chuke hai. Aap chahe to uss lesson ko padh sakte hai. Hum niche usska link de rahe hai: Triangle aur isske types ke baare me yaha padhe.
Lekin aaj ke lesson me hum kewal similar triangles ke baare me baat karenge. To chaliye aaj ka lesson start karte hai.

 Similar triangle Defination, Examples and properties in Hindi : 

Sabse pahle hum baat karte hai ki, Similar triangles kya hote hai ? To hum jaante hai ki, Similar triangles ko hindi me "samrup tribhuj (समरूप त्रिभुज )" kahte hai. Samrup ka matlab hota hai, "samaan rup".
Matlab jis object (vastu) ka "rup (shape)" , "samaan (same)" ho to uss se "samaan rup" kahte hai.
To iss prakar se hum kah sakte hai ki, "Similar triangles, wo triangles hote hai jinke rup (shape) ya aakar ek jaise (same) hote hai. Lekin yaha par ye yaad rakhe ki ye jaruri nahi hai ki unke size bhi same ho".

 For Example-:
Similar triangles
Upper diye triangles ∆ABC aur ∆A'B'C', similar triangles hai kyuki inn dono triangles ke rup (shape) ek jaise (same) hai but innke size same nahi hai. Ab hum aapko isska defination ya paribhasha batate hai.


 Similar triangles ki Defination : 

Two triangles ko hum similar triangles tab kahenge, jab unn dono triangles ke sangat kon (corresponding angles) equal ho aur unn dono triangles ke sangat bhujao (corresponding sides) ka ratios equal ho.

 For Example-: Nichey diye dono tribhujo ∆ABC aur ∆DEF ko dekhiye.
Similar triangles defination
Yadi ye dono ∆ABC aur ∆DEF , samrup tribhuj hai. Tab ∆ABC aur ∆DEF ke
(1). Corresponding angles equal honge.
Means, ∠A = ∠D, ∠B = ∠E aur ∠C = ∠F
(2). Corresponding sides ka ratio equal honge.
Means,  AB  =  BC  =  CA 
               DE      EF       FA

 Similar triangles ki properties : 

Samrup tribhuj ke 3 main properties hote hai. Jo iss prakar se nichey diya gaya hai:
(1). Samrup tribhuj ke aakar (shape) ek jaise (same) hote hai. Lekin ye jaruri nahi hai ki, unka size bhi same ho.
(2). Samrup tribhujo ke sangat angles barabar (equal) hote hai.
(3). Inn tribhujo ke sangat bhujaao ka anupaat (ratio) barabar (equal) hota hai.

Ye bhi padhe-:

❒ BODMAS rule se bracket waale questions solve karna sikhiye
❒ Simple interest ke 10+ word problem question with solution
❒ Simple interest kya hai ? | simple interest formula

Aaj ke lesson me bas itana hi. Hume ummid hai ki aapko, aaj ka lesson achhe se samjh aaya hoga. Agar aapko koi doubt hai ya aap humse koi question puchhna chahte hai to nichey diye comment box me comment karke puchh sakte hai. Aap chaahe to apna question humare Facebook page par massage karke bhi puchh sakte hai.
Hum aapke question aur doubt ko jald se jald solve karne ki koshish karenge.



Hum issi tarah math ke ek-ek topic ko aapk saath share karte hai. Jis se aapki math me sabhi problem dur ho jaaaye. Aap hume bataye ki, Next lesson me aap kon-sa math topic sikhana chahte hai? Abhi comment ya massage karke bataye.
Hum uss topic ko aapko step by step samjhayenge.
Agar aapko aaj ka topic helpful laga ho to please share karke humari help kare.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें