बुधवार, अगस्त 25, 2021

Multiplication Shortcut tricks 3-digit number with 99

Hello friend!! Aaj hum aapko ek fast and very easy multiplication shortcut tricks sikhane jaa rahe hai. Aaj hum aapko sikhayenge ki, "3-digits number ka 99 se multiply kuch hi seconds me kaise karte hai?"

Jaise-: 107 × 99 = ??
            128 × 99 = ??
            236 × 99 = ??
            571 × 99 = ??
            . . . . . . . . . . .
            . . . . . . . . . . .

Iss type ke multiplication ko aap iss shortcut tricks se easily aur fast kar paayenge. Agar aap thoda iss shortcut trick ki practice kar lenge toh aapko pen aur paper lene ki jarurat bhi nahi hogi. Aap apne mind me hi iss type ke question solve karke answer bata denge.


Iss shortcut trick ko start karne se pahle hum aapko batade ki, Agar aap 2-digit number ka 99 se multiply karne ka shortcut tricks sikhana chahte hai toh uska link humne niche diya hai. Aap yaha se padh kar sikh lijiye.


Toh chaliye bina time waste kiye aaj ka multiplication shortcuts tricks start karte hai:

99 multiply shortcut trick 2 digit number


Multiplication Shortcut tricks 3-digit number with 99

Sabse pahle hum aapko batade ki, ye 3-digit number ka matalab kya hai ?

Toh dekhiye, 3-digit number ka matalab, wo sabhi number jisme three digit (teen ank) ho. Unn sabhi numbers ko hum "3-digit number" kahte hai.


Jaise - 219 ek 3-digit number hai, kyuki isme three digit (teen ank) hai. 219 me First number = 2, Second number = 1 aur Third number = 9.


Three digit number ke example-: 312, 465, 123, 747, . . .


Issi prakar hum kah sakte hai ki, 100 se 999 tak ke sabhi numbers 3-digit ke number hote hai.


Toh aaj hum yahi 100 se 999 tak ke kisi bhi number ka multiply 99 se kuch hi seconds me karne ka ek jabardast shortcut tricks sikhne jaa rahe hai. Toh chaliye start karte hai.


Multiplication Shortcut tricks Step by step

Iss shortcut tricks ko hum ek question ke saath step by step sikhane jaa rahe hai. Ye bahut simple steps hai, aap inko dhyaan se follow karke iss tricks ko aashani se sikh sakte hai.


Question-1. 204 × 99 = ??

Trick-: Nichey diye simple steps ko follow kariye :

Step-1. Sabse pahle 204 ko two parts me alag - alag iss prakar se likh lijiye.

⇒ 2  |  04

Step-2. Ab 2 | 04 ke 2 me 1 add kariye.

⇒ 2 + 1 = 3

Step-3. Ab 3 ko 204 me se subtract kariye.

⇒ 204 - 3 = 201 

(yahi humare question ke answer ka first part hai.)


Means, 204 × 99 = 201       


Step-4. Ab 2 | 04 me 04 ko 100 me se subtract karenge.

⇒ 100 - 04 = 96 

(ye humare question ke answer ka second part hai.)

Toh, 204 × 99 = 20196          Ans.     


Chaliye ek aur question ko iss trick se solve karte hai -:

232 multiply 99 fast shortcut trick

Hume ummid hai ki, aapko iss tricks ke sabhi steps samjh aa gaye honge. Ab hum iss tricks se related 10 question ko solve karne jaa rahe hai.


Iss Shortcut tricks se related 10 Question aur unka Solution 

Question-1. 104×99
Trick-: 
Step-1. 104 = 1 | 04
Step-2. 1+1 = 2
Step-3. 104 - 2 = 102
Step-4. 100 - 04 = 96
Toh, 104×99 = 10296          Ans.   

Question-2. 127×99
Trick-: Step-1. 127 = 1 | 27
Step-2. 1+1 = 2
Step-3. 127 - 2 = 125
Step-4. 100 - 27 = 73
Toh, 127 × 99 = 20294          Ans.   
   
Question-3. 216×99
Trick-: Step-1. 216 = 2 | 16
Step-2. 2+1 = 3
Step-3. 216 - 3 = 213
Step-4. 100 - 16 = 84
Toh, 216 × 99 = 21384          Ans.   

Question-4. 346×99
Trick-: Step-1. 346 = 3 | 46
Step-2. 3+1 = 4
Step-3. 346 - 4 = 342
Step-4. 100 - 46= 54
Toh, 346 × 99 = 34254          Ans.   
    
Question-5. 438×99
Trick-: Step-1. 438 = 4 | 38
Step-2. 4+1 = 5
Step-3. 438 - 5 = 433
Step-4. 100 - 38 = 62
Toh, 438 × 99 = 43362           Ans.   
      
Question-6. 582×99
Trick-: Step-1. 582 = 5 | 82
Step-2. 5+1 = 6
Step-3. 582 - 6 = 576
Step-4. 100 - 82 = 18
Toh, 582 × 99 = 57618       Ans.   
     
Question-7. 657×99
Trick-: Step-1. 657 = 6 | 57
Step-2. 6+1 = 7
Step-3. 657 - 7 = 650
Step-4. 100 - 57 = 43
Toh, 657 × 99 = 65043         Ans.   
     
Question-8. 781×99
Trick-: Step-1. 781 = 7 | 81
Step-2. 7+1 = 8
Step-3. 781 - 8 = 773
Step-4. 100 - 81 = 19
Toh, 781 × 99 = 77319          Ans.   

Question-9. 943×99      
Trick-: Step-1. 943 = 9 | 43
Step-2. 9+1 = 10
Step-3. 943 - 10 = 933
Step-4. 100 - 43 = 57
Toh, 943 × 99 = 93357          Ans.   
      
Question-10. 978×99
Trick-: Step-1. 978 = 9 | 78
Step-2. 9+1 = 10
Step-3. 978 - 10 = 968
Step-4. 100 - 78 = 22
Toh, 978 × 99 = 96822          Ans.        

Ye bhi padhiye-:

Hume ummid hai ki, aapko aaj ka ye "multiplication shortcut tricks" achhe se samjh aaya hoga. Agar iss shortcut tricks me aapko koi doubt hai toh aap comment karke puchh sakte hai. 

Hume aapki help karne me bahut khushi hogi.

Agar aapko aaj ka ye shortcut tricks helpful laga ho toh please ek share jarur kariye.

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें