गुरुवार, फ़रवरी 28, 2019

Circle ka basic concept and isske 10 important parts

Hello friend! Aaj hum aapko circle chapter ke baare me batane jaa rahe hai. Circle kya hai ? Circle ki defination kya hai? Circle ke examples kya hai ? aur bhi bahot kuch circle ke baare me aaj hum aapko ek dam basic se samjhayenge aur sikhayenge.

Hum sabhi jaante hai ki Circle, geometry ka very important lesson hai aur iss lesson ke questions all exams me jarur puchhe jaate hai. Agar aap ek math ke student ho ya aap competetive exam ki taiyari karte ho to aapko iss lesson ke questions ko solve karne jarur aana chahiye.

Iss lesson ke question ko hum tabhi solve kar sakte hai. Jab hume circle ka basic concept aur iss ke important parts ke baare me achhe se maalum ho.

Agar aap iss lesson ko basic se samjhna chaahte hai to ye article aapke liye jarur helpful hoga kyuki aaj hum aapko bilkul basic se circle ke iss lesson ko samjhayenge bhi aur isske questions ko solve karna sikhayenge bhi. Hum puri koshish karenge ki, iss lesson ko padhane ke baad aapke sabhi problem aur doubt dur ho jaaye. To chaliye aaj ka lesson start karte hai.

 Circle ka Basic concept and isske 10 important parts 

Circle ke iss chapter me aaj hum kewal circle ke baare me aur circle ke 10 parts ke me baare me aapko batayenge. Apne next article me hum isske ek-ek parts ko details me with question and solution ke saath batayenge.




To chaliye sabse pahle hum circle ke baare me jaan lete hai.

 Circle kya hai? aur Isske examples kya hote hai? 

Circle ko hindi me "vrit (वृत्त)" kahte hai. Circle ek close shape (band aakrti) hai. Ya phir issko hum ye bhi kah sakte hai ki , Ye ek round (gol) close curved line (band ghumavdar rekha) hai. Iss curved line ka ek-ek points, kisi ek fixed point se distance (duri) humesha equal rahta hai. Iss fixed point ko hum circle ka center kahte hai.
Nichey diye circle ke image ko dekhiye.
Circle image
 Circle ke kuch examples:
Hum daily apni life me circle ke bahut saare example ko dekhte hai. Jaise-:
Examples of circle

 Circle ki defination: 

"Kisi plane (X-Y plane) me circle ek aisa round close curve line hai jiske sabhi points ka distance (duri) ek fixed point se equal (barabar) hota hai."

❒ How to fast multiply 2-digit number by 99
❒ Math equation se Marry X-mas likhna sikhiye

 Circle ke 10 important parts: 

Circle ke baare me jaanane ke baad ab hum circle ke 10 important parts ke baare me jaan lete hai. Isske important basic parts iss prakar se hai:

(1). Center
(2). Radius
(3). Diameter
(4). Circumference
(5). Chord
(6). Tangent
(7). secant
(8). Arc
(9). Sector
(10). Segment

(1).  Center :
Center ko hindi me "kendra (केन्द्र)" kahte hai. Center , circle ka very important part hai kyuki isske bina hum circle draw hi nahi kar sakte.

Jab bhi hum plane paper par circle draw karte hai, tab hum sabse pahle ek fixed point lete hai aur issi fixed point se equal distance par hum circle draw karte hai. Issi fixed point ko hum circle ka center kahate hai.

To agar easy language me kaha jaaye to "Kisi plane me circle ka Center ek aisa fixed point hota hai, jiski distance (duri), circle ke sabhi point se equal (barabar) hoti hai."

Nichey diye circle me red point "O" circle ka center hai.
Circle center
(2).  Radius :
Radius ko hindi me "trijya (त्रिज्या)" kahte hai. "Circle ke center aur circumference ke kisi ek point tak ki distance (duri) ko circle ka radius kahte hai."
Or
"Circle ke center aur paridhi ko milaane wali rekha ko circle ka radius kahte hai."

Ek circle me infinite (anek) radius hote hai. Circle ke sabhi radius ki lambai (length) equal (barabar) hoti hai.
Circle ka radius , diameter ka half (aadha) hota hai.
Means,      Radius = Diameter/2


Nichey diye circle me red colour se radius OP ko dikhaya gaya hai. Jo circle ke center "O" aur paridhi ke point P ko touch karta hai.
radius circle
(3).  Diameter :
Diameter ko hindi me "vyaas (व्यास)" kahte hai. "Kisi circle ka diameter wo straight line hai jo circle ke center se hokar jaata hai aur circumference ke two points ko touch karta hai."
Circle ka diameter, radius ka 2 guna hota hai.
Means,   Diameter = 2×Radius

Diameter circle ka sabse big chord (jeeva) hota hai.

Nichey diye circle me red colour se diameter NOP ko dikhaya gaya hai. Jo circle ke center "O" se hokar jaata hai aur iske 2 points N aur P ko touch karta hai.
Diameter of a circle
(4).  Circumference :
Circumference ko hindi me "paridhi(परिधि)" kahte hai. Circle ki paridhi ka matalab, Circle ki boundary (kinaara) hota hai. "Circle ke boundary ki puri lambaai (length) ko circle ka circumference kahte hai."
Nichey diye circle me red colour se circle ki paridhi ko dikhaya gaya hai.
circumference of a circle
(5).  Chord :
Chord ko hindi me "jiva (जीवा)" kahte hai. "Circle me jiva ek straight line hai jo circle ke pardhi ke 2 points ko touch karta hai."
Or
Hum ye bhi kah sakte hai ki, "circle ke 2 points ko milaane waali rekha ko circle ki jiva kahte hai."

Hum jaante hai ki, diameter bhi circle ke 2 points ko milaane waali rekha hai isliye diameter bhi ek jeeva hai.
Humesha yaad rakhe ki, ye circle ki sabse badi (big) jeeva hoti hai.
Nichey diye circle me red colour se jiva AB ko dikhaya gaya hai.
Chord of a circle


(6).  Tangent :
Tangent ko hindi me "sparsh rekha (स्पर्श रेखा)" kahte hai. "Kisi circle ka tangent, wo line hota hai jo circle ke paridhi ke kisi ek point ko touch karte huye jaata hai." Tangent kabhi bhi circle ke andar (inside circle) se nahi jaata.
Nichey diye circle me tangent AB ko red colour se dikhaya gaya hai. Jo circle ko point P par touch karta hai.
tangent of a circle
(7).  Secant :
Secant ko hindi me "chhedak (छेदक)" kahte hai. Ya phir issko hum "vriit ki chhedak rekha" bhi kah sakte hai.
"Kisi vritt ki chhedak rekha wo rekha hota hai jo circle ke 2 points par kaatate huye jaata hai."
Nichey diye circle me ek chhedak rekha AB red colour se dikhaya gaya hai.
Secant of a circle
(8).  Arc :
Arc ko hindi me "chaap (चाप)" kahte hai. "Circle ki paridhi ke kuch bhaag ko circle ka arc (chaap) kahte hai."
Nichey diye circle me red se Arc AB ko dikhaya gaya hai.
Arc of a circle
(9).  Sector :
Circle sector ko hindi me "trijykhand (त्रिज्यखंड)" kahate hai. Trijakhand means, circle ke trijyao (radius) ki help se bane khand ko circle ka trijakhand kahate hai.
"Kisi circle me ek chaap (Arc) aur 2 trijaayo (radii) se bane close region ko circle ka sector kahate hai."
Nichey diye circle me Arc ACB aur 2 radii OA aur OB se bane close red region se circle ke sector ko dikhaya gaya hai.
Sector of a circle
(10).  Segment :
Circle Segment ko hindi me "vritt khand (वृत्त खंड)" kahte hai.
"Kisi circle ke ek chaap (Arc) aur iss chaap ke end points ko milaani waali jiva (chord) se bane close region ko circle ka segment kahte hai."
Nichey diye circle me Arc ACB ke end points A aur B ko milane waali jiva AB se bane red region me circle segment ko dikhaya gaya hai.
segment of a circle

Other math topics ye bhi sikhe-:
❒ Base 100 multiplication tricks for 2 digit numbers
❒ Base method multiplication shortcut trick
Trigonometric ratios of 30 degree

Circle ke iss lesson me bas itana hi. Hume ummid hai ki, aapko aaj ka lesson achhe se samjh aaya hoga.
Agar aapko koi doubt hai, math me koi problem hai ya aapko koi math question puchhna hai to comment karke humse jarur puchhe.
Aap apna question humare Facebook page par massage karke bhi send kar sakte hai. Facebook page nichey diya hai. Hum puri koshish karenge ki, aapki problem ya doubt ko solve kar sake.


Hum issi tarah se math ke ek-ek topic ya lesson ko likhkar aapke saath share karte hai.
Aap hume bataye ki, next lesson me aap kon-sa math ka lesson sikhana chahte hai?
Hum uss topic ya lesson ko aapko samjhayenge.
Agar aapko aaj ka lesson helpful laga ho to please ek share karke humari help kare.

3 टिप्‍पणियां: